Ya ali.. ya ali...Ya ali.. ya ali.....
Ya ali.. ya ali... ya ali.. ya aliii...
Aise hum saqiye kausar ki taraf dekhte hai..(3)
Jis tarha pyaase..(2) samandar ki taraf dekhte hai
1. Yaad aata hai hume 13 rajab ka manzar..(2)
Jab bhi Allah.. (2) tere ghar ki taraf dekhte hai
2. Khud samajh jaata hai malik ka ishara malik..(2)
bus ali malik e ashtar ki taraf dekhte hai
3. Ayatein ho ya Mohammad ho amaa'n ki khatir..(2)
Fatima zehra..(2) ki chadar ki taraf dekhte hai
4. Jab nuseri mere maula ko khuda kehta hai..(2)
has ke salmaan abuzar ki taraf dekhte hai
5. Hausla apna badhane ke liye mushkil mein..(2)
ambiya khud..(2) ali asghar ki taraf dekhte hai
6. Ruk jaa aye maut ziyarat ka maza lene de..(2)
hum abhi chehra e ..(2) Haider ki taraf dekhte hai
7. Lafz khud aale Mohammad ki sana mein "akbar"..(2)
jod kar hath sukhanwar ki taraf dekhte hai
Aise hum saqiye kausar ki taraf dekhte hai..(2)
Ali ali ..ya ali..(2)
ali ali ali ali ..ali ali.. ali ali ali ali.. haider..(2)
Hai ye farmaan e payambar
kaho haider haider
Misle salmaan o abuzarr
kaho haider haider
hai ye meesam ke sabab maut se darna kaisa
dhaar ho ya tahe khanjar kaho haider haider
Ali ali ..ya ali..(2)
aisa mera maula.. ali ali ali haider
aisa mera maula.. ali ali ali haider
adaa ye sunnate sarkaar karo..(2)
ali e murtaza se pyaar karo
haider maula.. ali maula..(2)
1. Qaza se hargiz na khauf khana tum
wo hai kaneez e fatima
janab e meesam ne khud sikhaya hai
ali ali ka tazkera
har ek koocha har dayaar karo
ali e murtaza se pyaar karo
haider...
haider maula.. ali maula..(2)
adaa ye sunnate sarkaar karo..(2)
ali e murtaza se pyaar karo
2. Ye iltejaa hai ali ke shiyo se
tum aabroo e deen ho
tumhare jaisa nahi hai koi bhi
tum is qadar haseen ho
amal se bhi ye aashkaar karo
ali e murtaza se pyaar karo
haider...haider maula.. ali maula..(2)
aisa mera maula.. ali ali ali haider
aisa mera maula.. ali ali ali haider
adaa ye sunnate sarkaar karo
ali ye murtaza se pyaar karo
3. Kalaam usse karo mohabbat se
hai jiske khoon mein ali
karo bara'at ali ke dushman se
na chhodo munkir e nabi
na is amal mein..(2) ikhtesaar karo
ali e murtaza se pyaar karo
haider...
haider maula.. ali maula..(2)
adaa ye sunnate sarkaar karo..(2)
ali ye murtaza se pyaar karo
4. Tumhare baccho'n ne is jaha'n mein ab
badhana hai ye silsila
pila ke gutthi unhe padhao tum
ali ali ka qaaeda
abhi se fikr ustawaar karo
ali e murtaza se pyaar karo
haider...
haider maula.. ali maula..(2)
aisa mera maula.. ali ali ali haider
aisa mera maula.. ali ali ali haider
adaa ye sunnate sarkaar karo
ali ye murtaza se pyaar karo
5. Ali ke dushman..(2) tum aana mehshar mein
nasha khuda utarega
tumhare sajde, namaze roze sab
tumhare mu'h pe maarega
na yu jabee'n ko daaghdaar karo..(2)
ali e murtaza se pyaar karo
haider...
haider maula.. ali maula..(2)
adaa ye sunnate sarkaar karo..(2)
ali ye murtaza se pyaar karo
6. Tum ehle kufa, o shaam wale O
tumhare paas kaun hai
na koi qambar, na koi buzar hai
na koi hurr na jaun hai
hussaini raah ikhteyaar karo
ali e murtaza se pyaar karo
haider...
haider maula.. ali maula..(2)
aisa mera maula.. ali ali ali haider
aisa mera maula.. ali ali ali haider
adaa ye sunnate sarkaar karo
ali ye murtaza se pyaar karo
7. Taweel tar hai ye daur ghaibat ka
bhatak na jaye aadmi
bata gaye hai imam saare hi
hai dono kaam laazmi
imam e haq ka intezaar karo..(2)
ali e murtaza se pyaar karo
haider...
haider maula.. ali maula..(2)
adaa ye sunnate sarkaar karo..(2)
ali ye murtaza se pyaar karo
8. Zameer kehta hai ye takallum ka
karo tum uska shukriya
usi ne tumko bataya duniya mein
hai kya ali e murtaza
tum apni maa pe iftekhaar karo
ali e murtaza se pyaar karo
haider...
haider maula.. ali maula..(2)
aisa mera maula.. ali ali ali haider
aisa mera maula.. ali ali ali haider
adaa ye sunnate sarkaar karo..(2)
ali ye murtaza se pyaar karo
aisa mera maula.. ali ali ali haider
aisa mera maula.. ali ali ali haider
Bain ul haramain..(8)
Khaimazan ehle jina hai do haram ke darmiya'n
aashiko ke karwa'n hai do haram ke darmiya'n
aasmaa'n wale kaha hai do haram ke darmiya'n
do jaha'n ke do jaha'n hai do haram ke darmiya'n
jis Mohammad se yaha chahe mulaqatein kare
aaiye is arsh par..(2)
Allah se baatein kare
bain ul haramain..(4)
bain ul haramain..(4)
Hai ek taraf Abbas tere..(2)
aur ek taraf hai maula Hussain
bain ul haramain..(4)
Aye arze yaqee'n kaabe ki zameen..(2)
kehti hai tujhe kaaba kausain
bain ul haramain..(4)
Ye zamee'n chaand sitaro'n ki jabee'n lagti hai
kaikasha iske tasadduq mein hasee'n lagti hai
laa makani ki hado'n se ye qaree'n lagti hai
ye to kausain se aage ki zamee'n lagti hai
jo arsh pe tha pehne nalain..(2)
usne bhi utaari hai nalain
bain ul haramain..(4)
Bolne lagti hai khamoshiye jazbaat yaha'n
ishq ki jaayi hai sadiyo se ibadaat yaha'n
saare ashiq hume miljate hai ek saath yaha'n
aur nabiyo'n se bhi hoti hai mulaqaat yaha'n
adam bhi yahi, isa bhi yahi
milte hai yahi par zulqarnain
bain ul haramain..(4)
Is zamee'n par chale aana hi hai me'raj e bashar
sidra e ishq hai kab aam hai ye raah guzar
taere aql ke jalte hai yehi par sheh par
farsh ban jaata hai khud arsh yaha'n par aakar
qadmo se na chal jaa sar ke bal..(2)
rehti hai yaha'n ummul hasnain
bain ul haramain..(4)
Teri qismat se wa qismat ne sitara dekha
khalq karke tujhe khaliq ne dobara dekha
sab zamino'n pe faqat tera ijara dekha
arbaee'n par ye zamane ne nazara dekha
Haan daman mein tere ek saath bhi gar
aaye to samaa jaye kaunain
bain ul haramain..(4)
Sar zamee par tere hoti hai bashar ki me'raj
dekh lena tujhe hoti hai nazar ki me'raj
tujhpe sajde se hua karti hai sar ki me'raj
khatm hai tujhpe balandi ke safar ki me'raj
kya samjhenge wo me'raj teri..(2)
jo samjhe nahi me'raj ki ayn
bain ul haramain..(4)
Kahi jaate hue dekha hi nahi dono ko
ishq ne dekha hai barso se wahi dono ko
suratan jaante hai ehle yaqee'n dono ko
dhundhne jao na duniya mein kahi'n dono ko
ashoor ke din, matam karte
aayenge nazar tumko meerayn
bain ul haramain..(4)
Ek taraf me ghazi ka roza ek taraf sheh ka mazar
ek jaha'n mein dekhe maine do jahan e fatema
Darwaza e hussain pe sajda kiye baghair
banta nahi wali koi aisa kiye baghair
Darwaza e hussain pe sajda kiye baghair
1. Dafna na mujhko jald, ali honge muntazir
aye logo intezaar kisi ka kiye baghair
2. Nau(9) laakh sar jhuke hai tabassum ke saamne
asghar ne jung jeet li hamla kiye baghair
3. Abbas wo jari hai jo maidaan e jung mein
ladta hai baazuo'n pe bharosa kiye baghair
4. Ghasib fidak ka naak ragadta hi reh gaya
jannat mein hurr chala gaya tauba kiye baghair
5. Ashoor wale din ye mujhe maa ka hukm tha
ghar mein na aana khoon ka pursa kiye baghair
6. Allah keh raha hai tawalla nahi qubool
Zahra ke dushmano pe tabarra kiye baghair
7. Qaem na zulfiqaar rakhenge niyaam mein
Abbas ke kaleje ko thanda kiye baghair
8. Taqleed mein hu mai bhi anees o dabeer
sajjad sher likhta hu charwa kiye baghair
Darwaza e hussain pe sajda kiye baghair
Aaj ka din bhi maula beet gaya
phir mera intezaar jeet gaya
Mai tere hijr mein tadapta hu
saans leta hu phir bhi murda hu
laylatul qadr meri raatein kar
khwaab mein aake mujhse baate kar
dil hai furqat mein beqaraar bohot
pi chuka zehre intezaar bohot
apne suqraat ko bachaa aakar
sharbat e deed se pila laakar
farase teergi se nikla hu
mai bhi salmaan banna chahta hu
ghar ki masjid se taa hade kaaba
maine tujhko kahan nahi dhundha
maut barso se hai ta'aqqub mein
der kitni hai ab takhatub mein
aye haqeeqat majaaz mein aaja
mujhse milne namaaz mein aaja
lutf kab aayega azaano mein
kab sadaa aayegi ye kaano mein
saahib e zulfiqar aata hai
badalo'n par sawaar aata hai
Mere is khwaab ko haqeeqat kar
rehem kar tu mere qabile par
Hai takallum ki ilteja aaja
mere andekhe mustafa, mustafa aaja
aaj ka din bhi maula beet gaya....
haidariyam qalandaram mastam..(2)
banda e murtaza ali hastam..(2)
peshwa e tamaam rindanam..(2)
ke sage tue shehr e yazdanam
dum dum sakhi sardaar qalandar mahaan
ali ali ali
mere murshid mere sardaar qalandar saaee'n..(2)
ho karam..(2)
ho karam humpe fir ek baar qalandar saaee'n
ali ali ali ali, ali ali ali ali..(2)
mere murshid mere sardaar qalandar saaee'n
ali ali ali ali, ali ali ali ali..(2)
1. Sindh walo ye tumhe chain se sona hai naseeb
shehr e sewan mein hai bedaar..(2), qalandar saee'n
ali ali ali ali, ali ali ali ali..(2)
mere murshid mere sardaar qalandar saaee'n
ali ali ali ali, ali ali ali ali..(2)
2. Tune lehra diya ghar ghar pe alam ghazi ke..(2)
tujhse raazi hai alamdaar..(2), qalandar saee'n
ali ali ali ali, ali ali ali ali..(2)
mere murshid mere sardaar qalandar saaee'n
ali ali ali ali, ali ali ali ali..(2)
3. Mera dil kehta hai shabbir bulate honge..(2)
laal kehkar tumhe har baar..(2), qalandar saee'n
ali ali ali ali, ali ali ali ali..(2)
4. Gunjta rehta hai har waqt tere roze par..(2)
naraa e , naraa e haidere qarrar, qalandar saee'n
ali ali ali ali, ali ali ali ali..(2)
5. Hai yaee lashkar e mehdi mein bhi hogi maujood..(2)
aapke naam ki talwaar..(2), qalandar saee'n
ali ali ali ali, ali ali ali ali..(2)
6. In dhamako ki dhamak se nahi darne wale..(2)
tere darbaar ke zawwaar..(2), qalandar saee'n
ghusle mayyat na kehna mere ghusl ko
ujle malboos ko mat kafan naam do
mai chala hu.. mai chala hu ali se mulaqaat ko
jiski thi aarzoo wo ghadi aa gayi
ali ali ali ali, ali ali ali ali..(2)
mere murshid mere sardaar qalandar saaee'n
ali ali ali ali, ali ali ali ali..(2)
7. Wo takallum ke tarha daalega masti mein dhamaal..(2)
jo tujhe dekh le ek baar..(2), qalandar saee'n
ali ali ali ali, ali ali ali ali..(2)
Shabaan shabaan..(4)
shabaan shabaan shabaan aagaya hai..(2)
shabaan shabaan shabaan
tabreek ya nabi, mabrook ya ali..(2)
shabaan aagaya hai..(2)
khushiya'n manao logo..(2)
shabaan aagaya hai..(2)
Ek saath leke kitne..(2)
qur'aan aagaya hai
shabaan aagaya hai..(2)
1. Ehle azaa jaha'n mein khushiya mana rahe hai
dard o alam ke maare sabko bata rahe hai
rehmat ka maah qable..(2)
ramzaan aagaya hai
shabaan aagaya hai..(2)
2. Shahi laraz rahi hai, hulchul machi hui hai
pehli(1) ko iski bint e haider jo aa gayi hai
qasr e yazidiyat mein..(2)
toofan aagaya hai
shabaan aagaya hai..(2)
3. Murde ki tarha ghar mein sidhe padhe hue hai
pehli se shaikh sahib peele pade hue hai
tashkhees mein maraz ki..(2)
yarqaan aagaya hai
shabaan aagaya hai..(2)
4. Aayaat aa rahi hai karne ko peshwayi
shabaa'n ki teesri(3) ko uski hai roo numayi
jibreel jispe hone..(2)
qurbaan aagaya hai
shabaan aagaya hai..(2)
5. Jaate zamee'n ki janib dekha jo saathiyo ko
fitrus tadap ke bola mujhko bhi saath lelo
parr mujhko dene wala..(2)
parrdaan aagaya hai
shabaan aagaya hai..(2)
6. Chauthi(4) ko iski aaya jo hai wafa ka kaaba
ummul baneen maa hai, Haider hai jiska baba
yaani, yaani, yaani ali ke ghar ka
imraan aagaya hai
shabaan aagaya hai..(2)
7. Bole Ali ye lekar godi mein bawafa ko
jannat se aake sar par ek baar haath rakhdo
Zahra tumhare dil ka..(2)
armaan aagaya hai
shabaan aagaya hai..(2)
8. Khushiya manaye kyu na ghar aaj panjetan ka
aaya hai saathwi(7) ko wo laadla hasan ka
khud jiska sadqa lene..(2)
rizwaan aagaya hai
shabaan aagaya hai..(2)
9. Jis ka nahi tha saaya bankar usi ka saaya
is maah ki gyaarwi(11) ko aisa haseen aaya
khud husn banke jiska..(2)
darbaan aagaya hai
shabaan aagaya hai..(2)
10. Azmat shabe zahoor e Mahdi ki hai nirali
is raat paida hone wale hai sab halali
Allah...Allah ka zamee'n par..(2)
farmaan aagaya hai
shabaan aagaya hai..(2)
11. Jo sab ko dekhta hai ghaibat mein hai bazahir
is maah ki pandrawi(15) ko wo hi imaam e aakhir
adl e khuda ki lekar..(2)
meezaan aagaya hai
shabaan aagaya hai..(2)
12. Mauqa mila hai karle tay marefat ka zeena
kar shukr rabb ka akbar ye fatmi mahina
phir teri zindagi ke..(2)
dauran aagaya hai
shabaan aagaya hai..(2)
Zaamin e ahoo reza..(4)
shukriya maula reza..(4)
Aye ghareeb ul ghuraba, sunle hum sab ki sadaa
humko roze pe bula, apna zawwar banaa
aake chaukhat pe teri, hum gunehgaar karein
shukr ka sajda adaa
shukriya maula reza..(3)
shukriya maula reza..(3)
hajj ghareebo ka...
hajj ghareebo ka tere darr pe hua
shukriya maula reza
shukriya maula reza..(3)
1. Tang dasti mein bhala kaise safar par jaate
isteta'at hi nahi thi ke wo hajj par jaate
hajj yu mash'had mein...
hajj yu mash'had mein ghareebo'n ne kiya
shukriya maula reza
shukriya maula reza..(3)
2. Qasam Allah ki humlog nahi the qaabil
tune zawwaro mein apne kiya humko shaamil
humne bhi dekh liya..
humne bhi dekh liya roza tera
shukriya maula reza
shukriya maula reza..(3)
3. Tere bando ka muqaddar hai tera dastarkhwaan
mano salwa ke barabar hai tera dastarkhwaan
dedi duniya mein hi jannat ki ghiza...
shukriya maula reza
shukriya maula reza..(3)
4. Jadd ki midhat ka tujhe shauk bada hai maula
shaero par to teri khaas ataa hai maula
leke in'aam ye debal ne kaha
shukriya maula reza
shukriya maula reza..(3)
5. Haan samajhta hu tere naam ki azmat mai bhi
husn e yusuf ki laga sakta hu qeemat mai bhi
hai mere paas jo sikka tera...
shukriya maula reza
shukriya maula reza..(3)
6. Jab se maine hai padha aap ka farmaan e majeed
aap aur aapke ghar wale hai shart e tauheed
baad e kalma mai hu tabse kehta
shukriya maula reza
shukriya maula reza..(3)
7. Haan...
Apne zaaer ko na mehroom rakha tune kafeel
hai tere sehen mein maujood sunehri jo sabeel
zaeqa uska hai..
zaeqa uska hai zamzam jaisa
shukriya maula reza
shukriya maula reza..(3)
8. Din nikalne ki khabar ho ke ho dhalne ka payaam
subha uthne ki salami ho ke sone ka payaam
Assalamu alaika ya ghareeb al ghurabaa
dono pehro hai ye naubat ki sadaa...
sadaa....
shukriya maula reza
shukriya maula reza..(3)
9. Kar diya sher ko tasweer se zinda jaise
khaak ke zarre se masooma e qum ke sadqe
aapne mir hasan mir kiya
shukriya maula reza
shukriya maula reza..(3)
Maula maula, maula maula, maula maula..(2)
maula maula mere,
maula maula mere,
maula maula mere maula
maula maula mere maula
Maula maula maula mere maula
Mai kar raha tha zikr e alamdaar baar baar
Mai kar raha tha zikr e alamdaar baar baar..(2)
Meesum ne khud pinhaye..(2)
mujhe haar baar baar
Mai kar raha tha zikr e alamdaar baar baar..(2)
1. Ghar mein ali jo karte the parcham ki guftugu..(2)
shaano ko dekhta tha..(2), alamdaar baar baar
2. Kitne bulandiyo pe hai abbas ke alam..(2)
kehte hai masjido ke ye meenar baar baar
3. Labbaik jisne aalam e arwaah mein kaha..(2)
aata hai karbala mein wo zawwar baar baar
4. Mehdi ye aake ganje shahida'n mein kehte hai..(2)
milte kaha hai aise wafadaar baar baar
5. Makhsoos ye sharaf hai yadullah ke liye..(2)
aati nahi hai...
aati nahi hai arsh se talwaar baar baar
6. Maine ali ke ishq ka sauda nahi kiya..(2)
aaye the mere paas kharidaar baar baar
7. Shaam o iraq mein ho dhamake hua kare..(2)
jaenge phir bhi...
jaenge phir bhi sheh ke azadaar baar baar
8. Ye fakhr kam nahi hai takallum ke waaste..(2)
meesum bhi sunte hai tere ash'aar baar baar
Mai kar raha tha zikr e alamdaar baar baar
Maula maula, maula mere maula..(2)
Maula maula, maula maula, maula maula..(2)
maula maula mere,
maula maula mere,
maula maula mere maula
maula maula mere maula
Maula maula maula mere maula
Mai kar raha tha zikr e alamdaar baar baar
Mai kar raha tha zikr e alamdaar baar baar..(2)
Meesum ne khud pinhaye..(2)
mujhe haar baar baar
Mai kar raha tha zikr e alamdaar baar baar..(2)
1. Ghar mein ali jo karte the parcham ki guftugu..(2)
shaano ko dekhta tha..(2), alamdaar baar baar
2. Kitne bulandiyo pe hai abbas ke alam..(2)
kehte hai masjido ke ye meenar baar baar
3. Labbaik jisne aalam e arwaah mein kaha..(2)
aata hai karbala mein wo zawwar baar baar
4. Mehdi ye aake ganje shahida'n mein kehte hai..(2)
milte kaha hai aise wafadaar baar baar
5. Makhsoos ye sharaf hai yadullah ke liye..(2)
aati nahi hai...
aati nahi hai arsh se talwaar baar baar
6. Maine ali ke ishq ka sauda nahi kiya..(2)
aaye the mere paas kharidaar baar baar
7. Shaam o iraq mein ho dhamake hua kare..(2)
jaenge phir bhi...
jaenge phir bhi sheh ke azadaar baar baar
8. Ye fakhr kam nahi hai takallum ke waaste..(2)
meesum bhi sunte hai tere ash'aar baar baar
Mai kar raha tha zikr e alamdaar baar baar
Maula maula, maula mere maula..(2)
No comments:
Post a Comment