Ay mere baba
sham e ghareba aag ka manzar
aaye najaf sey fateh e kheber
ujri huwi Zainab ne dekha
Rote huwe jab bap ka chehra
maqtal mein gunja Zainab ka noha
(ay merey baba haye merey baba) x2
- kya kya masaib tooty hein mujhe par
-
ye karbala hei ya khuni jangal
dekho to baba tum suw-e-maqtal
sab key lahu sey bhiga hei anchal
sarey azeezoun ka gham uthaya -
dekh sako to ye dekho baba
bikhra huwa hai qasim ka sehra
he tukrey tukrey dulha ka lasha
dil ko sambhaley rooti hai farva - bhuley ga kese ye qalb mera
-
pala tha jis ko ma ban key mene
chida kaleja us ka sina ney
suno zara noha us ki maa sey
Laila ka dil bhi gham sey chida tha -
kia tum ney baba deikhi tarayi
bazu burida hei mera bhayi
baad us key ham pe uftad aayi
tha us key dam sey parda hamara -
abid ko sholo sey bhi nikala
deiti thi bachoun ko mein sahara
Ehl-e-haram ko mein ney sambhala
tanha diya hei khaimo(n) ke pehra -
ye merey ansu kehte hai(n) baba
is tarha roney sey kia miley ga
jesey bhi ho ab jeena parey ga
zindagi bhar ka gham mein ney paya -
"farhan-o-mazhar" kaisa tha manzar
baap key qadmo(n) sey wo lipat kar
kehti thi Zainab tera luta ghar
waqt-e-madad tha koi na aaya..
batla raha hei ye khuni manzar
ik din mein ujra mera bhara ghar
na rahe bhayi na koi beta
(ay merey baba haye merey baba) x2
(ay merey baba haye merey baba) x2
(ay merey baba haye merey baba) x2
ghazi ke shaney Akber ka seena
Bano ka noha Asghar ka jhula
dil mein hei merey ye dagh kesa
(ay merey baba haye merey baba) x2
(ay merey baba haye merey baba) x2
(ay merey baba haye merey baba) x2
(ay merey baba haye merey baba) x2
(ay merey baba haye merey baba) x2
(ay merey baba haye merey baba) x2
(maqtal mein gunja Zainab ka noha) x3
Pyaari Sakina
namaz e shab mein dua karte the Shabbir
ik phool si beti dey mujhe katib e taqdeer
Haay, Shabbir ko khaliq ney sakina jo ata ki
Zainab ki si surat thi sab us mah laqa ki
jis dam diya godi mein usey laker chacha ki
hathoun pa us ko ley kar ghazi ney dua di
rakhe tujhe aye laadli Allah salamat
dunya mein terey sar pa rahy shah salamat
Sakina Sakina
(Shah ki piyari Sakina laadli Abbas ki) x3
-
seerat-e-Zehra thi jis mein thi sakina wo kitab
god mein lete the ghazi aur kabhi Umme Rabab
seena-e-Shabbir par jo phool si khilti rahi
Zainab-o-Kulsoom key jo saye mein palti rahi - na kisi gham ka tasawwur tha na ranj-o-yaas ka
-
naz uthathi thi sakina ke sabhi shehzadiyan
kisa-e-khaiber suna kar deti thi maa loriyan
zanu-e-mader pe takiya tha kabhi taqdeer par
Cheyn sey sooti thi shab ko seena-e-Shabbir par -
Dekhti hi dekhti wo do baras ki hogayi
bachiyo(n) sey khilney ki umr hoti hai yahi
Khelti thi ghar key angan mein kabhi Sughra ke saath
Ghumney jati kabhi Akber kabhi baba key saath -
Khelke doran lagti thi Sakina ko jo piyas
door key jati thi bachi us ghari amu ke paas
haye kya din the keh pani manga ur pani mila -
Algharaz behr-e-safer jab ghar sey nikle shah-e-deen
rah mein kitni aziyat sehgayi wo nazneen
dasht mein piyasi rahi aur baap ki furkat sahi
qayd ho kar phir wo bachi sham ke zinda(n) gayi -
umr se baqi jo din the wo guzarey qayd mei
kal talak aabad tha ghar ab hai sare qayd mei
qayd khane ke masaib qalb par sehti rahi
haye baba haye baba raat din kehti rahi -
mar dala qayd khaney ney usey uftad ney
qabr mei us ko utara sayyad-e-sajad ney
roza-e-bali Sakina par jo "mazhar abidi"
jayega "farhan" lab par hoga noha bas yehei
(Shah ki piyari Sakina laadli Abbas ki) x2
paya is bachi ney jhula bazu-e-Abbas ka
naksh tha us nazneen ke dil pe nam Abbas ka
youn samjh lo pehney rehti thi vo taveez-e-wafa
(Shah ki piyari Sakina laadli Abbas ki) x2
(Shah ki piyari Sakina laadli Abbas ki) x2
(Shah ki piyari Sakina laadli Abbas ki) x2
ur ik vo waqt piyasi thi sar-e-karbobala
(Shah ki piyari Sakina laadli Abbas ki) x2
(Shah ki piyari Sakina laadli Abbas ki) x2
(Shah ki piyari Sakina laadli Abbas ki) x2
(Shah ki piyari Sakina laadli Abbas ki) x2
Tera ghum zinda hai abhi tak sogwaro'n mein
Tera matam shahe dee'n bapa hai chand taro mein..(3)
1. Tera akbar seene pe jiske
maara tha naiza ehle jafa ne..(2)
royi karbal ki zamee'n buka thi regzaro'n mein
Tera matam shahe dee'n bapa hai chand taro mein..(2)
2. Tera qasim ghodo ne jisko
pamaal maqtal mein kar diya tha..(2)
haye wo tanha tha sare maqtal hazaro'n mein
Tera matam shahe dee'n bapa hai chand taro mein..(2)
3. Tera ghazi dariya kanare
sota hai haye shane kata ke..(2)
rota hai darya falak hai sogwaro'n mein
Tera matam shahe dee'n bapa hai chand taro mein..(2)
4. Tera asghar hatho pe tere
maara gaya jab teere sitam se..(2)
chhayi maqtal mein khiza fugha'n thi ye baharo'n mein
Tera matam shahe dee'n bapa hai chand taro mein..(2)
5. Tere ghar ko ummat ne loota
khaime jalaein cheeni ridayein..(2)
deti thi zehra dilase dilfigaro'n mein
Tera matam shahe dee'n bapa hai chand taro mein..(2)
6. Teri dukhtar daaghe yateemi
paaya tha jisne is kamsini mein..(2)
aag daman mein lagi lahu tha goshwaro'n mein
Tera matam shahe dee'n bapa hai chand taro mein..(2)
7. Teri behne jab sar barehna
bazaar e kufa se jaa rahi thi..(2)
rote the abid fugha'n thi ashk baro'n mein
Tera matam shahe dee'n bapa hai chand taro mein..(2)
8. Teri zainab beto'n ko apne
royi nahi hai royi hai tujhpar..(2)
behna bulati thi tujhe ashko ke dharo'n mein
Tera matam shahe dee'n bapa hai chand taro mein..(2)
9. Tera mazhar din raat nauhe
likhta hai tere purse ki khatir..(2)
deta hai wo bhi sadayein sogwaro'n mein

No comments:
Post a Comment