ali ali ali ali..(4)
ali ali ali ali ali ali ali ali
ali ke dar par..(4)
dekh aye qariye qur'aan
ali ke dar par, ali ke dar par
dekh aye qariye qur'aan ali ke dar par..(2)
aayate chadhti hai parwaan
ali ke dar par
1. Asl jannat ki ziyarat ke liye jaate hai..(2)
kehke ye aate hai rizwaan
ali ke dar parr
2. Mera dil kehta hai qadmo se nahi jaate the..(2)
sar ke bal jaate the salmaan
ali ke dar parr
3. Kaha behlol ne deewangi kaam aati hai..(2)
kaam aate nahi ausaan
ali ke dar parr
4. Haa usi roz meri jaan me jaan aaegi..(2)
jab ke niklegi meri jaan
ali ke dar parr
5. Aise logo se bohot achhe hai dana dushman..(2)
banke baithe hai jo naadaa
ali ke dar parr
6. Hai dua karbobala me ho meri 13 rajab..(2)
aur ho teesri shabaan
ali ke dar parr
7. Kaha fizza ne ke isme nahi kuch mera kamaal..(2)
khud samajh aata hai qur'aan
ali ke dar parr
8. Ho razi meer hasan meer takallum ke anees..(2)
meer hai saare sana khaan
ali ke dar parr
dekh aye qariye qur'aan
ali ke dar par, ali ke dar par
ali ke dar par..(4)
Khatm hai fasl e kamaa bol rahi hai zainab..(3)
Kaun boleyga jahaa bol rahi hai zainab.
1. Teer o shamsheer o sina hoke sitam ke lashkar..(2)
Thak gayi sab ki zabaa bol rahi hai zainab.
2. Muddato baad sunaa phirse ali ka lehjaa..(2)
Kaisey jhoomey na azaa bol rahi hai zainab.
3. Chun rahaa hai adab e nahj e balagha lafze..(2)
Apne baba ki zabaan bol rahi hai zainab.
4. Hogayi jeet bahattar(72) shohadaa ki saabit..(2)
Leke gaazi ka nishaan bol rahi hai zainab.
5. Aye yazeed isse badi haar teri kya hogi..(2)
Wo tera ghar hai jahaan bol rahi hai zainab.
HAIDER HAIDER HAIDER HAIDER..(4)
Shere Khuda, Daamade Payamber
HAIDER HAIDER HAIDER HAIDER
Shafae Mehshar, Sakiye Kausar
HAIDER HAIDER HAIDER HAIDER
1. Bolna maine jab seekha tha, maa ne meri ye mujhse kaha tha..(2)
Bolo beta jaan laga kar..(2)
HAIDER HAIDER HAIDER HAIDER
2. Meri wasiyat yaad ye rakhna, qabr ke bahar tum sab kehna..(2)
Khud mai kahunga qabr ke andar..(2)
HAIDER HAIDER HAIDER HAIDER
3. Wakif the aadabe wila se, kalma adhura kaise padhte..(2)
Daste nabi par bole kankar…
Haider Haider Haider Haider
4. Shabbar aur shabbir ho raazi, sehwan wala peer ho raazi..(2)
Bolo sakhi shahbaaz qalandar..(2)
Haider Haider Haider Haider
5. Dono hai ye roohe wilayat, dono hai ye jaane wilayat..(2)
Allaho akbar Allaho akbar..(2)
Haider Haider Haider Haider
6. Zikre Ali par paabandi thi, lekin Zainab aise boli..(2)
Goonj utha darbaar ke andar..(2)
HAIDER HAIDER HAIDER HAIDER
7. Usko laga rehta hai khatra, bigda hua hai jiska shajra..(2)
Aa nahi sakta uski zabaa par..(2)
HAIDER HAIDER HAIDER HAIDER
8. Doobne waali thi jab kashti, Nuh ne aakhir kisko sadaa di..(2)
Bas ye sadaa thi Nuh ke lab par..(2)
HAIDER HAIDER HAIDER HAIDER
9. Meesum se ye mujhko mili hai, maine kitaabe ishq padhi hai..(2)
Pehla sabak hai uske andar..(2)
HAIDER HAIDER HAIDER HAIDER
10. Chehre ko dhaake aae Ghaazi, Siffeen me aisi jung ladi thi..(2)
Ran me sadaa thi ye to wahi hai..(2)
HAIDER HAIDER HAIDER HAIDER
11. Hasi ka aisa teer chala tha, laakho ka lashkar mar hi gaya tha..(2)
Pote aakhir kiske hai Asghar..(2)
HAIDER HAIDER HAIDER HAIDER
12. Maut se darta hai na daraa hai, ishq ‘Takallum’ bol raha hai..(2)
Daar ke upar zere khanjar..(2)
HAIDER HAIDER HAIDER HAIDER
Pabandi lagaye koi be peer hawa par..(2)
Karti hai safar midhat e shabbir hawa par
1. Mashriq ki hawaen kabhi maghrib me na aati..(2)
Gar khenchta ghaazi khate shamsheer hawa par
Pabandi lagaye..
2. Ab sirf mai paani pe bharosa na karunga..(2)
Karna hai areeza mujhe tehreer hawa par
Pabandi lagaye..
3. Tab jaake hui hai wo kahi chalne ke qabil..(2)
Jab naam e ali hogaya tehreer hawa par
Pabandi lagaye..
4. Dhundho na zamee par na mili hai na milegi..(2)
Asghar ke kafe paa ki hai tasweer hawa par
Pabandi lagaye..
5. Usqut jo kaha hogai khamosh khudai..(2)
Qabza hai tera shaah ki hamsheer hawa par
Pabandi lagaye..
6. Jo zarf me kaghaz ke samata nahi sajjad..(2)
wo sher mai kar deta hu tehreer hawa par
Pabandi lagaye..
Karde ghazi karde maula tu karde ghazi karam
karde maula karde ghazi tu karde maula karam.. karam
Saani nayi hai koi, ghaazi teri wafa da..(2)
duniya nu winj padhaya, tu yu sabak wafa da
chaukhat te teri saare..(2)
sar hogaye nikham
karde ghaazi karam.. karam karam..(2)
weeran da wastayi..(2) rakhle mera bharam
karde ghaazi karam.. karam karam..(2)
1. Mangda dua te kaabe di chhat pe aawe tu
Shaane husain sab nu fir'a sun'awe tu
zakir tu aap howe..(2) mimbar howe haram
karde ghaazi karam.. karam karam..(2)
2. Aulaad, rizq, ghurbat, dardan de haal ne
lakkha sawaliya de, lakkha sawaal ne
sab da jawab jag te..(2) ikko tera alam
karde ghaazi karam.. karam karam..(2)
3. Mai naam sayyada de putra de jadd lawaa
maula hasan husain te mohsin jaga gawaa
ghaazi da naam leke..(2) karnawa gal khatam
karde ghaazi karam.. karam karam..(2)
4. Ae qibla e wafa, aye mukhtar e do jahaan
hai oona faasla safa marwa de darmiyan
jinna e door rozae..(2) sheh to tera haram
karde ghaazi karam.. karam karam..(2)
5. Haider de ikhteyaar te fatwe lagawe jo
behad di apni aql nal hadda ban'awe jo
karde qalam samet tu ode hattha nu qalam
karde ghaazi karam.. karam karam..(2)
6. Tera maqaam jagnu aabid dasa gaya
zakir ne jinne waari abbas aakheya
uth daasi maula aabid..(2) har waari rab qasam
karde ghaazi karam.. karam karam..(2)
7. Akbar di aarzu we is shaan nal maraa
mai jend wele maula saawaa khatam kara
meri jabeen howe..(2) howe tere qadam
karde ghaazi karam.. karam karam..(2)
Maulaaa ghaazi..(3)
Khuda ki pehchan banke jabse mujhe ta'arruf hua hasan ka..(2)
samajh me aane laga hai tab se mujhe bhi kuch kuch khuda hasan ka
Batool e azra ki god me wo nuzool jab kar chuka hasan ka..(2)
Ali ke hoto se kaam lekar khuda ne bosa liya hasan ka
Ali ke pehle hi waaste par khuda ne sunli jo baat meri..(2)
to maine agli dua ki khatir bacha liya waasta hasan ka
Abhi charagho ka silsila to janab e mehdi(a.t.s.f) talak chalega..(2)
Abhi to zehra ke ghar me roshan hua hai pehla diya hasan ka
Laqab badalne se shaam walo kabhi muqaddar nahi badalte..(2)
Faqeer khudko ameer likhle na hoga hum martaba hasan ka
Ye mera jibreel fikr akbar maqam e sidra se kya badhega..(2)
dimaagh chota sha'oor adna mai kya likhu martaba hasan ka
Khuda ki pehchan banke jabse mujhe ta'arruf hua hasan ka
samajh me aane laga hai tab se mujhe bhi kuch kuch khuda hasan ka
Mai shaheed e raahe khuda hu
"karam husain ka mujhpar mazeed hojaye
maru jo farsh e aza par to eid hojaye
ajeeb jazba hai har maa duae karti hai
khuda kare mera baccha shaheed hojaye"
aai hai ek shaheed ki ye khuld se sadaa
mai.. khush naseeb hu
haa mai..khush naseeb hu
wajhe hayaat bangai mere liye qaza
mai.. khush naseeb hu
haa mai..khush naseeb hu
1. Labbaik ki uth ti thi har ek samt sadaen
khud maut mujhe deti thi jeene ki duaen
tazeem ko phir jhuk gai khud meri nigahen
phir murtuza ne mujhko gale se laga liya
mai.. khush naseeb hu
haa mai..khush naseeb hu
2. Ye dars mujhe apni shahadat se mila hai
shabbir pe marne me hi jeene ka maza hai
ab taaba qayamat mera ghar karbobala hai
qatra tha apni zaat me darya se jaa mila
mai.. khush naseeb hu
haa mai..khush naseeb hu
3. So jaan se qurbaan mili kaisi sa'adat
maujood thi baali pe meri shahe wilayat
us dam thi nigahe meri masroof e ziyarat
kab mera dum nikal gaya mujhko nahi pata
mai.. khush naseeb hu
haa mai..khush naseeb hu
4. Masoom ke anwaar ka yu bangaya zaer
jaise kisi manzil pe pohoch jae musafir
ghaazi se mutahir ne kiya hai mujhe taahir
sab dhul gaye gunaah lahu jab mera baha
mai.. khush naseeb hu
haa mai..khush naseeb hu
5. Turbat se andhero ka guzar ho nahi sakta
maujood hai masoom hai mahaul kisa ka
matam kabhi hota hai kabhi hota hai girya
mera mazaar sheh ka azakhana bangaya
mai.. khush naseeb hu
haa mai..khush naseeb hu
6. Mai kaise bhula sakta hu ashoor e moharram
zakhmo se badan choor tha aur karb ka aalam
yaad aagai fitrus ki kahani mujhe us dum
daali nazar husain ne har zakhm bhar gaya
mai.. khush naseeb hu
haa mai..khush naseeb hu
7. Aye dosto ho laakh mukhalif ye zamana
sar apna kabhi zulm ke aage na jhukana
9 laakh bhi aajae to tum khauf na khana
meri tarah jo tum ko bhi deni hai ye sadaa
mai.. khush naseeb hu
haa mai..khush naseeb hu
8. Ab meri aizza ke liye hai ye meri baat
jeeta to kaha hoti bhala meri ye auqaat
hai khuld me ghar hurr e dilawar ka mere saath
zarre se mujhko shaah ne suraj bana diya
mai.. khush naseeb hu
haa mai..khush naseeb hu
9. Paighaam takallum ye zamane ko suna do
rutba jo shaheedo ka hai duniya ko bata do
lau shauqe shahadat ki kuch is tarha badha do
jaa deke har husain ka aashiq ye de sadaa
mai.. khush naseeb hu
haa mai..khush naseeb hu
Mai shaheed e raah e khuda hu..(2)
Main kya bataon dosto tumhein keh kya HUSSAIN hai
Basher to kya hai unbia ka asara HUSSAIN hai
Main kya baton dosto tumhein keh kya HUSSAIN hai
HUSSAIN fakhr-e-unbia HUSSAIN din ki laaj hai
Har ek dil ko aj bhi HUSSAIN hi ka raj hai
Yazeed kab ka mit chukka HUSSAIN tha HUSSAIN hai
Main kya bataon dosto tumhein keh kya HUSSAIN hai
Hai dil main tere bughz aur zuban peh hai khuda khuda
Dar-e-HUSSAIN chor ke bhatakne wale sun zara
Khuda us taraf hai jis taraf mera HUSSAIN hai
Main kya bataon dosto tumhein keh kya HUSSAIN hai
Sina ki nok se khuda ne apna zikr jab suna
To us ne tere zikr ko yeh martaba ata kiya
Jahan azaan bhi nahi wahan bhi ya HUSSAIN hai
Main kya bataon dosto tumhein keh kya HUSSAIN hai
Idher rasool-e-pak hain udher janab-e-sayeda
Hai pusht per hassan to samne ali-e-murtaza
Bas in ke darmiyaan hi pala barha HUSSAIN hai
Main kya baton do tumhein keh kya HUSSAIN hai
Tha ek nusaairi shook main najaf se karbala gaya
Jo dekha jalwa noor ka wahan to us ne yeh kaha
kasam ali ki aj se mera khuda HUSSAIN hai
Main kya bataon dosto tumhein keh kya HUSSAIN hai
mile jo per to ro diya khushi se fitr se hazin
kahan paroon se dekh ker who arsh who zameen
wohi hai marzi-e-khuda jo chahta HUSSAIN hai
Main kya baton do tumhein keh kya HUSSAIN hai
Basher to kya hai unbia ka asara HUSSAIN hai
Main kya bataon dosto tumhein keh kya HUSSAIN hai
Al- ajal, al-ajal, al-ajal, al-ajal
muntazir kab talak mai rahu ae imaam
meri saanse kahi ho na jaye tamaam
Maula Mehdi aa jaiye, Maula Mehdi aa jaiye..(2)
Deedar ki aakhri aas mai
Deedar ki aakhri aas mai
Khat likh raha hai ye khadim tumhe
Maula Mehdi aa jaiye, Maula Mehdi aa jaiye
1. Kijiye qabool aqa mera salaam
Bas ek azadar hai mera naam
Qabeel nahi janta hun magar
kehta hun khud ko tumhara ghulam
Kya hun mujhe khud ye batlaiye
Maula Mehdi aa jaiye, Maula Mehdi aa jaiye
2. Faryaad e aur istaghase huzoor
Sarkaar sunte to honge zaroor
Bechain khud bhi hai ghaibat me aap
Kab hoga mola batadein zahoor
Humko na ab or tadpaiye
Maula Mehdi aa jayiye, Maula Mehdi aa jaiye
3. Be noor kab se mere nain hai
Tanha azadaar e behrain hai
Kabaa ho ya ke ho Karbobala
Sab aapke gham mai bechain hai
Sarkaar tashreef le aaiye
Maula Mehdi aa jaiye, Maula Mehdi aa jaiye
4. Lafzo se parda hatati nahi
Apna ta’aruf karati nahi
Jab se gaye aap khamosh hai
Aayat ma’ani batati nahi
Raaz e Alif laam samjhaiye
Maula Mehdi aa jaiye, Maula Mehdi aa jaiye
5. Tarteeb marbut ho baat se
Zahir jalalat ho aayaat se
Kehta hai zoq e talawat mera
Likha jo Maula ne khud haath se
Mujko wo quraan padhwaiye
Maula Mehdi aa jaiye, Maula Mehdi aa jaiye
6. Karni hai taskheer sham aap ko
Lana hai haq ka nizaam aap ko
Aye waris e zulfiqaar e Ali
Lena hai jab intaqaam aapko
Gazi ko bhi saath le aaiye
Maula Mehdi aa jaiye, Maula Mehdi aa jaiye
7. Hum jamkaraan or sehlaa gaye
ashko se apne arize likhe
Girya kiya or namaze padhi
Jo the jatan, basme sab karliye
Har jah guzarish thi, aa jaiye
Maula Mehdi aa jaiye, Maula Mehdi aa jaiye
8. Khat apna karta hun is par tamaam
Hai mir bhi aap ka ek ghulaam
Hai sibt e jafar ki bhi iltija
Kije talab ab hame ya imam
Ya aap tashreef le aaiye
Maula Mehdi aa jaiye, Maula Mehdi aa jaiye
Mene Jab Bhi Pukara Ya Qasim a.s
Aagaye Misl e Murtaza a.s Qasim a.s
Mujhko Likhni Thi Madha Shabar a.s Ki
Mene Kagaz Pey Likh Diya Qasim a.s
Tu a.s Ney Karni Hai Khuld Ki Taqseem
Isliye Naam Hai Tera Qasim a.s
Mo'triz Hain Jo Sulh e Shabar a.s Per
Unka Munh Tu a.s Ney See Diya Qasim a.s
Aastineen Ulat Kar Maidan Mei
Tum a.s Ney Lashkar Ulat Diya Qasim a.s
Sath Arzaq l.a k Uski Naslon Ko
Tum a.s Ney Taqseem Kardiya Qasim a.s
Zahoor e Shehzada e Qasim a.s Mubarak <3
husainiyo(6)
zamane waalo adab se inhe salaam karo..(2)
tabarukat e hussaini ka ehteraam karo..(2)
1. Ye zuljanah yeh taboot ye shabih-e-alam
amanate hai ye zainab ke sab khuda ki kasam
inhe sambhal ke rakho na honay do barham
wagarna mehdiye dauraan ko kya bataengay hum
bohot he jald ho parda uthanay waala hai
amanate hai ye jiski woh aany waala hai
tabarukat e hussaini ka ehteraam karo..(2)
2. Jo hum juloos me taboot leke aate hai
zamanay waalo ko shabbiriyat sikhate hai
bani asad ke qabeele ke had badate hai
shaheed imam ka taboot yu uthate hai.
jise maraz hai aqeede ka theek hojae
jo karbala me nahi tha shareekh hojae
tabarukat e hussaini ka ehteraam karo..(2)
3. Jo keh rahe hai tabarruk ghata diya jaye
unhe hamara aqeeda suna diya jaye
jo hai woh naam pe sheh ke luta diya jaye
samajh na aaye to yeh mashwara diya jaye
jo be jawaaz hai..(2) un khwahisho ko kam kardo
niyaaz ko nahi aasaisho ko kam kardo
tabarukat e hussaini ka ehteraam karo..(2)
4. Sanad hai naaqa-e-saleh ka mo'tabar hona
agar naseeb hoo hujjat ka humsafar hona
sharaf ko kam nahi karta hai jaanwar hona
so zuljanah se munkir ye soch kar hona
har ek lehaaz se tazeem ke ye kaabil hai.
ke iska khoon bhi khaake shifa me shaamil hai
tabarukat e hussaini ka ehteraam karo..(2)
5. Hussainiyat ke nazar me hussainiyaat alam
nabi ke haath se aaya haath o haath alam
hai nasb chauda 14 sadi se labe furaat alam
aur ab imam jo laenge apne saath alam
muqassiro ka kaleja jalaya jaega
jab isko kaabe ki chat par sajaya jaega
tabarukat e hussaini ka ehteraam karo..(2)
6. Har ek gham ka madawa sagheer ka jhula
hayaat baatne waala sagheer ka jhula
kuch isliye bhi hai aala sagheer ka jhula
ke hai hussain ka jhula sagheer ka jhula
kiya na radd kabhi koi sawali jhule ne
hazaaro jholiya bhardi hai khali jhuke ne
tabarukat e hussaini ka ehteraam karo..(2)
7. Jahaa jahaan bhi azaa-e-hussain chalti gai
wahaa wahaa ki saqafat me khud bhi dhalti gai
kisi ne karbala manzar kashi se zinda rakhi
kisi ne dappe azaa ki kahi saji mehndi
qabeeley ishq ke..(2) manzil ki samt chalte rahe
hussain ek raha qaafile badalte rahe
tabarukat e hussaini ka ehteraam karo..(2)
8. "takallum" itna hai aali makaam farsh-e-azaa
hai jaanamaaz-e-azaa-e-imam farsh-e-azaa
ali ki beti ka hai inteqaam farsh-e-azaa
kiya hai tune rasoolo ka kaam farsh-e-azaa
yadeediyat me zamane simat gaye hote
na bichta tu too musalle lipat gaye hote
"sunaa makaam-e-sha'ayar to yeh bhi baat suno
samajh ke rasm faqat inko mat sajaya karo
tabarrukaat uthaao magar wuzoo karlo
halaal maal hi inpar lage dhyaan rakho
har ek baat ka dekho hisaab dena hai
hume hussain ki maa ko jawaab dena hai"
Ya fatimato..(2)
ishfa'ee lana fil jannah
ya karima, ya karima, ya karima..(4)
Aye masooma e qum, aye hamsheer e raza
ya karima, ya karima, ya karima..(2)
1. Raaz ki baat ye ek mujhko samajh aayi hai..(2)
asl me aapki mash'had me shehen shahi hai
qum se milti hai jabhi..(2)
sab ko mash'had ki reza
ya karima, ya karima, ya karima..(2)
2. Aap masooma e qum aur wo janabe zainab..(2)
dono behne hui ma'roof wilayat ki sabab
wo hai hamsheer e husain..(2)
aap hamsheer e raza
ya karima, ya karima, ya karima..(2)
3. Fiqh o irfaan o jafar par hai huqumat teri..(2)
ilm ke shehr hai shehri ye raiyyat teri
ilm ka shehr tera..(2)
uska darwaza tera
ya karima, ya karima, ya karima..(2)
4. Apni manin tumhe wahid o yakta rakha
tumko allah ne is waaste tanha rakha
dono aalam me na tha..(2)
koi bhi ufwu tera
ya karima, ya karima, ya karima..(2)
5. Sin bhi athara baras misle janabe zehra..(2)
teri turbat ka sharaf turbat e zehra jaisa
fatimi naam tera..(2)
zainabi kaam tera
ya karima, ya karima, ya karima..(2)
6. Waasta sayyade mazloom ka tumko bibi
waasta asghar e masoom ka tumko bibi
la walad hai jo unhe..(2)
kardo aulaad ataa
ya karima, ya karima, ya karima..(2)
7. Aapke shehr se tasdeeq e ghulami lekar..(2)
meer jab palta hai chaukhat pe salami dekar
uski qadmo ki taraf
aasma jhukne laga..(2)
ya karima, ya karima, ya karima..(2)
Ya fatimato..(2)
ishfa'ee lana fil jannah
ya karima, ya karima, ya karima..(4)
Aye masooma e qum, aye hamsheer e raza
ya karima, ya karima, ya karima..(2)
1. Raaz ki baat ye ek mujhko samajh aayi hai..(2)
asl me aapki mash'had me shehen shahi hai
qum se milti hai jabhi..(2)
sab ko mash'had ki reza
ya karima, ya karima, ya karima..(2)
2. Aap masooma e qum aur wo janabe zainab..(2)
dono behne hui ma'roof wilayat ki sabab
wo hai hamsheer e husain..(2)
aap hamsheer e raza
ya karima, ya karima, ya karima..(2)
3. Fiqh o irfaan o jafar par hai huqumat teri..(2)
ilm ke shehr hai shehri ye raiyyat teri
ilm ka shehr tera..(2)
uska darwaza tera
ya karima, ya karima, ya karima..(2)
4. Apni manin tumhe wahid o yakta rakha
tumko allah ne is waaste tanha rakha
dono aalam me na tha..(2)
koi bhi ufwu tera
ya karima, ya karima, ya karima..(2)
5. Sin bhi athara baras misle janabe zehra..(2)
teri turbat ka sharaf turbat e zehra jaisa
fatimi naam tera..(2)
zainabi kaam tera
ya karima, ya karima, ya karima..(2)
6. Waasta sayyade mazloom ka tumko bibi
waasta asghar e masoom ka tumko bibi
la walad hai jo unhe..(2)
kardo aulaad ataa
ya karima, ya karima, ya karima..(2)
7. Aapke shehr se tasdeeq e ghulami lekar..(2)
meer jab palta hai chaukhat pe salami dekar
uski qadmo ki taraf
aasma jhukne laga..(2)
ya karima, ya karima, ya karima..(2)
No comments:
Post a Comment