Sunday, 16 February 2025

Mir Hasan Mir (2020)

Sakina aye Sakina 

Zindann se jab riha hue sadate karbala 
Maa ne lipat k qabre sakina pe di yeh sada 
Utho sakina chale karbala 

Choti si turbat pe maa ne kaha 

Zindan se jata hai ab qafla

Mujhe shahzadi tumhari qasam 
Na rakhun gi zindan se bahir qadam 
Safar ki ab hoti hai tayarian 
Amari mei bethe hai ahl e aza 
Ghurbat ka mere tumhe wasta 

Woh pehle k jese to ghurbat nahi 
Aye bibi hamari woh halat nahi 
Tumhe shamiyon se ab aye meri jaan 
Kafan mangne ki zaroorat nahi 
Lo mil gai hai tumhari rida 

Mujhe yaad asghar ki hai babasi 
Lahad se woh mayat nikali gai 
Akele mei rehne na dun gi tumhe 
Bharosa nahi shamio ka koi 
Rehte hai charo taraf ashqian 

Yeh shami kahan tumko behlai gay 
Tumhari lahad per nahi ai gay 
Rahay ga andhera hi zindan mei 
Haram jab yahan se chale jai gay 
Kon ai ga phir jalane diya 

Kahani padar gi sunao gi mei 
Agar neend ai sulao gi mei 
Akele na naqe pe bethu gi tum
Tumhay sath apnay bithao gi mei 
Ab to rasan mei na hoga gala 

Mujhe maar daale ga bus yahi ghum 
Qamar hai bete tumhari tukham 
Waram bazou ka mujhe yaad hai 
Tumhe to dikhai bhi deta hai kam 
Akbar se bibi mile gi shifa 

Bari dair tehri hai darbar mei 
Yahan per na roko ziyada unhe 
K pehlu pe ek hath rakhe hue 
Sada de rahi hai sakina tumhe 
Lene ko ai hai khud sayedda 

Thi zindan mei akber ajab woh ghari 
Rehai pe roti thi her ek phoopi 
Idher khoon rota tha abid udhar 
Sakina lahad mei tarapti rahi 
Jab bhi yeh madar ne ro ker kaha ​

Haye Zahra Haye Haider x3
Haye zahra 

Qabre Zahra bana rahe hai Ali x2
Apni Gurbat chupa rahe hai Ali

Qabre Zahra bana rahe hai Ali
Apni Gurbat chupa rahe hai Ali

Kyu Kamar jhuk gayi hai Maula ki x2
kiski mayyat utha rahe hai Ali
Apni Gurbat chupa rahe hai Ali

Qabre Zahra bana rahe hai Ali
Apni Gurbat chupa rahe hai Ali

1.Waqte Talqeen Zakhmi Shano ko x2
Dheere Dheere Hila rahe hai.
Apni Gurbat chupa rahe hai Ali

Haye Zahra
Qabre Zahra bana rahe hai Ali
Apni Gurbat chupa rahe hai Ali

2. Haye Samna hogaya hai qunfuz se x2
Sabr ko aazma rahe hai Ali
Apni Gurbat chupa rahe hai Ali

Haye Zahra
Qabre Zahra bana rahe hai Ali
Apni Gurbat chupa rahe hai Ali

3.Apni Gardan pe neel rassi ka x2
Betiyo se chupa rahe hai Ali
Apni Gurbat chupa rahe hai Ali

Haye Zahra
Qabre Zahra bana rahe hai Ali
Apni Gurbat chupa rahe hai Ali

4.Raat hogi toh dege Ghusl o Kafan x2
Aasma dekhe jaa rahe hai Ali
Apni Gurbat chupa rahe hai Ali

Haye Zahra
Qabre Zahra bana rahe hai Ali
Apni Gurbat chupa rahe hai Ali

5.Haye Dete jate hai Ghusl bibi ko x2
Hichkiya lete jaa rahe hai Ali
Apni Gurbat chupa rahe hai Ali

Haye Zahra
Qabre Zahra bana rahe hai Ali
Apni Gurbat chupa rahe hai Ali

6.Aisa gum hai jo aaj chalte hue x2
Barha ladkhada rahe hai Ali
Apni Gurbat chupa rahe hai Ali

Haye Ali
Qabre Zahra bana rahe hai Ali
Apni Gurbat chupa rahe hai Ali

7.Kaisi nemat se hogaye mehroom x2
Hath kyu malte jaa rahe hai Ali
Apni Gurbat chupa rahe hai Ali

Haye Zahra 
Qabre Zahra bana rahe hai Ali
Apni Gurbat chupa rahe hai Ali

8. Ek Zahra Ek apni gurbat ka x2
Do janaze utha rahe hai Ali
Apni Gurbat chupa rahe hai Ali

Haye Zahra
Qabre Zahra bana rahe hai Ali
Apni Gurbat chupa rahe hai Ali

9. Ay Takallum Batul ke gum me
Ab bhi aasu baha rahe hai Ali
Apni Gurbat chupa rahe hai Ali

Haye Zahra 
Qabre Zahra bana rahe hai Ali 
Apni Gurbat chupa rahe hai Ali x2
Haye Zahra

Paikaan Baras Rahey Hain Taboot Per Hasan Ke 
Ummat Mitari Hai Asar Panjetan Kai.

Baba Ke Dil Ke Tukray Tunay Ghine Bahattar (72)
Tukray Hazaar Hongay Qasim Tere Badaan Ke

Zainab Pukari Bhai, Dil Doobta Hai Mera
Ughlo Na Dil Ke Tukreh Sadqay Gaie Dahan Ke.

Baitun Nabi Say Haye Utha Hai Phir Janaza
Yasrab Ki Bastiyo Me Jhagde Hai Phir Dafan Ke

Do Baar Mil Gaya Hai Tum Ko Kafan Aey Mola
Mohtaj Hi Rahain Gai Shabbir To Kafan Kay

Zahra Jahan Giri Thi Lasha Wahan Na Jaye
Phir Zakhm Khul Na Jaye Zair e Kafan Hasan Ke

Qabr e Hasan Pay Us Dum Larza Tha Ek Tari
Saadat Ne Dikhaye Kuch Neel Jab Rasan Ke

Maula Nisar Apni Shamsheer Kyun Uthatay
Jab Kay Woh Janasheen Thay Paighambar e Aman Ke

Ghareeb e Zahra ki ghurbat suno aye ehle azaa..(2)
Akela reh gaya maqtal mein jab mera maula

Sipaah e shaam ne charo taraf se gher liya
Labe faraat tha har ek khoon ka pyaasa
tha ghul charagh e imamat abhi bujhana hai
zamee'n pe zeen se shabbir ko girana hai

Ye sunke sang kisine jabeen par maara
kisi ne pehlu mein barchi ka phal utaar diya
kisi ne saamne aakar chalayi tegh e jafa
ghareeb e Zahra ka zee'n par sambhalna mushkil tha
Ali o Zahra ko rann mein rulaya jaata tha
Hussain girte nahi the giraya jaata tha

Haaye,
Laga jo teer to asghar ko sheh ne yaad kiya
pukara ghazi ko jis waqt sar pe gurz laga
lagi jo barchi to akbar ko di tadap ke sadaa
tamacha khooli ne maara to bole Ya Zahra
Ali ko yaad kiya sar pe zarb chalte hue
Hasan ko yaad kiya mooh se khoo'n ugalte hue

Haaye,
Zamee'n pe zeen se hazrat jo muh ke bal aaye
jo teer seene mein the pusht se nikal aaye
nikal ke pehlu se sab barchhiyo'n ke phal aaye
qaraar kis tarha ab sheh ko ek pal aaye
rakaab payro se ibn e Ali ki chhoot gayi
tamaam pasliya'n sibt e nabi ki toot gayi

Rakam kiya hai yeh,
Rakam kiya hai yeh raavi ne dard ka manzar
ke chalne wala tha jis dum hussain par khanjar
behen se aage khadi thi hussain ki dukhtar
kaha yeh shimr se us dum ghareeb ne rokar
meri sakina,
meri sakina kahi'n dum na tod de zalim
rehem kar mere baalo'n ko chhod de zalim

Haaye,
padha tha dasht mein bejaa'n batool ka beta
hussain zinda hai kya shimr se kisi ne kaha
qareeb jaake ye ki shimr ne phir has ke sada
wo dekho aa gayi maqtal mein saniye zahra
ye sunte hi shahe dilgeer uth ke baith gaye
behen ke naam pe shabbir uth ke baith gaye

Haaye Hussain!
Yeh kehke aage badha haath mein liye khanjar
udhar tadapne lagi ek laash darya par
idhar khayaam se nikli batool ki dukhtar
ajeeb be adabi shimr ne ye ki aakar
zara si bhi na murawwat dikhayi zalim ne
kalam e paak ko thokar lagayi zalim ne

Haaye,
Ajab tarha se sitamgar ye kar raha tha sitam
kabhi hussain ki zulfo'n mein haath the baaham
pakad ke reeshe mubarak kabhi hasa azlam
hataya balo'n ko khanjar se shimr ne ekdum
kaha hussain ne dekho zara ali akbar
laee'n ne rakh diya zaanu hamare seene par

Haye,
Chali jo zarb, farishto'n ne muh ko pher liya
farishte kya the ke nabiyo'n ne muh ko pher liya
hate nabi to rasoolo'n ne ko muh ko pher liya
chale rasool to waliyo'n ne muh ko pher liya
Hasan, Rasool, Ali bole ab Khuda jaane
Hussain jaane, gala jaane, Fatima jaane

Haaye,
Ab iske aage takallum bayaan kya hoga
lagi jo zarbein na nikla lahu ka ek qatra
laeen ghaiz mein aakar sada ye dene laga
Hussain jaldi bata mojiza ye hai kaisa
kaha ghareeb ne tu pyaar maa ka kya jaane
gale pe mere gala rakh diya hai Zahra ne

Kaha Hussain ne amma hata le apna gala
mazeed aap ho zakhmi yeh ho nahi sakta
gale pe shaah ke khanjar laeen ka jo chala
gale pe shaah ke khanjar laeen ka jo chala
sada yeh aati thi subhana rabbiyal a'ala
pisar ka khoon baha Sayyeda ki godi mein
sar e hussain kata Fatima ki godi mein

karbala chalo, karbala chalo, karbala chalo
karbala karbala karbala..(2)
Allahumm-ar-zuqna ziyarat al hussain..(2)

Karbala chalo... karbala chalo..(4)
Karbala chalo... karbala chalo..(4)

Karbala chalo... karbala chalo, karbala chalo..(2)

Lo aagaya bulawa..(2)
mazloom e karbala ka...

1. Maa muntazir hai bete ke ghumkhaar aayenge
aakar mere hussain pe aasu bahaenge
bint e rasool takti hai..(2)
tum sabka raasta.... karbala chalo.... 

2. Zahra ka laal qabr mein hasrat ye le gaya
akbar ka kalma goyo ne pursa nhi diya
ab sheh ko pursa dena hai..(2)
kadiyal jawaan ka.... karbala chalo.... 

3. Jee bhar ke apne bhai ko zainab na ro saki
majlis zameen e karbobala par na ho saki
armaan e sayyeda mein..(2)
bichad e safe azaa.... karbala chalo.... 

4. Khanjar tale hussain ki aahein gawaah hai
halmin mugheesuna ki sadaein gawaah hai
kab se hume bulata hai..(2)
zahra ka laadla.... karbala chalo.... 

5. Jis khaak ne chupaya tha bint e ali ka sar
jisne kafan banaya tha laash e hussain par
us karbala ki khaak ka..(2)
karne ko shukriyaa.... karbala chalo.... 

6. Baazu katake jis jagah abbas so gaye
armaan bawafa ke jaha'n dafn hogaye
aasu waha girayenge..(2)
paani jaha'n gira.... karbala chalo.... 

7. Qismat se waqt aayega jab ye hayaat mein
tum apne betiyo'n ko bhi le jaana saath mein
akbar ko wo sunayengi..(2)
sughra ka marsiya.... karbala chalo.... 

8. Ek saal baad bhai ka sar jis ghadi mila
abid se roke kehti thi ye binte sayyeda
dafnaungi mai hatho'n se..(2)
sar apne bhai ka.... karbala chalo.... 

9. Chehlum bhi apne baap ka bachhi na kar saki
roti hui wo shaam ke zindaa'n mein marr gayi
ae kaash koi kehde sakina se ye zara
karbala chalo.... 

Labbaik, Labbaik, Labbaik Ya Hussain..(2)
Halabikum ya zawwari, halabikum
abad wallah ya zahra ma ninsa hussaina

10. Is saal arbaeen pe aisa ho ehtemaam
ae kaash zaero'n mein ho shamil hamara naam
aur de hamein bhi hazrat e abbas ye sadaa
karbala chalo.... 

11. Ghurbat musafiron'n ki musafir samajh sakein
kaise chali thi bibiya'n andaza ho humein
aasu bahate shehr e najaf se piyada paa
karbala chalo.... 

12. Chehlum pe jaise aati hai zainab bhi shaam se
izn e safar mile jo takallum imaam se
har ek qadam zahoor ki karte hue dua
karbala chalo.... 

Allahumm-ar-zuqna ziyarat al hussain
Karbala chalo, karbala chalo, karbala chalo

Akbar.. haye akbar, haye akbar..(2)

Haaye,
ghode se girke jab ali akbar ne di sadaa
apni kamar ko thaam ke shabbir ne kaha
kadiyal jawa'n ki laash uthane chale hai hum
are seedhi ho aye kamar, tujhe abbas ki qasam

kadiyal jawa'n ki laash uthane chale hai hum
seedhi ho aye kamar, tujhe abbas ki qasam

1. Ye imteha'n za'eefi mein mujhko nibhana hai
akbar ko leke khaima e zainab mein jaana hai
raste mein ladkhadaye na shabbir ke qadam
seedhi ho aye kamar, tujhe abbas ki qasam

2. Ghurbat pe apni roya hai khud ibn e fatima
gir gir ke tay kiya hai ye maqtal ka faasla
bus hum se door laash hai akbar ki do qadam
seedhi ho aye kamar, tujhe abbas ki qasam

3. Laasha hai is qadar ke larazte hai mere haath
laasha hai ye rasool ka, akbar ke saath saath
do laashe ek saath uthaenge kaise hum
seedhi ho aye kamar, tujhe abbas ki qasam

4. Is haal mein mujhe kahi'n Zahra na dekh le
haye meri kamar jhuki hui, baba na dekh le
aate hi honge meri madad ko shahe umamm
seedhi ho aye kamar, tujhe abbas ki qasam

5. Seene mein kehke todi hai zalim ne ye sina
ab dekhna hussain ki niklegi kaise jaa'n
zalim ko ye batana hai ibn e ali hai hum
seedhi ho aye kamar, tujhe abbas ki qasam

6. Is haal mein khayam mein jaunga kis tarha
Zainab ki kayenaat uthaunga kis tarha
Zahra ka chand karbobala mein hua hai kham
seedhi ho aye kamar, tujhe abbas ki qasam

7. Amma ke saath milke sina maine khaich li
haatho mein ab hamare wo taaqat nahi rahi
Abbas kya gaye mere bazu hue qalam
seedhi ho aye kamar, tujhe abbas ki qasam

8. Baahein gale mein daal di akbar ne jis ghadi
ibn e ali ne roke takallum sadaa ye di
saanse bachi hai ab mere akbar ke paas kam
seedhi ho aye kamar, tujhe abbas ki qasam

kadiyal jawa'n ki laash uthane chale hai hum
seedhi ho aye kamar, tujhe abbas ki qasam

Hur ibn e riyahi, aaja mere bhai..(2)
Hur aa raha hai akbar, seene use lagao..(2)
Mehmaan ko hamare..(2) khaime mein leke aao

Hur aa raha hai akbar, seene use lagao..(2)

1. Khud yaad hoga usko paani tha usne roka
khuddar wo bohot hai sharminda humse hoga
pyaase hai saare bachhe, usko na ye batao
Hur aa raha hai akbar, seene use lagao..(2)

2. Dekho woh chal raha hai maidaa'n mein ladkhada kar
girne se pehle akbar, usko sambhalo jaakar
aye mere shahzade, jaldi qadam badhao
Hur aa raha hai akbar, seene use lagao..(2)

3. Abbas apne dil se, har baat saaf kardo
maa Fatima ke sadqe, hur ko muaaf kardo
jakar alam ke usko, saaye mein leke aao
Hur aa raha hai akbar, seene use lagao..(2)

4. Beta hussain qaidi, kaise kisiko dekhe
meri taraf se kholo, tum uske haaath jaake
baba khafa nahi hai, jaakar use batao
Hur aa raha hai akbar, seene use lagao..(2)

5. Tum se bhi pehle marne, jaega uska beta
jee bhar ke dekhle wo, apne pisar ka chehra
kam waqt reh gaya hai, jaakar use batao
Hur aa raha hai akbar, seene use lagao..(2)

6. Taa hashr ye karimi, sab yaad hi rakhenge
mehmaan ka paseena khud saaf hum karenge
fizza hamari maa ka rumaal leke aao
Hur aa raha hai akbar, seene use lagao..(2)

7. Jis dum suni ali ki beti ne ye sadaein
aasu bahake usko, dene lagi duaein
bachho'n se phir ye boli, hur ko gale lagao
Hur aa raha hai akbar, seene use lagao..(2)

8. Maa Fatima ke lab par uske liye dua hai
ghurbat mein usne hum par ehsaan kar diya hai
Hur ke ghulam ko bhi , izzat se leke aao
Hur aa raha hai akbar, seene use lagao..(2)

9. Sajjad kya bayaa'n ho kehti thi bint e zahra
bhai ki jaa'n bachane ek aur habib aaya
mera salaam fizza pohchake usko aao
Hur aa raha hai akbar, seene use lagao..(2)

Haye alamdaar, haye alamdaar..(2)

Karte hai matam haram abbas ka
hogaya marna sitam abbas ka..(4)

Haye alamdaar, haye alamdaar..(3)
Kehte the qamar thaam ke ye sayyede abraar
Haye alamdaar, haye alamdaar..(2)

1. Ye haal hai laashe ka sambhala nahi jaata..(2)
teer aankh se bhai ki nikala nahi jaata
Imdaad ko aajaiye ya haider e qarrar
Haye alamdaar, haye alamdaar..(2)

2. Zainab ne teri aas pe chhoda tha madina
mai kaise batau use saqqaye sakina
mara gaya zainab teri chadar ka nigehdaar
Haye alamdaar, haye alamdaar..(2)

3. Tum qatl hue hum pe bhi chal jayegi shamsheer
aghyaar mein reh jaegi tanha meri hamsheer
zainab ki rida bachne ke baaqi nahi aasaar
Haye alamdaar, haye alamdaar..(2)

4. Jis tarha se ghar laye the masjid se Ali ko
us tarha se le jayenge khaime mein jari ko
akbar mere bhai ka janaza karo tayyar
Haye alamdaar, haye alamdaar..(2)

5. Bazu bhi qalam hogaye ae bazu e shabbir
tukde hai badan aankh mein paywast hua teer
kisne ye meri maa ki duao'n pe kiya waar
Haye alamdaar, haye alamdaar..(2)

6. Aati hai sada loot lo namoos e nabi ko
ab maarna aasa'n hai Hussain ibn e ali ko
marne pe tere jashn manate hai sitamgaar
Haye alamdaar, haye alamdaar..(2)

7. Akbar hume mushkil se bohot laaye hai bhai
maidaan mein girte hue hum aaye hai bhai
aakhein to zara kholo mere munis o ghumkhwaar
Haye alamdaar, haye alamdaar..(2)

8. Ek baat tumhein karb ki batlata hu bhaiyya
jab bhi koi masuma ke marega tamacha
ro ro ke pukaregi sakina tumhe har baar
Haye alamdaar, haye alamdaar..(2)

9. Tha mir takallum yehi shabbir ka nauha
jaate hue pura karo armaan hamara
aye bhai hume bhai pukaro zara ek baar
Haye alamdaar, haye alamdaar..(2)

Kehte the qamar thaam ke ye sayyede abraar
Haye alamdaar, haye alamdaar..(2)

Hai Janaza Haider e Karrar Ka 
  
Momino do mil ke kandha,hai janaza Haider karar ka
Chal basa Zainab ka baba,hai janaza Haider karar ka

Kis ne yeh mehrab mai rukn e hidayat daha diya,yeh sitam kaisa hua
Noha ye jibreel ka tha,hai janaza Haider karar ka

Rok lo bhaiyya janaza mere baba jaan ka,ro ke Zainab ne kaha
Dekh loon chehra dubara,hai janaza Haider karar ka

Koi Zainab se yeh keh de ro le jee bhar ker abhi,sath hain bhai sab hee
Hai salamat tera parda,hai janaza Haider karar ka

Eid hai nazdeek aur ghar mai qayamat hogayi,hai saf e matam bichi
Keh rahi hai ro ke Zehra,hai janaza Haider karar ka

Kon kufe ke yateemo ka rakhe ga ab khayal,gham se hain saare nidhal
Shor hai wa gurbata ka,hai janaza Haider karar ka

Baap ke qadmon pe sar rakh ker haram ki aas ne ,yeh kaha Abbas ne
Alvida ghazu ke baba,hai janaza Haider karar ka

Teer aye ga janaze per na phathar aye ga,aur na wapis jaye ga
Shan se yeh dafan hoga,hai janaza Haider karar ka

Sham ka ahwal jab beti se kehte the Ali,ghan ke maare us ghari
Zard tha Muala ka chehra,hai janaza Haider karar ka

Hai taqallum yeh qayamat roze daron ke liye,pursa daron ke liye
Ao dein Mehdi ko pursa,hai janaza Haider karar ka

 

Haey Qasim Haey Haey Qasim
Haey Qasim Haey Haey Qasim
Haey Rul Gaei Mehndi, Haey Rul Gaei Mehndi
Haey Rul Gaei Mehndi, Haey Rul Gaei Mehndi

Raitaanch Dul Gaei, Mityaanch Rul Gaei, Maa Nu Rawavay, Qasim Di Mehndi.
Kubra Da Baba Chadar Vicha Kay, Chun Chun Kay Pavay, Qasim Di Mehndi.

Maqtal Cho Syed Ey Vain Paaya, Kallah Hay Nana Zahra Da Jayaa,
Kausar Kanaaray Mairay Turgay Saray, Kayra Uthavay Qasim Di Mehndi.

Kuj Mehndi Gohray Summach Lay Gay, Kuj Eyday Tukray Maqtalch Ray Gay,
Syed Musafir Qasim Di Maa Ton, Keewain Lukaa Vay Qasim Di Mehndi.

Putraan Nu Lokon Sehraych Laa O, Qasim Di Pehlaa Majalis Kara O,
Banray Nu Aakho Shagnaa Day Vailay, O Kad Nah Javay Qasim Di Mehndi.

Khaiyyam Andar Jadon Mehndi Aayi, Banray Di Maa Nay Sir Khaak Paayi,
Banree Da Baba Bheni Bulaakay, Ro Ro Vakhaa Vay Qasim Di Mehndi.

Pehra Laga Tha Darya Pe Har Jaa, Pyasa Tha Kunbaa Pani Nhi Tha,
Pani Ke Badlay Ashkon Se Goondhi, Madar Ne Haey Qasim Di Mehndi.

Tukray Huway Yu Armaan Dil Ke, Ankhon Se Uski Kyun Khoon Na Barsay,
Sajjad Aaey Hain Shaam Logon, Dil Mein Basaey Qasim Ki Mehndi.

Farwa Ke Aansu Deinge Zamanat, Poori Na Hogi Kis Trha Mannat,
Kubra Ke Sadqay Jab Koi Beti, Jab Bhi Uthaey Qasim Ki Mehndi.

Tauqeer O Dy Toh Sain Raazi, Mazloom-e-Karbal Di Bhain Raazi
Qasim Di Turbat Dil Vich Waasa Kay, Jeyra Uthavay Qasim Di Mehndi.

Haey Rul Gaei Mehndi, Haey Rul Gaei Mehndi
Haey Rul Gaei Mehndi, Haey Rul Gaei Mehndi.

Chader na kafan hai dur watan hai 
Be Parda behan hathon mai rasan 
Haye zainab haye haye bazaar 
Chader na kafan hai dur watan hai 
Be Parda behan hathon mai rasan 

Abbas ki behan ko shami rula rahe hain 
Chader dhika dhika ke rasta bana rahi hain 
Bint e Ali ka fiza kante hata hata ke 

Pardes mai kisi per aesa na waqt ai 
Na mahramon mai koi yun be rida na jai 
Karte hain yeh duain ahl e haram ke bache 
Jholi utha utha ke 

Bhai behan ki ankhein nam hoti jarahi hain 
Bint e Ali ki sansein kam hoti jarahi hain
Khanjar chala raha hai Zainab ke dil pe zalim
Khanjar dhika dhika ke 

Ik bachi keh rahi hai ao madad ko baba 
Dadi ki tarha mai bhi ab ho gayi zaeefa 
Zakhmi kiya hai pehlu,naqay se zalimon ne 
Mujh ko gira gira ke 

Parde mai bhi jo bibi chalti na thi ziyada 
Pardes mai ab un par aya hai waqt kesa 
Layein hain shaam wale un shah zadiyon ko 
Paidal chala chala ke 

Wo shamiyon ke tane, wo muskurate chehre 
Be parda sath apne bint e Ali ko le ke 
Sajjad kese bholein us bheer se guzarna 
Nazrein jhuka jhuka ke 

Jate hain jis taraf bhi ahl e haram khule sar 
Khati hain pehle durra khati hain pehle phattar
Apne lahoo mai tar hain Zehra ki betiyon ko 
Fizza bacha bacha ke 

Zakhmo ki wo taqalum tadad jante hain
Mehdi ko bhi khabar hai sajjad jante hai 
Maare hain kis ne kitne Haider ki ladli ko 
Pathar utha utha ke

Jo Dard Fatima Ne Ali Se Chupaye Hain.
Tanhai Mein Kaneez Ko Apni Sunaye Hain.
Batool Ro Parin Fizza Ko Yeh Batatay Hoye.

Hasan Ne Dekha Hai Mujh Ko Tamachay Khatay Hoye.
Batool Ro Parin Fizza Ko Yeh Batatay Hoye.

Na Jane Kya Kiya Zalim Ne Fatima Pe Sitam.
Zaeef Ho Gayi Beti Rasool Ki Ik Dam.
Sand Ke Tukron Ko Darbar Mein Uthatay Hoye.
Batool Ro Parin Fizza Ko Yeh Batatay Hoye.

Main Aaj Shehar-e-Madina Ko Hi Mita Doon Gi.
Agar Ali Ko Na Chora Tu Bad Dua Doon Gi.
Kaha Batool Ne Sar Se Rida Hatatay Hoye.
Batool Ro Parin Fizza Ko Yeh Batatay Hoye.

Jo Mujh Pe Guzri Hai Mujh Se Na Ho Sakay Gi Bayaan.
Woh Dekho Ab Bhi Hain Dewar Par Lahu Ke Nishaan.
Main Dekhti Hoon Inhein Roz Aate Jate Hoye.
Batool Ro Parin Fizza Ko Yeh Batatay Hoye.

Bataya Sab Ko Jo Mafhoom Hai Wilayat Ka.
Labhoon Pe Shikwa Na Bint-e-Rasool Ki Aaya.
Ali Ali Hi Kiya Taziyane Khatay Hoye.
Batool Ro Parin Fizza Ko Yeh Batatay Hoye.

Woh Mujh Se Chup Ke Meri Bekasi Pe Rota Hai.
Khiyal Rakhna Yeh Nazuk Mizaj Beta Hai.
Mere Janazay Se Shabeer Ko Hatatay Hoye.
Batool Ro Parin Fizza Ko Yeh Batatay Hoye.

Abu Al-Hasan Ko Tha Patkay Se Main Ne Thama Howa.
Magar Laeen Ne Durray Se Youn Mujhe Mara.
Zameen Pe Gar Gayi Fizza Main Larkharatay Hoye.
Batool Ro Parin Fizza Ko Yeh Batatay Hoye.

Baroz-e-Hashar Main Mehdi Ko Yeh Bataon Gi.
Tamam Pasliyaan Tooti Hain Iss Liye Meri.
Laeen Ne Mara Tha Thokar Se Aate Jate Hoye.
Batool Ro Parin Fizza Ko Yeh Batatay Hoye.

Mera Fareza Nibhaye Gi Ladli Meri.
Ghiray Ga Sholon Mein Jis Waqt Aik Our Ali.
Chaley Gi Aag Pe Zainab Ossay Bachatay Hoye.
Batool Ro Parin Fizza Ko Yeh Batatay Hoye.

Padar Ki Qabar Pe Akbar Woh Ro Ke Kehti Thi.
Hifazat Aap Ne Mujh Ko Ali Ki Sonpi Thi.
Tamachay Main Ne Hain Khaye Unhein Bachatay Hoye.
Batool Ro Parin Fizza Ko Yeh Batatay Hoye.

Aabid ko jaha'n Ghash aata hai, Durro'n se Jagaaya jaata hai,
Ek phool hai jis ko Kaanto par Din-Raat Chalaaya jaata hai..

(1) Abbas ki Gairat se aksar Aabid ki Aseeri Puchhti hai,
Kya chaar baras ki Behna ko Zinda'n mei'n Sulaaya jaata hai..

(2) Saadat ke Khaimey jaltey hai'n Sholo mei'n Ghiri hai Aal e Nabi,
Phir aaj Nabi ki Beti par Darwaaza Giraaya jaata hai..

(3) Reh-Reh ke Shah e Dee'n deikhtey hai'n Naizey se Sakina(س) ki Jaanib,
Lagta hai ke Pushte Naaqa se Bachhi ko Giraaya jaata hai..

(4) Bibi ko Qareeb e Laash e Jari Durro'n ki Aziyat detey hai'n,
Abbas ko tadpaaney ke liye Zainab(س) ko Sataaya jaata hai..

(5) Gairat ke sabab jis Bibi ne Ghar mei'n bhi na dekha Aayina,
Be-Parda usey laaney ke liye Darbar Sajaaya jaata hai..

(6) Bin byaah ke Akbar maarey gaye Armaan na nikley Baano ke,
Taboot pe Akbar ke Sehra kuch yu'n bhi Chad'haaya jaata hai..

(7) Wo Nouke Sina'n par Gairat se Rukta hi nahi'n Gir jaata hai,
Jab-Jab bhi Sar e Abbas e Jari Naizey pe Chad'haaya jaata hai..

(8) Pardey mei'n Bilal e Karbobala Roye na mera Moula kyu'n kar,
Afsos ke Turbat mei'n ab tak Zahra ko Rulaaya jaata hai

Shama Zindaan Mein Manga Dy Koi
Aakhri Raat Hai Sakina Ki

Ja Rahi Hai Hussain Ki Beti
Akhri Rat Hai Sakina Ki

Shama Zindaan Mein Manga Dy Koi
Aakhri Raat Hai Sakina Ki

Yeh Jo Gardan Py Hai Rasan Ka Nishan
Sath Turbat Mein Is Ky Jaye Ga
Koi Umme Rubab Sy Keh Dy
Ab Yeh Chehra Nazar Na Aye Ga
Aaj Jee Bhar Ky Dekh Lo Bibi
Aakhri Raat Hai Sakina Ki

Shama Zindan Mein Manga Dy Koi
Aakhri Raat Hai Sakina Ki

Pas Baba Ky Jany Wali Hai
Ab Tamanchy Na Koi Mary Ga
Qabr Mein To Ghamon Ki Maari Ky
Koi Gohar Nahi Utary Ga
Ja Ky Turbat Mein Chain Paye Gi
Aakhri Raat Hai Sakina Ki

Shama Zindan Mein Manga Dy Koi
Aakhri Raat Hai Sakina Ki

Hai Janab E Ammer Ki Poti
Inteha Is Py Hai Ghareebi Ki
Aalam E Nazaa Ho Gya Tari
Sans Rukny Lagi Hai Bachi Ki
Reesma Ab To Khol Do Is Ki
Aakhri Raat Hai Sakina Ki

Shama Zindan Mein Manga Dy Koi
Aakhri Raat Hai Sakina Ki

Rony Wali Ki Chalti Sanson Ko
Aaj Is Tarah Roka Jata Hai
Band Ho Jaye Shor Giriya Ka
Sar E Shabbir Laya Jata Hai
Hai Mulaqat Bap Beti Ki
Aakhri Raat Hai Sakina Ki

Shama Zindan Mein Manga Dy Koi
Aakhri Raat Hai Sakina Ki

Shor Yeh Bairhion Ka Kehta Hai
Koi Uthta Hai Koi Girta Hai
Hai Khabar Yeh Ghareeb Bhai Ko
Dam Behan Ka Nikalny Wala Hai
Abhi Ly Gi Yeh Akhri Hichki
Aakhri Raat Hai Sakina Ki

Shama Zindan Mein Manga Dy Koi
Aakhri Raat Hai Sakina Ki

Ro Ky Sajjad Khud Sy Kehty Thy
Kaisy Mayyat Uthaun Ga Is Ki
Qaid Zanjeer Mein Hain Hath Mery
Qabr Kaisy Banaun Ga Is Ki
Bey Kafan Jaye Gi Behan Meri
Aakhri Raat Hai Sakina Ki

Shama Zindan Mein Manga Dy Koi
Aakhri Raat Hai Sakina Ki

Kaisa Manzar Tha Qaid Mein Akbar
Chaar Janib Tha Shor Giriya Ka
Ly Ky Sajjad Ny Sakina Ki
Goud Mein Sar Jo Rakha Baba Ka
Sar E Shabbir Sy Sada Aai
Aakhri Raat Hai Sakina Ki

Shama Zindan Mein Manga Dy Koi
Aakhri Raat Hai Sakina Ki

No comments:

Post a Comment