Monday, 17 February 2025

Shahid Baltistani (2008)

Al madad, Maula Raza(a.s.) x 3

Nana Nabi dada Ali dadi teri khairun nisaa.

1) Tu hai masiha-e-jahaan, shahe Khurasaan hai laqab,
Yu har farishta roze par, aataa hai tere ba adab,
Haan rad nahi hoti tere, roze pe koi bhi dua.
Nana Nabi dada Ali, dadi teri khairun nisaa.
Al madad, Maula Raza(a.s.) Al madad, Maula Raza(a.s.)

2) Binaai bhi deta hai tu, goyaai bhi deta hai tu,
maange agar tujse koi, Daanaai bhi deta hai tu,
tu bhi to baab-e-ilm hai, Tu bhi to hai mushkil kushaa.
Nana Nabi dada Ali dadi teri khairun nisaa.
Al madad, Maula Raza(a.s.) Al madad, Maula Raza(a.s.)

3) Hai zaamine aahu bhi tu, gul bhi hai tu khushbu bhi tu,
Hai ponchta har aankh se, girte huwe aansu bhi tu,
Teri ataayain dekh kar, dushman ko bhi kehnaa padhaa.
Nana Nabi dada Ali dadi teri khairun nisaa.
Al madad, Maula Raza(a.s.) Al madad, Maula Raza(a.s.)

4) Teri karaamaate nazar, shab ho ke ho waqte sahar,
Lehta hai har zaair tera, roze ki jaali chum kar,
Mash-had muqaddas ho gaya, tune jo aakar di azaan.
Nana Nabi dada Ali dadi teri khairun nisaa.
Al madad, Maula Raza(a.s.) Al madad, Maula Raza(a.s.)

5) Tere hi dastar-khaan par, hota hai jannat ka ghumaan,
Jinno mallak lete hai sab, tere hi dar se rotiyaan,
Maula tera makruuz hai, har ik gadaao baadshaa.
Nana Nabi dada Ali dadi teri khairun nisaa.
Al madad, Maula Raza(a.s.) Al madad, Maula Raza(a.s.)

6) Roze se tere duur hai, ham to bohot majboor hai,
Aankhon se aansu hai rawaan, dil bhi ghamon se churr hai,
Tujse kahenge haale dil, izne ziyarat kar ataa.
Nana Nabi dada Ali dadi teri khairun nisaa.
Al madad, Maula Raza(a.s.) Al madad, Maula Raza(a.s.)

7) Aal-e-azaa ke haal par, dukhta to hoga dil tera,
Ishke ghame shabbir mei, maare gaye jo bekhata,
Hai mohnis-o-yawar tu bhi, ibne shahide Karbala.
Nana Nabi dada Ali dadi teri khairun nisaa.
Al madad, Maula Raza(a.s.) Al madad, Maula Raza(a.s.)

8) Rehan mujko hai yaqeen, maula Raza(a.s.) ki zaat se,
Ye naukri shabbir ki, jaaegi ab na haath se,
nauhe likhunga mei sada, dete rahenge wo silaa.
Nana Nabi dada Ali dadi teri khairun nisaa.
Al madad, Maula Raza(a.s.) Al madad, Maula Raza(a.s.)
Haaye zindaan jabke dukhtare shabbir mar gayi
Baazu hilake baanue nawshaad ne kaha
bibi padar ke sar se uthao to sar zara
baate abhi to karti thi aasu baha baha
saakit hai nabzo gaaye gazab sard dasto paa
muh dekhte hi zist ka naksha badal gaya
kis waqt saas ruk gayi kab dam nikal gaya

Maa sakina ka shaana hilaati rahi..

Maut bachi ko loree sunaati rahi, maa Sakina ka shaana hilaati rahi

1) Ab na kholay gi aankhain yateema kabhi
Jaanti hai Sakina ko neendh aagayi
Phir bhi taqdeer ko aazmati rahi, maa Sakina ka shaana hilaati rahi

2) Be yateemi ki hai kaifiyat kis kadar
Sochti hai kai baaqi hai jaa se magar
Zindagi apna daman churaati rahi, maa Sakina ka shaana hilaati rahi

3) Paani layai kahan sai woh is kai liyai
Tashna lab hai Sakina khabar hai usai
Pyaas haunton pai aanso giraati rahi, maa Sakina ka shaana hilaati rahi

4) Apni gaudi main mayat uthayai huwai
Maujazai ki umeedain lagayai huwai
Syedda ki kahani sunaati rahi, maa Sakina ka shaana hilaati rahi

5) Ro rahi thi zameen ro raha tha falaq
Waqt-e-talkeen sai waqt-e-tadfeen tak
Minnatain ker kai us ko uthaati rahi, maa Sakina ka shaana hilaati rahi

6) Thi takallum woh ulfat ki kaisai ghari
Jab andhairai main bachi ki mayyat uthi
Qabar nanhi si Zainab banaati rahi, maa Sakina ka shaana hilaati rahi

Ya Aba Saleh X4
Kabhi Aiy Haqeeqate Muntazar Nazar Aa Libas-E-Majaz Main X2
Kay Hazaron Sajday Tarap Rahay Hain Meri Jabeene Niaz Main
Shab-E-Tareh Be Qararay Dil E Kay Charay Na Daray
Nafasam Munday To Seenay Chashme Mun Birahe Yare
Shab E Tareh, Shab E Taree

1. Ai Masihae Jahan Wariso Mukhtaar-E-Haram
Aiy Meray Barhway Maula Teri Azmat Ki Qasam
Jis Tarha Hay Mujhay Allah Kay Honay Ka Yaqeen
Is Tarha Hay Teri Ghaybat Pay Yaqeen E Mohkam
Shab-E-Tareh Be Qararay Dil E Kay Charay Na Daray
Nafasam Munday To Seenay Chashme Mun Birahe Yare
Shab-E-Tareh, Shab-E-Taree

2. Apni Her Sans Mujhay Lagti Hay Khanjar Ki Tarha
Hijr E Malik Main Hun Betaab Main Nokar Ki Tarha
Lamha Lamha Mery Sarkaar Teri Amad Ka
Muntazir Rehta Hun Shabbir Kay Mimber Ki Tarha
Shab-E-Tareh Be Qararay Dil E Kay Charay Na Daray
Nafasam Munday To Seenay Chashme Mun Birahe Yare
Shab-E-Tareh, Shab-E-Tareh

3. Jub nai roshni payghame sahar laati hay
Khud ba khud khana e kaba pay nazar jaati hay
Jub nazar ata nahi hay tera jalwa maula
Ho kay mayoos nazar meri palat aati hay
Shab-e-Tareh Be Qararay dil e kay charay na daray
Nafasam munday to seenay chashme mun birahe Yare
Shab-e-Tareh, Shab-e-Tareh

4. Lazzate hijr teray wasal ka aaina hay
Teri furqat ka meray dil main azakhana hay
Meri is baat ki behlol gawahi dengay
Jo bhi deewana hay tera wo bara dana hay
Shab-e-Tareh Be Qararay dil e kay charay na daray
Nafasam munday to seenay chashme mun birahe Yare
Shab-e-Tareh, Shab-e-Tareh
GUMGASHTA E MAZAR E MUHABBAT KUJAAEE
YA ALI YA ALI ABA SALEH

5. Mun bakhale labat aiy doost giraftaar shudam
Chashame beemar tura deedamo beemar shudam
Farigh az khud shudam khoose anal haq bizadam
Hamche mansoor khareedare sar-e-daar shudam
Shab-e-Tareh Be Qararay dil e kay charay na daray
Nafasam munday to seenay chashme mun birahe Yare
Shab-e-Tareh, Shab-e-Tareh

6. Intezaare Ali Akbar Main Jahan Say Guzri
Apnay Bhai Say Bichad Kar Jo Kabhi Mil Na Saki
Appko Wasta Hay Maula Usi Sughra Ka
Ub To Aa Jao Kay Ruk Jain Na Sansain Meri
Shab-E-Tareh Be Qararay Dil E Kay Charay Na Daray
Nafasam Munday To Seenay Chashme Mun Birahe Yare
Shab-E-Tareh, Shab-E-Tareh

7. Jub Kabhi Ghaib Say Rehan Imam Ain Gay
Sath Abbase Dilawar Ka Alam Laingay
Bay Ridai Ka Jo Zaynab Ki Wo Badla Lengay
Ashk Sajjad Ki Ankhon Kay Bhi Thum Jaingay
Shab-E-Tareh Be Qararay Dil E Kay Charay Na Daray
Nafasam Munday To Seenay Chashme Mun Birahe Yare
Shab-E-Tareh, Shab-E-Tareh X2

Aye behen zainab - 2

Wada karo wada karo aye behen zainab - 2

Ahle haram ko kalse behen abbas bankar sambhalogi naa...

Wada karo....

1. Ahsaan mujper itna karo, mere sirhane baythi raho
Kya sochti ho mujse kaho meri wasiyat bhi sumti raho
Tum mujko rolo mere saamne kal se ye aasu chupaogi naa

2. Jab bekasi ke maahol per shaame garibaan chane lage
Nana ki ummat jab aye behen khayme hamare jalane lage
Jal jaaye masnad meri magar aabid ko mere bachaaogi naa

3. Nazdeek mere aao zara dekho na sunnle sakina kahi
Jaaogi jab qayd khane me tum bichdegi tumse ye bacchi wahi
Zindaan me tum bandhe haath se kabre sakina banaaogi naa

4. Begor hoga mera badan khaake shifa hogi mera kafan
Dekho rona nahi chayn khona nahi tumko mil jaaye chadar ye hona nahi
Tum apni chadar pyaari behen khaake shifa ko banaaogi naa

5. Apne hi haatho pe laaya tha mai lasha hasan ka teero bhara
Mayyat ki bhai se rote hue tumne nikale the teere jafa
Waise hi mere laashe se tum teero ko aaker nikalogi naa

6.aankho me uske kayi khwab hai tum jaanti ho wa hassaz hai
Jo muntazir hai dehliz per usko judaai ka ehsaas hai
Zainab hamari majburiya sughra ko jaaker bataaogi naa

7. Ahsaan mujper itna karo, mere sirhane baythi raho
Kya sochti ho mujse kaho meri wasiyat bhi sunti raho
Tum mujko rolo mere saamne kal se ye aasu chupaogi naa

8. Begor hoga mera badan khaake shifa hogi mera kafan
Dekho rona nahi chayn khona nahi tumko mil jaaye chadar ye hona nahi
Tum apni chadar pyaari behen khaake shifa ko banaaogi naa

9. Sunkar wasiyat shabbir ki haaye takallum wo roti rahi
Armaan awaaze ibne ali ye kehte kehte thamsi gayi
Pyaaso ko pani pilaaogi naa farshe aza tum bichaogi naa

Aye behen zaynab - 4

Ya hamsheere raza 2
Assalamo alayka ya kareema

Ya Kareema

Tera bhai imame zamin hai
tera baba dare hawaij hai

ya kareema - 6

tune paaya hai zainabi rutba
kazmi hai hasab nasab tera
hai raza ki riza teri marzi
hai gilaafe haram tera parda

sar pe ahle kisa ka hai saya
aapne nam fatema paya
aap zeenat hai apne baba ki
aur rakhti hai zainabi lehja

Fatema zehra

tere rauze ko ye sa'adat hai
markaze fatema se nisbat hai
fark do markado me itna hai
wo baqaiyya ye qum ki jannat hai

shahzadi jo tere rauze par
motariz horahe hai sajde par
ehteraaman hai shukr ka sajda
aur wo bhi khuda ke kehne par

saath dono jahan aate hai
jabhhi wo jamkaran aate hai
tujhse milne ko tere rauze par
khud imame zamaan aate hai

pohchi jo qum ajeeb manzar tha
kale parcham lage the har ek jaa
aise matam kiya hai bhai ka
qum ko tune banaya karbobala

ilmo idraak aagahi dede
misle behlol zindagi dede
naqshbardaare za'ereen bana
apne rauze pe naukri dede

hai ye rehan ki dua bibi
fikre darwesh par nazar ho teri
haath bechain hai ye matam ko
qabre zehra pe ho azadari

Ya zahra madarjaan..(2)
ya zahra, zahra madar madarjaan

1. Biz'ate qalb e nabi umme abeeha zehra
tere baba ne tujhe rutba diya maa jaisa
jab utha shab ki siyahi me janaza tera
qabr e sarkar e do aalam se ye aati thi sadaa

Ya zahra madarjaan..(2)
ya zahra, zahra madar madarjaan

2. Ye sada dete hai khud haath ke chaale tere
tune hasnain ko paala hai badi mehnat se
zeher shabbar ko mila yu mila mehnat ka sila
khoo ugalte hue kehte the jigar ke tukde

Ya zahra madarjaan..(2)
ya zahra, zahra madar madarjaan

3. Phir wo din aaya ke sarwar ne madina chhoda
teri turbat hui veeran basi karbobala
roze ashoor azan e ali akbar sunkar
ghar ki dehleez pe baithi hui sughra ne kaha

Ya zahra madarjaan..(2)
ya zahra, zahra madar madarjaan

4. Hogaya jung ka aghaaz sare karbobala
sabse pehle gaya maidaan me hurr ka beta
bhai maara gaya fir hurr bhi gaya sue jina
zakhm pe shaah ne rumaal jo bandha to kaha

Ya zahra madarjaan..(2)
ya zahra, zahra madar madarjaan

5. Us taraf zainab e dilgeer ye karti thi dua
mere farzand ho pyaase mere bhai pe fida
pur asar saniye zehra ki dua hoke rahi
laash bacho ki jo dekhi to ye zainab ne kaha

Ya zahra madarjaan..(2)
ya zahra, zahra madar madarjaan

6. Laut kar aaya na saqqa e haram darya se
hogaye haath qalam teer kaleje me lage
hogaya thanda alam sheh ki kamar toot gayi
tod kar kooza sakina ne kaha rote hue

Ya zahra madarjaan..(2)
ya zahra, zahra madar madarjaan

7. Ek kohraam bapa khaima e sarwar me hua
ghar se atthara baras wala jo maqtal ko chala
barchi akbar ke kaleje se jo sheh ne khaichi
haath seene pe rakha aur ye akbar ne kaha

Ya zahra madarjaan..(2)
ya zahra, zahra madar madarjaan

8. Door bano se hua haaye wo nanha baccha
loriya deti hai besheer ko ab khaak e shifa
che mahine ke mujahid pe qayamat guzri
teer khakar ali asghar ke tabassum ne kaha

Ya zahra madarjaan..(2)
ya zahra, zahra madar madarjaan

9. Sheh ne rehan rakha sajda e mabood me sar
shimr ka chalne laga sukhe gale par khanjar
yaad aane lagi maa alame tanhai me
rukh baqiyya ki taraf karke pukare sarwar

No comments:

Post a Comment