Monday, 17 February 2025

Hassan Sadiq (2000)

(Haay haay hussain) x2
(Behraha he khun ka darya laashaye shabbir se) x2
1. (Paani paani ki sadaa) x2 aati he zakhme teer se
(Behraha he khun ka darya laashaye shabbir se) x2
2. (lashaye akber paraa he khun me dubaa huwa) x2
(kehdo wapaas lot jaye) x2 kaside hamsheer se
Behraha he khun ka darya laashaye shabbir se
(Haay haay hussain) x2
3. (karbala ke dasht me tha jurm paani mangna) x2
(hogaya khamosh asgher) x2 hurmula ke teer se
Behraha he khun ka darya laashaye shabbir se
(Haay haay hussain) x2
4. (jiske bose leke milta tha muhammed ko sukoon) x2
(wo gulu kataa gaya hai) x2 aaj khund shamsheer se
Behraha he khun ka darya laashaye shabbir se
(Haay haay hussain) x2
5. (sar bareh na ho gayi he lut gayi he chadare) x2
(jinko dhampa tha nabine) x2 chaadre tathir se
Behraha he khun ka darya laashaye shabbir se
(Haay haay hussain) x2
6. (shaam me jawongi nange sar mere marne ke baad) x2
(hoke rukhsat keh rahe the) x2 shaahe din hamsheer se
Behraha he khun ka darya laashaye shabbir se
(Haay haay hussain) x2
(Abbas hai Abbas, Abbas hai Abbas, Abbas hai Abbas, hai hai abbas) x2
(Bhai shabbir ka, Haider ka piser aata hai)
(Jang karne bani hasham) x2 ka kamar aata hai
bhai shabbir.
Aysa tanha ko bahadur koi dekha na suna (Abbas hai Abbas) x3
Aysa tanha ko bahadur (koi dekha na suna) x2
Zaat me apni jo, lashkar sa nazar aata hai
Jang karne.
Yaad aati hai sakina ki bari kalb ke sath (Abbas hai abbas) x3
Yaad aati hai sakina ki (bari kalb ke sath) x2
Name abbas ka hoto pe agar aata hai
Jang karne.
Khoon bhara aaya alam ro ke ye zainab ne kahaa (Abbas hai abbas) x3
Khoon bhara aaya alam ro ke (ye zainab ne kahaa) x2
Bhayi tum aye nahi moo ko jigar aata hai
Jang karne.
Door se apka alam dekh ke bachi boli (Abbas hai abbas) x3
Door se apka alam dekh (ke bachi boli) x2
Dekho darya ke chacha lot ke gar ataa hai
Jang karne..
Sharm se rukta nahi neze pe abbas ka sar (abbas hai abbas) x3
Sharm se rukta nahi neze pe (abbas ka sar)x2
Beridaa kumba jo gazi ko nazar aata hai
Jang karne..
Hote zainab ke madad ake karo ai bhai (abbas hai abbas)x3
Hote zainab ke madad ake (karo ai bhai) x2
Awo abbas ke zinddan ka gar aata hai
Jang karne.
Nawha parta hai hasan kat ke kurbal rehaan (abbas hai abbas)x3
Nawha parta hai hasan kat ke (kurbal rehaan)x2
Hai duwa gazi ki kisko ye hunar aata hai
Jang karne..
(Hai Sakina, Hai Hai Sakina) X2
(Bund Pani Nahi Bhaiya Na Hawa Aati Hai) X3
(Ab Bhi Zindaan Sai Sakina Ki) x2 Ki Sada Aaati Hai
(Bund Pani Nahi Bhaiya Na Hawa Aati Hai) X2
1. (Kan dukhtai hain lahoo hota hai zakhmon sai ravan) X2
(Yad jab qaid main zalim ki) X2 Jafa aati hai
(Bund Pani Nahi Bhaiya Na Hawa Aati Hai) X2
(Ab Bhi Zindaan Sai Sakina Ki)x2 Ki Sada Aaati Hai
Bund Pani Nahi Bhaiya Na Hawa Aati Hai) X2
2. (Aessa lagta hai kay zindaan ko bhi araam nahi) X2
(Muj ko deewaron sai ronay ki) X2 Sada aati hai
(Bund Pani Nahi Bhaiya Na Hawa Aati Hai) X2
(Ab Bhi Zindaan Sai Sakina Ki)x2 Ki Sada Aaati Hai
(Bund Pani Nahi Bhaiya Na Hawa Aati Hai) X2
3. (Sona chaoun gi jo zindaan ki zameen per bhaiya) X2
(Neend Kab Baba Kay Seenai Kay) X2 Siva Aati Hai
(Bund Pani Nahi Bhaiya Na Hawa Aati Hai) X2
(Ab Bhi Zindaan Sai Sakina Ki)x2 Ki Sada Aaati Hai
(Bund Pani Nahi Bhaiya Na Hawa Aati Hai) X2
4. (Sath baba hai na maa hai aur no bhayi na chacha) X2
(Hai kis hal main bachi ki) X2 Sada Aati Hai
(Bund Pani Nahi Bhaiya Na Hawa Aati Hai) X2
(Ab Bhi Zindaan Sai Sakina Ki)x2 Ki Sada Aaati Hai
(Bund Pani Nahi Bhaiya Na Hawa Aati Hai) X2
5. (Hai beemar bahan ko na kafan dai pai) X2
(Yad Sajjad Ko Zainab ki) X2 Rida Aati Hai
(Bund Pani Nahi Bhaiya Na Hawa Aati Hai) X2
(Ab Bhi Zindaan Sai Sakina Ki)x2 Ki Sada Aaati Hai
(Bund Pani Nahi Bhaiya Na Hawa Aati Hai) X2
6. (Koi zindaan main na tanha ho Sakeena Ki Tarah) X2
(Yehi Jawaad Kai Hounton pai) X2 Dua Aati Hai
(Bund Pani Nahi Bhaiya Na Hawa Aati Hai) X2
(Ab Bhi Zindaan Sai Sakina Ki)x2 Ki Sada Aaati Hai
(Bund Pani Nahi Bhaiya Na Hawa Aati Hai) X2
(Ya Hussain) x4
(Khanjar talay, hussain hay, teero(n) ki jhari hai) x3
(Esi namaaz kisne) x2 Zamaane me parhi hai
(Khanjar talay, hussain hay, teero(n) ki jhari hai) x2
Wo hay hussain khoon say, jisnay wuzu kiya. Teero(n) ki ja-namaaz pay, al-hamd di sadaa (Sajday ko dekh maut bhi) x2 Hairan khari hai
Khanjar talay, hussain hay, teero(n) ki jhari hai
(Esi namaaz kisnay) x2 Zamaane me parhi hai

Noke sina pe jisne, quran sunaya. Oor Oor ke garam rait nay, kafan uska banaaya (Halqay murida laash jo) x2 Maqtal me pari hai
Khanjar talay, hussain hay, teero(n) ki jhari hai
(Esi namaaz kisnay) x2 Zamaane me parhi hai
(Khanjar talay, hussain hay, teero(n) ki jhari hai) x2
Sinay me burchi haath me, hay laal ka jigar. Shabbir ka jigar he yay, shabbir ka pisar (Sinay may jiskay barchi) x2 Zalim nay gari hai
Khanjar talay, hussain hay, teero(n) ki jhari hai
(Esi namaaz kisnay) x2 Zamaane me parhi hai
(Khanjar talay, hussain hay, teero(n) ki jhari hai) x2
Apnay hi garm khoon may, tarpay ali akbar. Thaa teer galay may rahay, hastay ali asghar (Yeh foj-e hussaini hi) x2 Karbal me lari hai
Khanjar talay, hussain hay, teero(n) ki jhari hai
(Esi namaaz kisnay) x2 Zamaane me parhi hai
(Khanjar talay, hussain hay, teero(n) ki jhari hai) x2
Wo hay hussain khoon say, jisnay wuzu kiya. Teero(n) ki ja-namaaz pay, al-hamd di sadaa (Sajday ko dekh maut bhi) x2 Hairan khari hai
Khanjar talay, hussain hay, teero(n) ki jhari hai
(Esi namaaz kisnay) x2 Zamaane me parhi hai
(Khanjar talay, hussain hay, teero(n) ki jhari hai) x2
Dee(n) ki panah hay sajda, Haider kay pisar ka. Hay tera haan gawa hi, yeh waqt Asr ka. (Bikhra hay laasha bun may) x2 Aur dhoop kari hay
Khanjar talay, hussain hay, teero(n) ki jhari hai
(Esi namaaz kisnay) x2 Zamaane me parhi hai
(Khanjar talay, hussain hay, teero(n) ki jhari hai) x2
(Aa du me loriya) x4
(Loriya se sone wale, so raha ho tum kaha) x3
(Do sadaa maktal se asghar) x2 dhundti phirti hai maa
(Loriya se sone wale, so raha ho tum kaha) x2
(Hatho pe mehndi lagaa ti sar pe sehra bandhti) x2 (reh gaye arman adhoora) tum na ho paye jawaan
(Loriya se sone wale, so raha ho tum kaha) x2
(Do sadaa maktal se asghar) x2 dhundti phirti hai maa
(Loriya se sone wale, so raha ho tum kaha) x2
(Ro pari sham-e-ghariban dekh kar suwe khayaam) x2 (Uth rahe ho ma ke dil se) x2 jaa ke khaymo se uthaye
(Loriya se sone wale, so raha ho tum kaha) x2
(Siskiya bharti hai madar godh viraan dekh kar) x2 (Khali jula se lipat ke) x2 rorahi hu loriya
(Loriya se sone wale, so raha ho tum kaha) x2
(Do sadaa maktal se asghar) x2 dhundti phirti hai maa
(Loriya se sone wale, so raha ho tum kaha) x2
(Sharm se dariya ki lehre pani pani hogaya) x2 (Hai jab sukh-e-labo par) x2 fayri asghar ne zabaan
(Loriya se sone wale, so raha ho tum kaha) x2
(Do sadaa maktal se asghar) x2 dhundti phirti hai maa
(Loriya se sone wale, so raha ho tum kaha) x2
(Maut ke aya paseena halk-e-asghar dekh kar) x2 (Kampta tha teer hurmala) x2 haath me larzi kamaan
(Loriya se sone wale, so raha ho tum kaha) x2
(Do sadaa maktal se asghar) x2 dhundti phirti hai maa
(Loriya se sone wale, so raha ho tum kaha) x2
(Haay akber) x3
(Maa duwa kartithi akber tera sehra dekhu) x3
Chand chchup jaaye tera) x2 chand sa chehra dekhu
(Maa duwa kartithi akber tera sehra dekhu) x2
(Boli rokar ali akber ki phuphi ay malik) x2
(kis tarha barchi me) x2 akber ka kaleja dekhu
(Maa duwa kartithi akber tera sehra dekhu) x2
(Chand chchup jaaye tera) x2 chand sa chehra dekhu

(Lashe akber pe khate sughra sunate hai hussain) x2
(bhai ab aur kahaa tak) x2 tera rasta dekhu
(Maa duwa kartithi akber tera sehra dekhu) x2
(Chand chchup jaaye tera) x2 chand sa chehra dekhu
(Maa duwa kartithi akber tera sehra dekhu) x2
(Awo zainab ye jawaan laash utha ye milkar) x2
(jab nahi gazi to kayoon) x2 janibe darya dekhu
(Maa duwa kartithi akber tera sehra dekhu) x2
(Chand chchup jaaye tera) x2 chand sa chehra dekhu
(Maa duwa kartithi akber tera sehra dekhu) x2
(Maa pukari ke huwa waqte azaan laal mere) x2
(tu azaa de to muhammed) x2 ka me lehja dekhu
(Maa duwa kartithi akber tera sehra dekhu) x2
(Chand chchup jaaye tera) x2 chand sa chehra dekhu
(Maa duwa kartithi akber tera sehra dekhu) x2
(Shaam chali, me shaam chali) x2
(pardes me gar lutwaake, par tera din bachaake) x2 me shaam chali nana
(Shaam chali, me shaam chali) x2
(Be goro kafan bhayi hai mera, asbab luta hai gar bhi jalaa) x2
so teer ghamo ka kha ke, ankho se khun bahaa ke me shaam chali nana
(Shaam chali, me shaam chali) x2
(bhayi ka gala kat te dekha, kasim ka badan pamaal huwa) x2
akber ka dard utha ke, hatho me rasan bandh waake, me shaam chali nana
-----------------------------------------------------------------------------------------
DORAY:
Ghazi tere alam ki hifazat karungi me, Ghazi tere alam ki hifazat karungi me, duniya tere alam ko gharo par lagayengi, Ghazi tere alam ki hifazat karungi me, duniya tere alam ko gharo par lagayengi, me aaj shaam leke chali hu teraa alam, ek kowm sariyon me, ek kowm sariyon me, ye parcham, ye parcham uthayengi
-----------------------------------------------------------------------------------------
(Shaam chali, me shaam chali) x2
(ghazi ke baad me ghazi hu, me nade ali dohraati hu) x2
khutbo ki tez chalaake, ghazi ka alam lehraake, me shaam chali nana
(Shaam chali, me shaam chali) x2
(rasi me sakina ka he gala, sajaad pehnaakar tokh chalaa) x2
Lo shimr ke zulm khaake, sabr hussain dikha ke, me shaam chali nana
(Shaam chali, me shaam chali) x2
-----------------------------------------------------------------------------------------
DORAY:
ansoo tumhare laasho pe me naa bahaa saki, ansoo tumhare laasho pe me na bahaa saki, do gunt bhi na tumko paani pila saki, aansoo tumhere laasho pe me na bahaa saki, do gunt bhi na tumko pani pila saki, zalim ne mere haatho ko bandha rasan ke saath, kiski ye khabar gale bhi na tumko laga saki
-----------------------------------------------------------------------------------------
(do laal fida bhayi pe kiya, mo rowi nahi dono ke liye) x2
Ankho me ashk chchupaa ke, bhayi ka dard bacha ke me shaam chali nana
(Shaam chali, me shaam chali) x2

VEERAN HAVELI MAIN

VEERAN HAVELI MAIN SUGHRA GHABRATI HAI
AB LAUT KE AA AKBAR, BEEMAR BULATI HAI

PARDES GAYE AAISE SUGHRA KI NA YAAD AAYI
NANA KAI ROZE PE, FARYAD SUNAATI HAI

QADMON KE NISHAANO KO KABHI DEKH KAI ROTI HAI 
ASGHAR KA KABHI JHOOLA BEEMAR JHULAATI HAI

AB IN DEEVARON MAIN DAMM GHUTTA HAI SUGHRA KA 
LE KE NAAM AKBAR KA, WO ASHK BAHAATI HAI

AKBAR KI SHAADI KA LAYENGE PAYAAM CHACHA 
IS BAAT PE DO SEHRA, BHAI KE BANAATI HAI

ULJAA HUA BARCHI ME AKBAR KA JIGAR DEKH 
IS KHAAB KI SUGHRA KO, TABEER RULAATI HAI

No comments:

Post a Comment