Sunday, 16 February 2025

Mir Hasan Mir (2021)

Hayee Ali,Hayee Ali, Hayee Ali, Hayee Ali
 
Fajar unisween ramzan ki tarpati hai
Fatima zehra ki jis waqt sadaa ati hai
 
Aa dekh le Zainab,tera zakhmi Baba,ghar loat ke ayaa hai
 
Kandho pe uthai,yun bete hain laaye,lagta hai janaza hai
Aa dekh le Zainab, tera zakhmi Baba, ghar loat ke ayaa hai
 
Mushkil se safar yeh te hai Kiya,jaari hai lahoo ka darya
Masjid se ghar tak,har ik qadam per,beton ne sambhala hai
Aa dekh le Zainab, tera zakhmi Baba, ghar loat ke ayaa hai
 
Halat hee ajab hai baba ki pehchanna mushkil hoga
Zehra ki garibi,yaad aye gi Bibi,tar khoon mai chehra hai
Aa dekh le Zainab, tera zakhmi Baba, ghar loat ke ayaa hai
 
Jirah se hujre ke bahir jab haal hassan ne pucha
Wo ro ke pukara,mushkil hua jeena,yeh zakham hee aesa hai
Aa dekh le Zainab, tera zakhmi Baba, ghar loat ke ayaa hai
 
Ab sham e gariban mai tum ko,yeh chehra nazar ayega
Ae sani e zehra,kuch roz ka mehman,ab ap ka baba hai
Aa dekh le Zainab, tera zakhmi Baba, ghar loat ke ayaa hai
 
Yeh shana hila ker kehti hain Abbas jari ki madar
Bibi uth jao,ashkon ko chupao,Baba ne bulaya hai
Aa dekh le Zainab, tera zakhmi Baba, ghar loat ke ayaa hai
 
Qadmon mai gir ke zainab ke,ghazi ki behan yeh boli
Baba ko bachalo,sadqe mujhe kardo,hazir yeh ruqaiyya hai
Aa dekh le Zainab, tera zakhmi Baba, ghar loat ke ayaa hai
 
Ik Roz akaile aana hai,is shehar mai tujh ko Bibi
Kiya hoga najane,shehzadi abhi se,badla hua kufa hai
Aa dekh le Zainab, tera zakhmi Baba, ghar loat ke ayaa hai
 
Shabbar ka jigar, Shabbir ka sar, Abbas jari ka bazoo
Katte dekhogi,ae baba ki piyari,yeh zakhm to pehla hai
Aa dekh le Zainab, tera zakhmi Baba, ghar loat ke ayaa hai
 
Yeh keh ke taqallum beti se,khamosh hui the maula
Darbar ke dar per,mai aoga milne,zainab mera waada hai
Aa dekh le Zainab, tera zakhmi Baba, ghar loat ke ayaa hai

Ya Ali (as) Adrikni 

Ro Ky Bazar Main Daiti Thi Sada Binte Ali (as)
Ya Ali (as) Adrikni, Ya Ali (as) Adrikni 

Nok e Neza Sy Sada Daita Hai Ibn e Zehra (sa)
Log Zainab (sa) Ki Taraf Dekh Rahay Hain Baba 
Zair e Khanjar Nazar Ati Hai Tumhari Baiti 
Ya Ali (as) Adrikni, Ya Ali (as) Adrikni 

Imtehan Ghairat e Sajjad (as) Ka Kaisa Hoga 
Qatal Darbar Main Sajjad Dobara Hoga
Mangnay Aya Hai Bachi Ko Kaneezi Main Shaaqi
Ya Ali (as) Adrikni, Ya Ali (as) Adrikni 

Kehdo Zalim Sy Mujhay Mar Ly Akar Dur’ra
Baba Zainab (sa) Sy Yea Manzar Nahi Dekha Jata
Marta Hai Who Meray Bhai Ky Honton Py Chari 
Ya Ali (as) Adrikni, Ya Ali (as) Adrikni 

Sar Khulay Sham Main Sadat, Jidhar Jatay Hain 
Log Pathar Liye Pehle Hi, Nazar Atay Hain
Ajj Bazar Main Mar Jaye, Na Koi Bibi 
Ya Ali (as) Adrikni, Ya Ali (as) Adrikni 

App Ky Samne Jo Baat Nahi Karti Thi
Ajj Bazar Main Woh Baiti Bhi Khutbay Degi
App Ky Lehjay Ki Is Waqt, Zaroorat Hai Bari 
Ya Ali (as) Adrikni, Ya Ali (as) Adrikni 

Abhi Darbar Sy Pehle Hi, Guzar Jayegi 
Sun Liya Sani e Zahra (sa) Ny To Mar Jayegi
Log Kehte Hain Hussain (as) Ibn Ali (as) Ko Baghi 
Ya Ali (as) Adrikni, Ya Ali (as) Adrikni 

Saray Bazar Ny Hans Hans Ky, Tamasha Dekha
Aur Bhi Shimr Ny Is Baat Py, Is Ko Mara 
Jab Tamanchon Py Sakina (sa) Yea, Tarap Kar Boli 
Ya Ali (as) Adrikni, Ya Ali (as) Adrikni 

Bab e Sa’at Ka Jo Bazar Sy Dekha Manzar
Thay Takallum Wahan Sub Log Uthaye Pathar
Sani e Zehra (sa) Yea Kehti Hui Naqay Sy Giri 
Ya Ali (as) Adrikni, Ya Ali (as) Adrikni 

Woh Waqt Yaqeenan AAayega
Maula...
Kabhi Aye Haqeeqat e Muntazar
Nazar Aa Libas e Majaz Mein
Ke Hazaron Sajday Tarap Rahe
Hain Meri Jabeen e Niaz Main

Woh Waqt Yaqeenan Aayega, Woh Waqt Yaqeenan Aayega
Jab Hujjat e Daur Ke Hatho'n Mein
Ghazi Ka Alam Lehrayega
Woh Waqt Yaqeenan Aayega..(2)
Allahumma ajjil li waliyyi kal faraj(a.t.f.s.)

1. Jis Din Sajjad Ke Ashqo'n Ki
Tadaad Bataye Jayegi 
Aur un Ashqo'n Ke Badle Mein
Talwar Chalayi Jayegi 
Us Sar Se Jism Juda Hoga..(2)
Talwar Se Jo Takrayega
Alam Lehrayega, Lehrayega
Woh Waqt Yaqeenan Aayega..(2)
Ya.. Mahdi!!

2. Har Ek Mazloom Ki Aas Hai Yeh
Hujjat Ka Shams Tuloo Hoga
Phir Shaam Jigar Se Utregi
Sajjad Ka Khatam Ruku Hoga
Phir Noor e Aman Yu Phelay Ga..(2)
Har Zulm Ko Rondha Jaayega
Alam Lehrayega, Lehrayega
Woh Waqt Yaqeenan Aayega..(2)
Allahumma ajjil li waliyyi kal faraj(a.t.f.s.)

3. Dadi Ka Haq Woh Maange ga
Apni Talwar Ke Sath Kabhi
Jo Haath Ridaein Loot-te Hai
Kat Jayenge Woh Haath Sabhi
Tatheer Ke Ghar Ki Surat Phir..(2)
Koi Ghar Na Loota Jaayega
Alam Lehrayega, Lehrayega
Woh Waqt Yaqeenan Aayega..(2)

4. Abad Baqaiyya Tha Jis Jaa
Woh Roza Kaise Toota Hai
Kis Kis Ne Yaha'n Kaise Kaise
Sadaat Ke Ghar Ko Loota Hai
Talwar Batati Jayegi..(2)
Woh Khoon Bahata Jaayega
Alam Lehrayega, Lehrayega
Woh Waqt Yaqeenan Aayega..(2)

5. Baaghi Ki Beti Jis Ne Bhi
Choti Bibi Ko Bola Tha
Namoos e Nabi Ko Raho'n Mein
Durro'n Se Jis Ne Maara Tha
Un Sab Ko Bana Kar Qaidi Wo..(2)
Bazaar e Shaam Mein Laayega
Alam Lehrayega, Lehrayega
Woh Waqt Yaqeenan Aayega..(2)
Ya.. Mahdi!!

6. Phir Ehlebait Madine Mein
Aabad Karenge Ghar Apna
Aur Lenge Bani Hashim Mil Kar
Kuch Parde Daro'n Ka Badla
Abbas Ki Chup Bhi Tootegi..(2)
Besher Bhi Teigh Uthayega
Alam Lehrayega, Lehrayega
Woh Waqt Yaqeenan Aayega..(2)

7. Gohar Mulko'n Ki Sarhad Se
Insaa’n Taqseem Nahi Hoga
Haan Naam Nehad Mazahib Mein
Qura’n Taqseem Nahi Hoga
Woh Adil Saari Duniya Ko..(2)
Ek Adl Ka Sheher Banayega
Alam Lehrayega, Lehrayega
Woh Waqt Yaqeenan Aayega..(2)
Ya.. Mahdi!!

Allahumma ajjil li waliyyi kal faraj(a.t.f.s.)

haye abbas haye abbas
al-e-imran kahan aur zindan kahan
le behan qaid hui 
tu na aya ghazi
jab rida sar se chini  mai sada deti rahi
tu na aaya ghazi

1. aagai sham e alam lut gaye ehl e haram
rait per jalti hui hogaya thanda alam
pursa dene ke liye tujh se milne ke liye agaye baba ali
tu na aya ghazi
jab rida sar se chini me sada deti rahi
tou na aaya ghazi

2. dhoop main to tha shajr tujh se abad tha ghar
hai barhana mera sar kiya nahi tujh ko khabar
aye alamdar e wafa us behan ko ba khuda tujhse dharas thi bari
tu na aya ghazi
jab rida sar se chini me sada deti rahi
tou na aaya ghazi

3. kiya kahon sher mere be rida hum ko liye
ye musalman saray shehr dar shehr gaye
khalqat e kufa kabhi khalqat e sham kabhi baraha hum pe hansi
tu na aya ghazi
jab rida sar se chini me sada deti rahi
tou na aaya ghazi

4. kitni bebas thi behan aye shehanshah e wafa
naam le le ke mera jab ye zalim ne kaha
naaz tha jis pe tujhe ab bulao na usay
aur main roti rahina aya ghazi
tou na aaya ghazi

5. hum ko pani na mile teri khushboo to rahay
tere bazu na katain chahe mashkeza chiday
ye magar ho na saka tere bazu hain juda
mujh pe hai tashna labi na aya ghazi
tu na aaya ghazi
jab rida sar se chini me sada deti rahi
tou na aaya ghazi

6. kya sakina se kahon aye mere dil ke sukoon
haye pani ke liye beh gaya sub tera khoon
abb koi aas nahi tou mere pass nahi
rasi shanoon main bandhi na aya ghazi
tu na aaya ghazi
jab rida sar se chini me sada deti rahi
tou na aaya ghazi

7. jab chali sheh pe churi aye mere sher e jari
hath malti thi behan kuch qadam dur khari
kaat gaya sheh ka gala haye bhai ne sada
mujh ko har zarb pe di
tu na aya ghazi
jab rida sar se chini me sada deti rahi
tou na aaya ghazi

8. qaid khane main qaza jab sakina ko mili
de ke kurtay ka kafan bachi dafnaye gaye
us ghari naam tera surat e naad e ali
bus main dohrati rahi
tu na aya ghazi…..x2
jab rida sar se chini me sada deti rahi
tou na aaya ghazi

9. roya rehan kalam kar ke ye baat rakam
khoon main doob gaya mera ghazi ka alam
zakhmi zainab ka jigar khoon fishan shah ka sar
aye khaymon main shaqi
tu na aya ghazi
jab rida sar se chini me sada deti rahi
tou na aaya ghazitu na aya ghazi…..x3

Lut Ky Jab Kafla Shireen Ky Maka'an Tak Pohncha
Nook e Neza Sy Yea Anay Lagi Mola Ki Sada
Wada Hua Wafa Ekk Sar Ny Di Sada
Shireen Main Agaya

Ghar Mera Lut Gaya
Zainab Hai Be Rida
Shireen Main Agaya
Wada Hua Wafa Ekk Sar Ny Di Sada
Shireen Main Agaya

Kuch Dair Ky Liye Hai Tere Ghar Main Bus Qayam
Jaldi Sy Kar Ghareeb Ki Majlis Ka Ehtamam
Aye Hain Fatima Farsh e Aza Becha
Shireen Main Agaya
Wada Hua Wafa Ekk Sar Ny Di Sada
Shireen Main Agaya

Maray Hain Sang Shehr Ky Logon Ny Is Qadar
Behnon Ky Sath Sath Hai Zakhmi Mera Bhi Sar
Pechan Abb Zara Chehra Lahu Bhara 
Shireen Main Agaya
Wada Hua Wafa Ekk Sar Ny Di Sada
Shireen Main Agaya

Woh Keh Rahi Thi Bhai Mujhay Sharm Ayegi 
Shireen Ko Bint e Fatima Kya Mou Dikhaye Gi 
Zainab Hai Be Rida Ghar Ky Diye Bujha 
Shireen Main Agaya
Wada Hua Wafa Ekk Sar Ny Di Sada
Shireen Main Agaya

Pairon Sy Meri Behnon Ky Kante Nikal Ly
Woh Dekh Gir Rahi Hai Sakina (sa) Sambhal Ly
Ly Kar Tumhare Ghar Pyason Ka Kafla 
Shireen Main Agaya
Wada Hua Wafa Ekk Sar Ny Di Sada
Shireen Main Agaya

Rukhsat Ky Din Ridain Di Thin Kis Liye
Sar Nangay Meray Kunbay Ki Halat Sy Jaan Ly
Abb Waqt Agaya Lacha Daren Wo La 
Shireen Main Agaya
Wada Hua Wafa Ekk Sar Ny Di Sada
Shireen Main Agaya

Zakhmon Sy Chor Chehray Ko Pechanti To Ho
Mehman Tum Hussain (as) Ko Abb Manti To Ho
Barh Kar Utaro Phir Nezay Sy Sir Mera
Shireen Main Agaya
Wada Hua Wafa Ekk Sar Ny Di Sada
Shireen Main Agaya

Barat Ly Ky Aya Hoon Karyal Jawan Ki 
Halat Magar Ajeeb Hai Is Khandan Ki 
Dulha Ky Sath Hai Nezay Py Sar Mera
Shireen Main Agaya
Wada Hua Wafa Ekk Sar Ny Di Sada
Shireen Main Agaya

Tanay Tou Roz Sunti Thi Woh Bhool Jayenge
Itnay Ameer Log Teray Ghar Kyun Ayenge 
Jao Un Sy Kehday Jab Nezay Py Hoon To Kya
Shireen Main Agaya
Wada Hua Wafa Ekk Sar Ny Di Sada
Shireen Main Agaya

Shireen Rida Sambhal Ky Dar Ki Taraf Barhen
Haye Hussain (as) Keh Ky Takallum Woh Ro Paren 
Zakhmi Labon Sy Jab Anay Lagi Sada 
Shireen Main Agaya
Wada Hua Wafa Ekk Sar Ny Di Sada
Shireen Main Agaya

Nana di qabar te kehnde rae ro ro ke Hassan Hussain
Tur chali ay Nana dunya tun teri dhi tere dil da chain
Atun apne zulm chupaon layi darbari aekhu kehan

Beemar ae taiyun kerdi ae dhi paak nabi di wen

Nana beemar nai maa zakhmi ae
Jis roz toon buha dugya ae
Hat paase te rakh ke
Bus rondhi rehndi ae

Tehreer te tukre jis din de
Darbaro naal liyai
Rab jane kis tayari layi
Har tukre di sitran
Zainab nun sunandi ae

Zainab diyan banwan te umri
De de ke bose akhe
Ae si darbar madine da
Oo sham ae Zainab
Teri peshi ookhi ae

Ki haal dasaa tun janda aen
Darwaza heath se amri
Bus ae das daan teri ummat
Darwaza tun Nana
Turdi hui guzri ae

Raatan di khmoshi de ander
Jiven gunjan azanaan
Oodhi pasliyan de do huwan di
Awaaz wi Nana
Yasrab wich gunjhi ae

Ae wen si mere babe da
Haye kaash Ali mar janda
Umri nal hui gustakhi
Tre veer Ali ne
Ankhiyan nal wekhi ae

Akber shabbir ne ven Kita
Yaqoob wi khoon se roya
Jinhan yousuf layi oo roya si
Maa roz hee oonan
Mohsin layi rondhi ae

Jadun putar de samne umri de
Chehre te aya neel ae
Is roz tun iztan wali maa
Mere veer Hassan de
Nayi samne andhi ae

Karbala Diyan Maawan 4

Jado Hoi Mansha Khaliq Di
Karbal Nu Arsh Banawan
Likhy Baadon Naam Bahattaran Dy
Rab Likhya Pehly Maawan

Maawan Karbala Diyan Maawan

Putran Diyan Lashan Dy Tukde
Rahian Lahbdian Wich Sehrawan

Maawan Karbala Diyan Maawan

Haye Maan Akbar Di Maan

Sabr Dy Maalik Nu
Sainrh Laila Akhy
Izn Jey Daiwen Ty
Main Sabr Di Saanj Ich
Akbar Dy Seeny Chon Saang Hatawan

Maawan Karbala Diyan Maawan

Haye Maan Qasim Di Maan

Akhy Maan Qasim Di
Maan Ty Ehsan Kareen
Dair Taiin Larhda Rahween
Teri Tukrhy Mutabiq Wadhnian Ny
Mery Veer Hussain Di Sahwan

Maawan Karbala Diyan Maawan

Haye
Jaidon Qaidi Ho Ky
Lahngian Maqtal Cho
Wainrh Zainab Keeta
Lashan Wal Maawan
Na Waikhan
Kity Ruk Na Jaawan Sahwan

Maawan Karbala Diyan Maawan

Sainrh Zainab Ny Kehya
Khol Abid Akhiya
Jaity Sahwan Rukkian
Menu Sham E Ghareeban Dy Wely
Daiwy Ga Kon Salaahwan

Maawan Karbala Diyan Maawan

Putran Diyan Lashan Dy Tukrhy
Rahiaan Lahbdian Wich Sehrawan

Maawan Karbala Diyan Maawan

Haye Ghazi Di Maan

Wainrh Kulsoom Da Si
Laal Maan Ky Ghazi
Tenu Main Palya Si
Mery Sir Di Chadar
Vee Lath Gai
Jado Lathian Terian Baahwan

Maawan Karbala Diyan Maawan

Haye Maan Asghar Di Maan

Saang Ty Asghar Nu
Waikh Ky Akhy Rubab
Jey Na Qaidi Howan
Sir Saang Ty Tera
Lahwan Lai
Main Dair Kadi Na Laawan

Maawan Karbala Diyan Maawan

Haye Maan Hussain Di Maan

Shimr Dy Khanjar Dy
Waar Zahra Roky
Naal Ay Sainrh Kahway
Main Chakkian Pees Ky
Palya Si
Keewen Hath Gardan To Chaawan

Maawan Karbala Diyan Maawan

Ya Mahdi
14 Saddian Hoian
Fatima Di Noohan
Al Ajal Parhdian
Saqlain Ajy Vi
Takdian Ny
O Mahdi Putar Di Raahwan

Maawan Karbala Diyan Maawan

 

Haye Haye Ali Asghar
Maa Ke Dulaare Ali Asghar
Aankhon Ke Taare Ali Asghar
Aag Lagi Hai Khaymon Main 
Aye Mere Pyare Ali Asghar

Maa Kehti Thi Jalte Huay Jhule Se Lipat Kar, Haye Haye Ali Asghar
Haye Haye Ali Asghar

Zalim Ne Tujhe Qabr Se, Iss Tarha Nikala 
Seene Pe Laga Jis Ghari, Beta Tere Naiza
Laashe Ko Tere Dekh Ke, Bola Sar-e-Akbar
Haye Haye Ali Asghar
Maa Kehti Thi Jalte Huwe Jhule Se Lipat Kar, 
Haye Haye Ali Asghar, 
Maa Ke Dulaare Ali Asghar
Ankhon Ke Taare Ali Asghar

Haan Dil Tera Mil Jaye Toh, Khud Poch Lun Us Se
Kya Jurm Tha Chhe (6) Maah Ke, Bachhe Ka Bata De
Us Ny Toh Bulaya Nahi, Maa Bhi Mujhe Keh Kar
Haye Haye Ali Asghar
Maa Kehti Thi Jalte Huay Jhule Se Lipat Kar, 
Haye Haye Ali Asghar, Haye Haye Ali Asghar

Ab Tak Meri Aankhon Se Woh Manzar Nahi Jata
Gardan Se Teri Khoon Tapak Ta Raha Beta
Rumaal Bhi Bandha Na Gaya Tere Galey Par
Haye Haye Ali Asghar
Maa Kehti Thi Jalte Huay Jhule Se Lipat Kar, 
Haye Haye Ali Asghar, Haye Haye Ali Asghar

Jis Teer Se Naqey Ko Giraate Hain Zameen Par
Woh Teer Laga Nanne Se Halqoom Pe Aa Kar
Tum Khoon Ugalte Rahe, Baba Se Lipat Kar
Haye Haye Ali Asghar
Maa Kehti Thi Jalte Huwe Jhule Se Lipat Kar, 
Haye Haye Ali Asghar, Haye Haye Ali Asghar

Tum Mar Gaye Yea Baat Woh Ab Tak Nahi Maani
Zid Kar Ti Hai Bhai Ko Pilaaungi Main Paani
Kooza Liye Maqtal Main Khari Hai Teri Khuwahar
Haye haye Ali Asghar
Maa Kehti Thi Jalte Huay Jhule Se Lipat Kar, 
Haye Haye Ali Asghar, Haye Haye Ali Asghar
Maa Ke Dulaare Ali Asghar
Aankhon Ke Taare Ali Asghar

Majboor Thi Ghar Main Mere Pani Hi Nahi Tha
Warna To Dhula De Ti Main Yea Khoon Bhara Chehra
Dadi Sy Shikayat Nahi Karna Meri Jaa Kar
Haye Haye Ali Asghar
Maa Kehti Thi Jalte Huay Jhule Se Lipat Kar, 
Haye Haye Ali Asghar, Haye Haye Ali Asghar

Maara Hai Sitamgar Ne Sakina Ko Tamacha
Ghazi Ki Tarha Tum Se Bhi Dekha Nahi Jaata
Band Aankhein Kiye Rote Ho Tum Noke Sina Par
Haye Haye Ali Asghar
Maa Kehti Thi Jalte Huwe Jhule Se Lipat Kar, 
Haye Haye Ali Asghar, Haye Haye Ali Asghar

Sar Iss Liye Nezay Se Gira Dete Ho Apna
Godi Main Meri Aana Hai Shayad Tumhe Beta
Lekin Hai Bandhe Haath Utha Sakti Nahi Sar
Haye Haye Ali Asghar
Maa Kehti Thi Jalte Huay Jhule Se Lipat Kar, 
Haye Haye Ali Asghar, Haye Haye Ali Asghar

Sajjad Woh Kehti Thi Chala Bhi Nahi Jaata 
Do-Chaar Qadam Baad Hi Gir Jaati Hoon Beta
Meri Bhi Kamar Kham Hai Teri Lash Utha Kar
Haye Haye Ali Asghar
Maa Kehti Thi Jalte Huay Jhule Se Lipat Kar, 
Haye Haye Ali Asghar, Haye Haye Ali Asghar
Maa Ke Dulaare Ali Asghar
Aankhon Ky Taare Ali Asghar
Aag Lagi Hai Khaymon Main 
Aye Mere Pyare Ali Asghar

Shiddat-e-Sabar Se Mar Jaye Na Maa Akbar Ki.
Din Madine Mein Woh Taqdeer Ne Dikhlaya Hai.
Jis Ne Mari Thi Kalejay Mein Sina Akbar Ke.
Ban Ke Mehman Woh Sajjad Ke Ghar Aaya Hai.

Ghar Mein Aaya Hai Qatil-e-Akbar Umm-e-Laila Ko Ho Gayi Hai Khabar.
Sheh Taraptay Hain Qabar Ke Andar Maa Tarapti Hai Qabar Se Bahir.

Phir Wohi Kaifiyat Hai Laila Ki Haal Tha Jo Jawaan Ke Lashay Par.
Oss Ke Qadmo Ki Aahatein Sun Kar Maa Ne Thama Howa Hai Apna Jigar.

Chehra Karb-o-Bala Ki Janib Hai Pani Hathoon Mein Le Ke Roti Hai.
Phir Raha Hai Nigah Mein Maa Ki Ali Akbar Ki Maut Ka Manzar.

Umm-e-Laila Sanbhal Zainab Ko Kal Yeh Shabeer De Rahe They Sada.
Aaj Abid Phophi Se Kehte Hain Maa Ko Meri Sanbhaliye Ja Kar.

Qabar-e-Zahra Se Aa Rahi Hai Sada Iss Ne Mara Hai Mere Baba Ko.
Phir Madine Mein Ik Qayamat Hai Hil Raha Hai Mazar-e-Paygamber.

Ali Akbar Lipat Ke Qadmo Se Keh Rahe Hoon Gay Apne Baba Se.
Toot Jaye Na Zabt Ka Bandhan Hosla Maa Ko Dijiye Ja Kar.

Sar-e-Akbar Utha Ke Naizay Par Umm-e-Laila Ko Yeh Dikhata Tha.
Oss Ko Kaisay Woh Bhool Sakti Hai Jis Se Khaye They Sham Mein Pathar.

Yeh Kareemi Se Ruk Nahi Saktay Qatilon Ko Duaein Detey Hain.
Iss Se Pehle Ke Bakhsh Dein Abid Koi Mukhtar Se Kahey Ja Kar.

Tum Ne Sajjad Mujh Ko Pehchana Sun Ke Qatil Se Bolay Yeh Maula.
Tu Woh Ibn-e-Numayr Hi Hai Na Jis Ne Tukray Kiya Hamara Jigar.

Kal They Mehman Hum Tere Zalim Aaj Mehman Tu Hamara Hai.
Our Kuch Chahiye Bata Tujh Ko Abhi Keh Doon Phophi Se Main Ja Kar.

Dil Nahi Lagta Aaj Ghar Mein Mera Aye TAKALLUM Yeh Maa Ka Noha Tha.
Tham Kar Koi Mere Bazu Ko Le Chaley Fatima Ki Turbat Par.

Haye akbar, haye akbar..(2)
Ayna ayna ali akbar?
Ayna ayna ali akbar?

Haye akbar, haye akbar
Haye akbar, haye akbar

Bete ke qatilo'n se, ek baap puchta hai..(3)
Koi mujhe bata de, laasha kaha'n pada hai
akbar mera kaha'n hai?
Bete ke qatilo'n se, ek baap puchta hai..(2)

1. Dil par meri bahan ke khanjar chala diya hai
kisne hamare ghar ka suraj bujha diya hai
din mein andhera meri, ankho'n mein hogaya hai
akbar mera kaha'n hai?
Bete ke qatilo'n se, ek baap puchta hai..(2)

2. Pyaase ko bewatan ko, itna to mat satao
chal chalke thak gaya hu, logo mujhe batao
ab aur kitna baaqi, maqtal ka fasla hai
akbar mera kaha'n hai?
Bete ke qatilo'n se, ek baap puchta hai..(2)

3. Ghazi ko tumne maara, mai chup raha na bola
akbar ko maara naiza, mai chup raha na bola
tumse sawaal karlu, itna to haq mera hai
akbar mera kaha'n hai?
Bete ke qatilo'n se, ek baap puchta hai..(2)

4. Maa ko baghair dekhe, beta guzar na jaye
pohcha do mujhko jaldi, mazloom marr na jaye
awaaz aa rahi hai, wo hichki le raha hai
akbar mera kaha'n hai?
Bete ke qatilo'n se, ek baap puchta hai..(2)

5. Khaime se jab chala tha, kehti thi meri behna
pamaal ho na jaye, akbar ki laash bhaiyya
kaano mein mere ab tak, baaqi wahi sadaa hai
akbar mera kaha'n hai?
Bete ke qatilo'n se, ek baap puchta hai..(2)

6. Dil baitha jaa raha hai, rukte nahi hai aasu
jungle se aa rhi hai, uske lahu ki khushbu
kuch saanse chal rahi hai, ya sher chal basaa hai
akbar mera kaha'n hai?
Bete ke qatilo'n se, ek baap puchta hai..(2)

7. Aulad e Mustafa se kis tarha phir gaye ho
kadyal jawa'n ka marna aasa'n samajh rahe ho
tumlog has rahe ho, dil mera ro raha hai
akbar mera kaha'n hai?
Bete ke qatilo'n se, ek baap puchta hai..(2)

8. Ehle haram ki akbar, ummeed akhri hai
kehti hai ye zaeefi, mera asaa yehi hai
ab do qadam bhi chalna, dushwar ho gaya hai
akbar mera kaha'n hai?
Bete ke qatilo'n se, ek baap puchta hai..(2)

9. Ghurbat hai aur takallum ibn e shahe najaf hai
koi bola is taraf hai, koi bola us taraf hai
akhir pukare maula, ghazi tumhe pata hai
akbar mera kaha'n hai?
Bete ke qatilo'n se, ek baap puchta hai..(2)

Haye akbar, haye akbar..

Yeh Pak Nabi (saw) Kay Ghar Ka Matam Hai
Jo Sajday Main Qatal Hua Us Hadi (as) Ka Matam Hai

Asghar (as) Ko Pani Nahi Dia Masoom Ko Teer Mara Hai
Kalma Parhnay Waloon Ki Bay Dardi Ka Matam Hai

Tum Nay Pak Muhammad (saw) Ki Aulad Ko Ban Main Rulaya Hai
Yeh Kofay Kay Musalmanoon Ki Bay Ahadi Ka Matam Hai

Yeh Laila (sa) Ki Khuwahish Thi Kay Akbar (as) Ko Dulha Banaoon
Jo Shadi Jangal Main Hue Us Shadi Ka Matam Hai

Zainab (sa) Ki Chadar Lutnaa Sajjad (as) Kay Liye Mout Say Barh Kar Tha
Jo Chalees (40) Saal Khoon Roya Hai Us Qaidi Ka Matam Hai

Jis Nay Kofay Ki Aurat Ko Parday Ki Taleem Di Thi
Us Shehar Main Bay Chadar Us Shahzadi (sa) Ka Matam Hai

Azad Us Nay Qaid Reh Kay Matam Ki Bunyaad Rakhi Hai
Ek Saal Baad Zainab (sa) Ki Azadi Ka Matam Hai

Ashur Dee Shab Vich Khaimian De Pyoo Puttar Noo Kuj Samjhanda Riya
Apnay Arman Sunanda Riya
Aye Raat Fazal Lang Jaan Te De Din Dasween Da Charh Jaan Te De
Fir Vaikheen Baba Kee Karda Ae, Hik Vari Vela Aan Te De

Jado’n Veer Hassan Dee Mayat Te Loka’n Teer Chalaye Sun
Main Vain Udoo’n Ve Paey Sun
Deva’n Badal Mein Naqsha Yasrab Da, Menoo’n Mola Tegh Chalan Te De

Ae Ghat Te Naeen Shehzadian Sub Menoon Chacha Ghazi Kaindian Nay
Mera Naam Adab Naal Laindiyan Nay
Menoo’n Naal Bhateejiyan De Mola Rishtay Da Maan Nibhan Te De

Kal Charda Suraj Vekhay Ga Kee Rang Meri Shamsheer Da Ae
Te Kee Matlab Takbeer Da Ae
Jang Fajar Tou Pehlan Muk Jaway, Ik Baar Akbar Azaan Te De

Ghar Ujraya Behan Ruqqaya Da Mera Muslim Koofian Mar Dita
Mein Rondiyan Dheeyan Takda Riya
Kar Fazal Duawan Ajj Mola, Menoon Behn Da Qarz Lohaan Te De

Jay Sham De Ik Ik Veray Chon Awaz Na Aaway Rowan De
Te Mera Naan Ve Ghazi Naeen
Bus Ma’n Zahra(sa) De Naa’n Mola, Menoon Apna Aap Azmaan Te De

Mein Verkhya Saen Rubab Meri Pae Gal Asghar Da Chumdi Ae
Baray Maan De Naal Ae Kaindee Ae
Rakh Hosla Pani Aaway Ga, Ghazi(as) Noo Nehr Te Jan Te De

Ae Karbal Ae Koee Yasrab Naee’n Dar Pak Batool Da Jal Jaway
Te Baba Tegh Ve Na Chaway
Mein Sham Te Kufa Saar Dawan, Koee Ag Da Ajj Farman Te De

Mein Aaqazadi Zainab(sa) Dee, Akh Wich Athroon Naeen Tak Sakda
Onoo’n Maan Ae Meri Baanwa’n Da
Mera Sar Lathda Ae Lath Jaway, Bus Saen Da Veer Bachaan Te De

Akbar Kahway Ghazi(as) Aj De Laee, Menoon Maan Zahra(sa) Ne Mangya See
Maan Um-ul-Baneen(sa) Nay Dasya See
Bhawain Neza Ve Na Deway Menoon, Buss Mola Maqtal Jaan Te De

Aye Jaun Bhai Ho Tum Meray 
Abbas Ki Kasam Tumhain Lag Jao Na Galay

Baba Bhi Aye Hain Meray Nana Bhi Aye Hain
Chehray Ka Noor Dekhiye Musa Bhi Aye Hain 
Yousuf Kharay Huye Hain Ziyarat Ky Waste

Tujh Ko Duain Ajj Sy Dy Gi Dua-e-Noor
Khushboo Teray Paseenay Ki Phelay Gi Dur Dur
Mil Jaye Ga Lahu Tera Khoon-e-Hussain Sy

Ahl-e-Haram Ko Tum Sy Hai Dharas Meray Delar
Pehra Do Phir Khayam Ka Utho Aye Meray Sher
Kyun Ja Rahe Ho Tum Mujhay Ghurbat Main Chor Ky

Karna Dua Hussain (as) Py Asa Na Waqt Aye 
Koi Sada Dy Hum Ko Aur Hum Sy Chala Na Jaye 
Lasha Tumhara Dhast Sy Hum Khud Uthainge 

Ahista Kehna Saqi-e-Kausar Sy Mera Haal
Rakhti Thi Meri Pyas Ka Amma Bohat Khayal
Ghurbat Na Ho Bayan Meri Amma Ky Samne 

Aye Hain Zakhm Tum Ko Meri Jaan Kahan Kahan
In Zalimon Ny Maari Hain Seenay Py Barchiyan
Shabbir Kis Tarhan Sy Tumhare Galay Lagay

Tou Ny Gala Kataya Hai Pehle Hussain (as) Sy
Dilwainge Jaza Woh Shahe Mashraqain (saw) Sy
Chadar Utha Ky Deti Hain Amma Dua Tujhay  

Seenay Laga Ky Kehne Laga Ibn-e-Fatima (sa) 
Khushboo Sy Teri Mehkee Gi Ta Hashr Karbala 
Bou Hai Tere Paseenay Main Kis Ny Kaha Tujhay

Jaldi Thi Dekho Jaun Ko Sajjad Kis Qadar
Dhaal Aur Zira Ko Phenk Ky Seena Kiya Sipar
Jis Dum Suna Hussain (as) Sy 

Tere baba ka zakhmi lasha,baghdad ke pul per rakha hai
Ya imam raza,ya imam raza,ya imam raza

Aaj Baghdad Me Koi Qaidi, ho gaya hai reha raza maula x 3
Pool pe tere gareeb baba ka x 2, hai janaza rakha raza maula

Aaj Baghdad Me Koi Qaidi, ho gaya hai reha raza maula x 2

Aik Bibi Sirhaney Bethi Hai Kis Ne Jane Ossay Khabar Ki Hai.
Hath Pehlu Pe Apne Rakhay Hoye Aayi Hai Fatima Raza Maula.

Raat Se Pul Pe Lasha Rakha Hai Jo Guzarta Hai Iss Pe Hansta Hai.
Be Basi Par Tumharey Baba Ki Ro Rahi Hai Qaza Raza Maula.

Haal Achay Nahi Hain Maiyyat Ke Aa Ja Ijaz Se Imamat Ke.
Shehar-e-Baghdad Se Madine Ka Hai Bohat Fasila Raza Maula.

Ik Manadi Nida Yeh Deta Hai Rafaziyon Ka Maula Mara Gaya.
Aaj Aoulad Par Muhammad Ki Waqt Kya Aa Gaya Raza Maula.

Kabhi Dadi Ko Yaad Karta Tha Kabhi Beti Ko Yaad Karta Tha.
Waqt-e-Aakhir Tha Oss Ke Honton Par Fatima Fatima Raza Maula.

Qaid Khane Se Pul Talak Iss Ko Chand Mazdoor Le Ke Aaye Hain.
Ayeriyon Ke Nishan Ghurbat Ka De Rahe Hain Pata Raza Maula.

Tauq Gardan Ka Paon Ki Beri Yeh takallum Sadaein Detey Hain.
Inna Lillah Parh Ke Baba Ka Ab Janaza Utha Raza Maula.

 

No comments:

Post a Comment