Monday, 17 February 2025

Irfan Haider (2003)

kuch to bolo aankhein kholo asghar behan bulati hai
kooza lekar haaton may wo tujhko dhoodne jaati hai

pani jab paaya pyason ne ay laal kalayja thaam liya
teri hamsheer sakina ne yeh kehkar tera naam liya
ay meri jaan ran se aao asghar behan bulati hai
...kuch to bolo

paani na mila ay laal tujhe aur teer se teri pyas bujhi
masoom sakina haaton may mashkiza lekar kehti thi
mere pyase pani peelo asghar behan bulati hai
...kuch to bolo

paani me tera chehra usko aata hai nazar wo roti hai
phailaaye abaa ke daaman ko hamsheer fughaan ye karti hai
mai pareshan hoo sada do asghar behan bulati hai
...kuch to bolo

pani aur mashk mere bache mansoob huye dono tujhse
kehti hai behan wo tashnadahan sota hai khafa hokar mujhse
kyun khafa ho kuch batado asghar behan bulati hai
...kuch to bolo

pani bankar ye khoon-e-jigar aankhon se teri furqat may baha
boori may teri marjaungi ro ro ke behan deti hai sada
laut aao laut aao asghar behan bulati hai
...kuch to bolo

pani pe nazar jab jaati hai bas pyas teri yaad aati hai
talwaar ki tarha yaad teri dil tukde mera kar jaati hai
aa bhi jaao aa bhi jaao asghar behan bulati hai
...kuch to bolo

paai ki jagah turbat ko teri ashkon se bhigoya baba ne
phoolon ki rida jab mil na saki nowha ye kiya us dukhya ne
na sakina ko rulao asghar behan bulati hai
...kuch to bolo

pani pani ki ek sada dete thay sabhi par tum to nahi
ab pani mila atfaal mere pilenge abhi par tum to nahi
isliye to dekho tumko asghar behan bulati hai
...kuch to bolo

pani jo piyo ay ehle aza pyason ki musibath yaad karo
irfan aur mazhar dunya ko aur asghar ko paighaam ye do
qaid-khane may bhi tumko asghar behan bulati hai
...kuch to bolo

Ae mere baba

(Aap gharibul watan me bhi gharibul watan) x2 Ae mere baba

    1. Aap ka maydaan me tiro pe lashaa raha. (Mere gohar chin gaye aag se daman jalaa) x2 Ae mere baba. Aap rahe be kafan me bhi rahi be kafan

(Aap gharibul watan me bhi gharibul watan) x2 Ae mere baba

    1. Aap ke halqoom par shimr ka khanjar chalaa (Mujko tamache lage sar se chini hai ridaa) x2 Ae mere baba. Aap ke neze pe sar mere gale me rasan

(Aap gharibul watan me bhi gharibul watan) x2 Ae mere baba

    1. Aap ko roti rahi tashna labi dasht mei (Daag yatimi mila mujko isi dasht mei) x2 Ae mere baba. Aap hai tashna dahan mei bhi hu tashna dahan

(Aap gharibul watan me bhi gharibul watan) x2 Ae mere baba

    1. Dono ki mazloomiyat dekhi hai aflaak ne (Dono ki hurmat rakhi dasht ke is khaak ne) x2 Ae mere baba. Khaak bani hai ridaa khaak bani hai kafan

(Aap gharibul watan me bhi gharibul watan) x2 Ae mere baba

    1. Waqt musibat huwi dono hi hamse judaa (Dono ki taqdeer me tha game furkat likha) x2 Ae mere baba. Ek behen aap ki ek hai meri behen

(Aap gharibul watan me bhi gharibul watan) x2 Ae mere baba

    1. Aapne chora watan nawha kuna tha falak (karbobala se kiya mene safar shaam tak) x2 Ae mere baba. Aap asiri mahan me hu asiri rasan

(Aap gharibul watan me bhi gharibul watan) x2 Ae mere baba

    1. Aap ke hamraah to Akbaro Abbas hai (Mujpe ye tanhaayiya roti hai zindaan mei) x2 Ae mere baba. Meri lahad qayd hai aap ka roza wo ban

(Aap gharibul watan me bhi gharibul watan) x2 Ae mere baba

    1. Kalle alamdar se aap ki tuti kamar (Panjo pe chalte huwe mene kiya hai safar) x2 Ae mere baba. Aap ko sadmo ki aur mujko safar ki thakkan

(Aap gharibul watan me bhi gharibul watan) x2 Ae mere baba

  1. Dono pe pardes mei kaysi musibat pari (Mujse padar chin gaya aapse beti chini) x2 Ae mere baba. Aap gharibul watan me bhi gharibul watan

(Aap gharibul watan me bhi gharibul watan) x2 Ae mere baba

Ay Shaame Gharibaan

(Ay Shaame Gharibaan) x9

    1. Laashon se bhara dasht hai jhalte huwe khaimen . Hai Jhalti huwi rait pe sehme huwe bache (Ay Shame ghariban) x3 Bar Raige tapa girya-e-atfaale pareshaan. Ay shame gharibaan

(Ay Shaame Gharibaan) x6

    1. Who dekh mere sher ka laasha hai labe juu. Haan dhundh ke laade mujhe Abbas ke baazu (Ay Shaame Gharibaan) x3 Haan laasha-e-Abbas sare saahil-e-viraan Ay shame gharibaan

(Ay Shaame Gharibaan) x6

    1. Naazon se pale ghunja dahen gesuon waale, Lowta de mere ghar ko mere ghar ke ujaale (Ay shame gharibaan) x3 Sab gaif ke shud khana-e-man teera-o-viraan. Ay shame gharibaan

(Ay Shaame Gharibaan) x6

    1. Pohncha de lab-e-nehr Sakeena ki sada ko Baba ko bulaati hai kabhi apne chacha ko (Ay Shame Ghariban) x3 Aawaze Sakeena berasan barsare maidaan Ay Shame Ghariban

(Ay Shaame Gharibaan) x6

    1. Jaa dhundhe agar dhundh sake teri nagaahain Do chaand meri doob gaye dasht-e-balaa mein (Ay Shame Gharibaan) x3 As Aun-o-Mohammed shuda khaali chamanistaan Ay shame ghariban

(Ay Shaame Gharibaan) x6

    1. Aik teer ne cheda hai zara dekh yahan par Asgher ka ghala bhaai ka bazu dil-e-maadar (Ay shame gharibaan) x3 Amaaz shuda teer-e sitam Asgher-e-nadaan Ay shame Ghariban

(Ay Shaame Gharibaan) x6

  1. Maktool-e-jafaa teen shab-o-rowz ka pyaasa Mehroom kafan se hai Muhammad ka nawasa (Ay shame Ghariban) x3 Be ghoro kafan sibt-e-nabi barsare maidaan Ay shame Ghariban

(Ay Shaame Gharibaan) x6

Zainab ba aseeri passe aashoor raseeda, wawayla wawayla

hichkiyan lete thay ali akbar umme laila ye bain karti thi
poshaak udhaloon ke mai armaan nikaloon
ay maut teher jaa ay maut teher jaa
mai apne jawan laal ko dulha to bana loon
...ay maut

is laal ko mai kaise karoon tere hawale
ye chand to deta hai zamane ko ujale
is chand ki poshaak sitaron se sajaloon
...ay maut

athara baras phoolon ki tarha jise paala
jaata hai mujhe chod ke wo gesuon wala
ab tu hi bata kaise mai is dil ko sambhaloon
...ay maut

dekhe thay bahut khaab magar khaak hue sab
is bete ke sehre ki dua karti thi zainab
dulah na sahi mai ise dulah sa banaloon
...ay maut

har shaam jise lagti hai ab shame gharibaan
jo kehti thi akbar ki dulhan laaungi amma
us fatima sughra ko madine se bulaloon
...ay maut

qaime se zara door khade rote hai sarwar
ek haat kalaje pe hai ek haat kamar par
mai khud ko sambhaloon ke shahe deen ko sambhaloon
...ay maut

ye kiski nazar kha gayi is noore nazar ko
veeran kiye jaate hai akbar mere ghar ko
jee karta hai is chaand ko dunya se chupaloon
...ay maut

zainab ke labon par hai buka haaye muqaddar
kya sehra chadhaun mai teri lash pe akbar
aur khud ko teri laash pe sadqe hi utaroon
...ay maut

mehendi na lagi haaton may hai khoon badan ka
pooshak-e-shahani ko mila daag kafan ka
is laash pe athaarveen mannat ko badhaloon
...ay maut

taqdeer kisi maa ko ye manzar na dikhaaye
maiyat pe jawaan laal ke wo ashq bahaaye
jee bhar ke ise dekhloon aur ashq bahaun
...ay maut

faryaad zara sunle sakina ki zubaani
marjaungi bichda jo mera yousuf-e-saani
bhaiya mere naraaz hai mai unko manaloon
...ay maut

maa roti rahi mazhar-o-irfan tadapkar
aur aakhri hichki may safar kargaye akbar
maa kehti rahi mai ise dulah to banaloon
...ay maut

Haan tunjo matam

Munjo marshid maula sayi, Maula sayi, Ay momin-e jee pehchaan

(haan tunjo matam maula sayi) x2 ay momin-e jee pehchaan

    1. Nabiyal jee ibadat aa matam, (Momin jee shifa'at aa matam) x2 kar gham bhar ke salmaan

(haan tunjo matam maula sayi) x2 ay momin-e jee pehchaan

    1. Tu ayaa huwe ibne haider, (sehwar jagir ali akber) x2 momin jee wadae shaam

(haan tunjo matam maula sayi) x2 ay momin-e jee pehchaan

    1. zehra ki dua tera matam, (har gham ki dua tera matam) x2 bakshish ka banaa samaan

(haan tunjo matam maula sayi) x2 ay momin-e jee pehchaan

    1. jab yaad aaye phat ta hai jigar (wo shaame ghariban ka manzar) x2 karte the haram yakjaan

(haan tunjo matam maula sayi) x2 ay momin-e jee pehchaan

    1. Din raat bhi matam karte hai (aur chand sitare rote hai) x2 karta hai falak har aah

(haan tunjo matam maula sayi) x2 ay momin-e jee pehchaan

    1. the ahle haram paband rasn, (karti thi buka har gham behen) x2 barpa tha sare zindan

(haan tunjo matam maula sayi) x2 ay momin-e jee pehchaan

    1. lashe pe tere sab rote the, (barpa maktal me karte the) x2 ho teero tabar paikaan

(haan tunjo matam maula sayi) x2 ay momin-e jee pehchaan

  1. ghazi ke lahu me duba alam (aur zere alam sab ehle haram) x2 karte the baka har aan

(haan tunjo matam maula sayi) x2 ay momin-e jee pehchaan

Ley chalo baba

Haay jab madine sey chala kafla karbobala. Tha ye sughra ke labo par nawha

(Ley chalo baba, muje ley chalo baba) x3

    1. Apne hamraah suwe karbobala

(Ley chalo baba, muje ley chalo baba) x2

    1. Apki yaad me roro ke mei marjawungi. Baba akbar ki kasam chain nahi pawungi. Meri saso ka bharosa na raha

(Ley chalo baba, muje ley chalo baba) x2

    1. Kaflay walo ko pani bhi pilawungi mai. Apni aghosh me asghar ko sulawungi mai. Baba ye apse wadaa hei mera

(Ley chalo baba, muje ley chalo baba) x2

    1. Mere kano me jo awaaz azaan ayengi. Mere akbar ki muje yaad bohot ayengi. Bhayi ki yaad na ban jaye qazaa.

(Ley chalo baba, muje ley chalo baba) x2

    1. Kaise akbar ke bina eid guzarungi mai. Kabhi tumko kabhi amu ko pukaryngi mai. Jab koi paas na honga baba

(Ley chalo baba, muje ley chalo baba) x2

    1. Hupur garm hawa hongi safar me dekho. Apne aachal me chupalungi ali asghar ko. Yu na asghar ko karo mujse judaa

(Ley chalo baba, muje ley chalo baba) x2

    1. Khwab akbar ki urusi ke bohot dekhe the. Khaak hojayenge ay baba sab armaan mere. Dil yahi soch ke rota hai mera

(Ley chalo baba, muje ley chalo baba) x2

    1. Chacha abbas aur sakina phuphi zainab se. Akhri baar mila do muje baba sabse. Phir ye bimar nahi dengi sadaa

(Ley chalo baba, muje ley chalo baba) x2

    1. Bhayya abid ko dawaa roz pilawungi mai. Unki raho me nigaaho ko bichawungi mei. Tum kanizo ki tarha behr khudaa

(Ley chalo baba, muje ley chalo baba) x2

    1. Acha mehmil me muje tumna bithaana baba. Tum muje raah me peydal hi chalaana baba. Na karungi me shikayat na gilaa.

(Ley chalo baba, muje ley chalo baba) x2

    1. Maine manaa ke nahi kaam mera manzar mei. Baba itna to batado ke akele ghar mei. Zindaa rehpayengi sughra tanha

(Ley chalo baba, muje ley chalo baba) x2

  1. Apne ham rahe suwe karbobala

(Ley chalo baba, muje ley chalo baba) x2

Lo jaa raha hai kafla

Ashur ki raat guzar gayi, aur gyaraa muharram agayi. Kaydi bani ale nabi. Ye dekh ke royi binte zehra (gar lut gaya hussain ka) x2 Zindaan raha islam

(Lo jaa raha hai kafla zindaane shaam) x4

    1. (Zainab ki be ridaai pe) x2 Rota huwa har gaam

(Lo jaa raha hai kafla zindaane shaam) x4

    1. Rukhsat karo bhayya muje lo akhri mera salaam. Basti basti karya karya (ponchayengi zainab bayaan) x2 (gar lut gaya hussain ka) x2 Zindaan raha islam

(Lo jaa raha hai kafla zindaane shaam) x4

    1. Me be ridaa tu be kafan sadmo se ye dil chaak hai. Meri ridaa bhi khaak he (tera kafan bhi khaak he) x2 (Ye imtihaan dasht tha) x2 Wo imtihaan-e-shaam

(Lo jaa raha hai kafla zindaane shaam) x4

    1. Kisko bulawungi bhalaa ye to bataa ab kawn hai. Jis wakt puchenga laayin (tumne se zainab kon hai) x2 (Saydaniyya sab royengi) x2 Le le ke tera naam

(Lo jaa raha hai kafla zindaane shaam) x4

    1. Shikwaa karengi ye behen jab raah mei takdeer se. Uthengi matam ki sadaa (sajjad ki zanjeer se) x2 (Rowengi mere haal pe) x2 Ye gardishe ayaam

(Lo jaa raha hai kafla zindaane shaam) x4

    1. Jab rowengi zanjeer to raaho ke pathar rowenge. Zainab wahaa par aur yaha(n) (lashe bahattar royenge) x2 (bhayya jigar phat jayenga) x2 sehte huwe alaam

(Lo jaa raha hai kafla zindaane shaam) x4

    1. Mujpar meri tanhaayi bhi nawha karengi raah me. Nake se jab wo ladli (beti girengi raah me) x2 (Ik roz usko qayd me) x2 miljayanga araam

(Lo jaa raha hai kafla zindaane shaam) x4

    1. Teri sakina qayd me dam tor dengi ek din. Dunya tumhari chaah me (wo chor dengi ek din) x2 (barpa sitam ki qayd me) x2 Ho jayenga kohraam

(Lo jaa raha hai kafla zindaane shaam) x4

    1. Balo me khaak bazuwo me resma lab par bukaa. Bhayya nabi ki aal ko (dekhengi dunya be ridaa) x2 (Bhayya masaaib is kadr) x2 Dengi ye raah-e-shaam

(Lo jaa raha hai kafla zindaane shaam) x4

    1. Sunkar fugaa hamshir ki lasha tarap kar rehgaya. Ane lagi us lashaye (be sar se ye purgham sadaa) x2 (Zainab sare neza mera) x2 Sar jaayenga har ghaam

(Lo jaa raha hai kafla zindaane shaam) x4

  1. (Zainab ki be ridaai pe) x2 Rota huwa har ghaam

(Lo jaa raha hai kafla zindaane shaam) x4

Ye ghazi alamdar

Jab karwaan karbobala lot ke ayaa. Kulsum ne mehmil ke jo parde ko hataaya. (Dil thaam ke ye kafle waalo ko bataayaa) x2

(Ye ghazi alamdar ki jagir he logo) x3

    1. (Farshe azaa shabbir ke matam ka bichaawo) x2

(Ye ghazi alamdar ki jagir he logo) x2

    1. Jis sher ke shano pe hame naaz tha har dam. Bacho ke liye aas tha jis sher ka parcham (Parcham mere abbas ka is ban me sajawo) x2

(Ye ghazi alamdar ki jagir he logo) x2

    1. Awaaz dekar dashte mein baba ko bulawo. Bhabhi kaha ho matame akbar kare awo (Majlis ke liye fatema zehra ko sadaa do) x2

(Ye ghazi alamdar ki jagir he logo) x2

    1. Un bekaso pe rona jinhe pyaas ne mara. Wo aun-o-muhammad bhi hai shabbir pe wara (Un bekaso ki pyaas bhi ashko se bujaado) x2

(Ye ghazi alamdar ki jagir he logo) x2

    1. Hai sab hi shahadat se dhani haq ke musafir. Wo awsaja wo john o habib ibn mazahir (Chehlum har ik mazloom ka karbal me manawo) x2

(Ye ghazi alamdar ki jagir he logo) x2

    1. Wo saamne dekho to hai behta huwa darya. Lekin labe darya nahi ab foj ka pehra (Jee khol ke ab pani piyo sab ko pilawo) x2

(Ye ghazi alamdar ki jagir he logo) x2

    1. Ham aagaye zindaan se magar qayd hai dukhtar. Ammu ko bulati rahi din rat jo ro kar (Zindaan se masoom sakina ko bulawo) x2

(Ye ghazi alamdar ki jagir he logo) x2

    1. Sab aurte bazaare jafaa me rahi purgham. Bechadere ke karb se karti rahi matam (Behaal hai sab unse kaho sar ko chupaawo) x2

(Ye ghazi alamdar ki jagir he logo) x2

    1. Hai dhoop ke maidan me mere be zubaan asghar. Saye me nahi jaa saki is dard se madar (Ik sayeba ab turbate asghar pe banawo) x2

(Ye ghazi alamdar ki jagir he logo) x2

    1. Farwa kahaa hai unse kaho aaj to paiham. Jee bharke karo qasime dilgir ka matam (Ik raat ke noshaah ki dulhan ko bataa do) x2

(Ye ghazi alamdar ki jagir he logo) x2

  1. Sar pite ke rote hai sare markade shabbir. Sajjad hai nawha kuna or zainabe dilgir (Dil khol ke rone do inhe chup na karawo) x2

(Ye ghazi alamdar ki jagir he logo) x2

Zainab meri behna

Zainab meri behna

Ye sheh ne kaha

Zainab meri behna, dukhya meri behna

Lawt kar shaam ke, zindaan se jab aanaa zainab

Tum mere kabr pe, ik shamaa jalaana zainab

Yaad rakhna ye baat, ay meri jaan, meri behna

Zainab meri behna dukhya meri behna

Tum fateha sharbat pe dilana meri behna

Zainab meri behna dukhya meri behna

    1. Gham mere azadar manayenge jahaa me, (ay meri behna) x2

Percham kahi taabut kahi hongi sabile, (ay meri behna) x2

Majlis me sabilo pe bhi jaana meri behna

Zainab meri behna dukhya meri behna

Tum fateha sharbat pe dilana meri behna

(Zainab meri behna dukhya meri behna) x2

    1. Matam jo azadar kare farshe azaa par, (ay meri behna) x2

Wo ashk bahaaye jo masayib mere sunkar, (ay meri behna) x2

Daman me un ashko ko chupana meri behna

Zainab meri behna dukhya meri behna

Tum fateha sharbat pe dilana meri behna

(Zainab meri behna dukhya meri behna) x2

    1. Abbas ke parcham ko sajaaye jo azadar, (ay meri behna) x2

Bacho ko mera sakaa banaaye jo azadar, (ay meri behna) x2

Abbas ko darya se bulana meri behna

Zainab meri behna dukhya meri behna

Tum fateha sharbat pe dilana meri behna

(Zainab meri behna dukhya meri behna) x2

    1. Jula mere besheer ka phoolo se sajaa kar, (ay meri behna) x2

Mannat koyi mane muje awlaad ataa kar, (ay meri behna) x2

Us bibi ki agosh sajaana meri behna

Zainab meri behna dukhya meri behna

Tum fateha sharbat pe dilana meri behna

(Zainab meri behna dukhya meri behna) x2

    1. Jab bibiya tabut sakina ka uthaye, (ay meri behna) x2

Aur nawha sakina ke asiri ka sunaye, (ay meri behna) x2

Tabut pe tum baali charhana meri behna

Zainab meri behna dukhya meri behna

Tum fateha sharbat pe dilana meri behna

(Zainab meri behna dukhya meri behna) x2

    1. Jis ghar se uthe kasime naushah ki mehndi, (ay meri behna) x2

Aa rasta ashko se kare majlise shaadi, (ay meri behna) x2

Us ghar ko masa'ib se bachaana meri behna

Zainab meri behna dukhya meri behna

Tum fateha sharbat pe dilana meri behna

(Zainab meri behna dukhya meri behna) x2

    1. Agar koyi behen apne baradar se bichar kar, (ay meri behna) x2

Nawha ye kare lawt ke aajaa ali akber, (ay meri behna) x2

Us behen ko bhayi se milana meri behna

Zainab meri behna dukhya meri behna

Tum fateha sharbat pe dilana meri behna

(Zainab meri behna dukhya meri behna) x2

    1. Kuch aur abhi tumko rulayenge sitam gar, (ay meri behna) x2

Khaymo ko mere baad jalaayenge sitam gar, (ay meri behna) x2

Sajaad ko sholo se bachaana meri behna

Zainab meri behna dukhya meri behna

Tum fateha sharbat pe dilana meri behna

(Zainab meri behna dukhya meri behna) x2

    1. Jab loot ka samaan mile kayd sitam me, (ay meri behna) x2

Majlis ka wahaa farsh bichaana mere gham me, (ay meri behna) x2

Zinadaan ko azaa khanaa banana meri behna

Zainab meri behna dukhya meri behna

Tum fateha sharbat pe dilana meri behna

(Zainab meri behna dukhya meri behna) x2

  1. Miljayengi jab mujko masayib se rihaayi, (haye hussaina) x2

Me fateha sharbat pe dilawungi ay bhayi, (haye hussaina) x2

Ha yaad he bhaya wo muje aap ka kehna

No comments:

Post a Comment