Abid ki kahani
(Haaye beemaar) x4
(Haaye beemaar) x2
(Haaye beemaar) x4
(Ranj-o-alam mei dubi, abid ki kahani) x4
- Payro(n) mei aable hai, aankho se ansuo(n) ke, hoti hai rawaani
(Ranj-o-alam mei dubi, abid ki kahani) x4
- Is baat ka nahi gham, bazaar behaya hai
Ummat ki berukhi hai, ummat ke hi gila hai
Zainab bhi berida hai, badli hai zaeefi mei, abid ki jawaani
(Ranj-o-alam mei dubi, abid ki kahani) x4
- Qari namaazi hafiz, haji khare huwe the
Bazaaro(n) mei musalmaa(n), sare bhare huwe the
Zainab ki pusht par hi, beemaar-e-sarebaa(n) ki, guzri hai jawaani
(Ranj-o-alam mei dubi, abid ki kahani) x4
- Sadat ke liye hi, raaho(n) mei mushkile hai
Qaure hai aur kaanthe, pathro(n) ki barishe hai
Khayme jo karbala mei, jalte rahe the ya rab, barsa nahi pani
(Ranj-o-alam mei dubi, abid ki kahani) x4
- Jab karbala ko aye, suta watan madina
Chora jo karbala ko, tanha huwi sakina
Sarwar ki shaahzadi, kaise sahengi ya rab, zinda(n) ki weerani
(Ranj-o-alam mei dubi, abid ki kahani) x4
- Sajjad ko imamat, deti hai shaam-e-gurbat
Mazloom sayyedo(n) se, kehti hai shaam-e-gurbat
Purse mei de rahi hu(n), beemar ko aseeri, karbal ko kahani
(Ranj-o-alam mei dubi, abid ki kahani) x4
- Na mahramo mei zainab, be parda jab khari thi
Ummat ki teri nana, ghayrat kaha(n) gayi thi
Majma laga huwa tha, Zainab jo parh rahi thi, ayaat-e-qurani
(Ranj-o-alam mei dubi, abid ki kahani) x4
- Saaya hata hi tha ke, Abbas ke bharam ka
Aaghaz hogaya tha, sadat pe sitam ka
Deti rahi dilasa, pardes mei Zainab ko, Ghazi ki nishaani
(Ranj-o-alam mei dubi, abid ki kahani) x4
- Sajjad jis tarha se, ankho(n) se khun roya
"Arman" wo kalam se, kaise bayaan honga
Bedaar hogaye ham, matam bata raha hai, Noho(n) ki zubaani
(Ranj-o-alam mei dubi, abid ki kahani) x4
Akhri lori
(Akhri lori hai meri, jaan kar bejaa(n) hu mei) x2
- Ay khuda taala na mujhko, aazmaana maa hu(n) mei
(Akhri lori hai meri, jaan kar bejaa(n) hu mei) x2
- Nanne naane haath aur pyaase labo(n) ko chum kar
Mei kaha karti thi asghar, ab agar jaaungi ghar
Mei parhungi teri surat, tu kare quraa(n) hu mei
(Akhri lori hai meri, jaan kar bejaa(n) hu mei) x2
- Putliya(n) ankho(n) ki meri, tujhse lay kar roshni
Itni roshan hogayi ke, bheek mange chandni
Ay mere mahtaab aja, muztar-o-girya(n) hu mei
(Akhri lori hai meri, jaan kar bejaa(n) hu mei) x2
- Akhri shab hai sahar is, shab ki kya dikhlaaye rang
hay munajate khuda ya(n), us taraf tayyar jang
Tu larenga kis tarha, ada say yun hayraa(n) hu mei
(Akhri lori hai meri, jaan kar bejaa(n) hu mei) x2
- Nusrat-e-shabbir to karna hai tumko bhi magar
Muskurahat tere lab par, aur udhar teer-o-tabar
Tujhpe ay nanne mujahid, isliye qurbaan hu mei
(Akhri lori hai meri, jaan kar bejaa(n) hu mei) x2
- Sari maae(n) apni qurbaani karengi pesh kal
Chaahti hu tu idhar maydaan mei aise nikal
takay mei bhi keh saku ik askari ki maa(n) hu mei
(Akhri lori hai meri, jaan kar bejaa(n) hu mei) x2
- Dhyaan bas itna rahe, Behr-e-weera(n) jaate huwe
Ik qatre paani peeleena jo qismat se mile
ek teri Tashna dahani, say bohot bejaa(n) hu mei
(Akhri lori hai meri, jaan kar bejaa(n) hu mei) x2
- Maa(n) dua karti rahi "Rehan" jhule ke qaree(n)
laaj rukhio Madar-e-asghar ki rabbul alameen
Meri qurbani hai asghar, be sar-o-samaa(n) hu mei
(Akhri lori hai meri, jaan kar bejaa(n) hu mei) x2
Guftagu madar ki sunkar, bezubaa(n) kehne laga, kaisay so jaon main, kay sona hai zameen-e-garm par, mei to sojaaunga, khakar teer kal maydaan mei, haa(n) magar tum so nahi paaogi amma, Umr bhar
Baba-e-man kuja
(Zuljana zuljana baba-e-man kuja) x4
- Ay dast-e-karbala baba-e-man kuja
(Zuljana zuljana baba-e-man kuja) x2
- (Rota hai kisliye zakhmi huwa hai kyu) x2 Chehre pe ye tere kiska laga hai khu(n), kuch to mujhe bata, baba-e-man kuja
(Zuljana zuljana baba-e-man kuja) x2
- (Baghe kati huwi, aur zeen hai ghiri) x2 Darbar-e-jism mei, kyu hai gari huwi, tanha to agaya, baba-e-man kuja
(Zuljana zuljana baba-e-man kuja) x2
- (Ay asp-e-bawafa, ye hai teri wafa) x2 teri sawar jo, tu khoke agaya, Nazre mila bata, baba-e-man kuja
(Zuljana zuljana baba-e-man kuja) x2
- (Mei dekhti rehgayi jaldi na kar abhi) x2 Maqtal me tu na jaa, har simt ho shaki, mana na tu kaha, baba-e-man kuja
(Zuljana zuljana baba-e-man kuja) x2
- (Mei kaise sowungi, har waqt rowungi) x2 maqtal mei me-o-me, maqtal mei jawungi, tu raasta bata, baba-e-man kuja
(Zuljana zuljana baba-e-man kuja) x2
- (Akar watan se door, ye bewafaai ki) x2 Azan-e-bawagar de azmaai ki, tu dekhta raha, baba-e-man kuja
(Zuljana zuljana baba-e-man kuja) x2
- (Baba ki khun ki bu, mehsus hoti hai) x2 Jaldi bata mujhe, ab jaan jati hai, tu hontsi liya, baba-e-man kuja
(Zuljana zuljana baba-e-man kuja) x2
- (Kaise sahu ye gham, gutne laga hai dam) x2 baba wagair kyu, utthe tere qadam, mera na dil dukha, baba-e-man kuja
(Zuljana zuljana baba-e-man kuja) x2
- (Ye kehke rodiya, rahwaar-e-shah-e-deen) x2 Rakha sakina ke qadmo(n) pe wo jabeen, bibi na kar gila, baba-e-man kuja
(Zuljana zuljana baba-e-man kuja) x2
- (Mei bawafa nahi, ehl-e-jafaa nahi) x2 mei kya jiyunga jab, aaqa mera nahi, bibi na do sada, baba-e-man kuja
(Zuljana zuljana baba-e-man kuja) x2
- ("Rehan azmi" wo asp-e-bawafa) x2 bad-e-hussain phir, dekha nahi gaya, khud karbala mei kya, baba-e-man kuja
(Zuljana zuljana baba-e-man kuja) x2
- Ay dasht-e-karbala, baba-e-man kuja
(Zuljana zuljana baba-e-man kuja) x2
Ay dasht-e-karbala, baba-e-man kuja, ay asp-e-bawafa, baba-e-man kuja
Bechayn hai Zainab
(Bechayn hai Zainab aaja) x2 Veeran hai ghar ali akbar, mere laal tu lot ke aaja, Bechayn hai Zainab aaja, Veeran hai ghar ali akbar, mere laal tu lot ke aaja, bechayn hai Zainab aaja
- (Pardes ki is ghurbat mei) x2 Ham jaaye kahaa(n) batlaaja
Bechayn hai Zainab aaja, Veeran hai ghar ali akbar, mere laal tu lot ke aaja, bechayn hai Zainab aaja
- Athara baras paala tujhko (tu ghar se gaya na bahir) x2 (Dil dub gaya hai beta) x2 Ghar lot ke ab to aaja
Bechayn hai Zainab aaja, Veeran hai ghar ali akbar, mere laal tu lot ke aaja, bechayn hai Zainab aaja
- Hai waasta tere baba ka (haathon ke mere nawaalon ka) x2 (Marne ki ummar thi teri) x2 Ik baar mujhe samja ja
Bechayn hai Zainab aaja, Veeran hai ghar ali akbar, mere laal tu lot ke aaja, bechayn hai Zainab aaja
- Lagta hai watan na jaawungi (gut gut ke marjaawungi) x2 (Jeenay ki karungi tamanna) x2 Ik baar tu wapas aaja
Bechayn hai Zainab aaja, Veeran hai ghar ali akbar, mere laal tu lot ke aaja, bechayn hai Zainab aaja
- Zanjeer mei jakra hai kunba (Sar neze par hai tera) x2 (Aankho(n) se lahu barsaawu(n)) x2 Mei kab tak ye batlaaja
Bechayn hai Zainab aaja, Veeran hai ghar ali akbar, mere laal tu lot ke aaja, bechayn hai Zainab aaja
- Teri yaadei(n) hai aur Zainab hai (Hamshakl-e-payambar Akbar) x2 (Du dil ko tasalli kaise) x2 Ye baat zara batlaaja
Bechayn hai Zainab aaja, Veeran hai ghar ali akbar, mere laal tu lot ke aaja, bechayn hai Zainab aaja
- "Rehan" fughaa(n) thi Zainab ki (Ye shaam ke bazaaro(n) mei) x2 (Dukhyaari phuphi kehti hai) x2 Akbar mere Akbar aaja
Bechayn hai Zainab aaja, (Veeran hai ghar ali akbar, mere laal tu lot ke aaja, bechayn hai Zainab aaja) x2 (Bechayn hai Zainab aaja) x3
Haaye mei ujjar gayi
Saamne behn ki ankho ke, gardan pe khanjar chalaaya, ik mazloom pyaase par, zalim ko tars na aaya
(Ha mera ujjar gaya garbaar, ha mei tanha matamdaar, haaye mei ujjar gayi nana, haye mei ujjar gayi) x2 Ha mera ujjar gaya garbaar
- (Chali dil pe mere talwaar) x2 Ab mawt ke hai aasaar, haaye mei ujjar gayi nana
Haaye mei ujjar gayi, Haan mera ujjar gaya garbaar, ha mei tanha matamdaar, haaye mei ujjar gayi nana, haaye mei ujjar gayi, Haan mera ujjar gaya garbaar
- Nana teri ummat ne mere jeene ke sahare cheen liye, is karbobala ke jangal mei, ankho ke sitare cheen liye (Mei bekas mei lachaar) x2 Sab kunbe ki ghamkhaar, haaye mei ujjar gayi nana
Haaye mei ujjar gayi, Haan mera ujjar gaya garbaar, ha mei tanha matamdaar, haaye mei ujjar gayi nana, haaye mei ujjar gayi, Haan mera ujjar gaya garbaar
- Darya ke kanaare jalta huwa, ghar aaj talak dekha ke suni, quran-e-sar-e-neza nana, parhta huwa sar dekha ke suni (kiya bayyat se inkaar) x2 Bhaayi pe chali talwaar, haaye mei ujjar gayi nana
Haaye mei ujjar gayi, Haan mera ujjar gaya garbaar, ha mei tanha matamdaar, haaye mei ujjar gayi nana, haaye mei ujjar gayi, Haan mera ujjar gaya garbaar
- Wo shaam-e-gharibaan ka manzar, Bimar ka sholo mei bistar, wo behta huwa kaano(n) se lahu, wo neel Sakina ke rukh par (kaano se lahu ki dhaar) x2 Jab zakhmi the rukhsaar, haaye mei ujjar gayi nana
Haaye mei ujjar gayi, Haan mera ujjar gaya garbaar, ha mei tanha matamdaar, haaye mei ujjar gayi nana, haaye mei ujjar gayi, Haan mera ujjar gaya garbaar
- Ik sheyr taraayi mei soya, jo aas tha pyaase bacho(n) ki, wo mashk bachaane ki khatir, kurbaani degaya haatho(n) ki (parde ka zimmedaar) x2 Mara gaya aakhir kaar, haaye mei ujjar gayi nana
Haaye mei ujjar gayi, Haan mera ujjar gaya garbaar, ha mei tanha matamdaar, haaye mei ujjar gayi nana, haaye mei ujjar gayi, Haan mera ujjar gaya garbaar
- Wo zulm bhi dekhe hai mene, jo din ko raat banaa dete, Mei ro na saki aansu mere, paani mei aag laga dete (bhaayi ka tha ye israar) x2 bas sabr meri ghamkhaar, haaye mei ujjar gayi nana
Haaye mei ujjar gayi, Haan mera ujjar gaya garbaar, ha mei tanha matamdaar, haaye mei ujjar gayi nana, haaye mei ujjar gayi, Haan mera ujjar gaya garbaar
- Shaano(n) pe nishaa(n) hai rassi ke, sogaat safar ye laayi hu, hai dil mei daag-e-bahatar ke, ay nana mei dukh paayi hu (thi sang ki wo bosaar) x2 rota tha alam bardaar, haaye mei ujjar gayi nana
Haaye mei ujjar gayi, Haan mera ujjar gaya garbaar, ha mei tanha matamdaar, haaye mei ujjar gayi nana, haaye mei ujjar gayi, Haan mera ujjar gaya garbaar
- Wo ibn-e-hassan pamal-e-badan, dulha jo bana ik shab ke liye, maqtal ki zamee(n) par uska badan, ghoro(n) ne kiya tukre tukre (sine pe zakhm hazaar) x2 ik sar ke tukre chaar, haaye mei ujjar gayi nana
Haaye mei ujjar gayi, Haan mera ujjar gaya garbaar, ha mei tanha matamdaar, haaye mei ujjar gayi nana, haaye mei ujjar gayi, Haan mera ujjar gaya garbaar
- Zainab ki sada har majlis mei, noho(n) ki zubaani aati hai, bibi ki sada dohraata hai, jisse nawha khaani aati hai ("Rehan" mere ashaar) x2 dil-e-zainab ki hai pukaar, haaye mei ujjar gayi nana
(Haaye mei ujjar gayi, Haan mera ujjar gaya garbaar, ha mei tanha matamdaar, haaye mei ujjar gayi nana, haaye mei ujjar gayi, Haan mera ujjar gaya garbaar) x2
Jaan Sakina
(Bethi ho andhere mei kahaa(n) Jaan sakina) x2 Jaan sakina
- Baba ke tere lut gaye Armaan Sakina
Bethi ho andhere mei kahaa(n) (Jaan sakina) x2
- (Daman mei lagi aag kob, kon bujhaaye) x2 Khaso(n) koi is dasht mei, insaan Sakina
Bethi ho andhere mei kahaa(n) (Jaan sakina) x2
- (Hafiz hai ye quran ke aur parhte hai kalma) x2 Yasin ki inso(n) ka pehchaan Sakina
Bethi ho andhere mei kahaa(n) (Jaan sakina) x2
(Aajaayie baba) x4
(Baba jaan, kyu ruthe ho mujhse, mere paas to awo) x2
- Wasta tujhko hai khuda ka, mujhe yu na sataawo
Baba jaan, kyu ruthe ho mujhse, mere paas to awo, baba jaan
- Teri khushbu tera chehra saath hai mere, kul yahi jageer hai rab kya paas hai mere, aayiye baba, aayiey baba
Tum bin na jee paawungi, marjawungi marjawungi, aajaayiey baba, Baba jaan, kyu ruthe ho mujhse, mere paas to awo, baba jaan
- Phool se rukhsaar pe mere neel nishaan hai, khun kano se aur ankho se ashk rawaa(n) hai, aayiye baba, aayiey baba
Tum bin na jee paawungi, marjawungi marjawungi, aajaayiey baba, Baba jaan, kyu ruthe ho mujhse, mere paas to awo, baba jaan
- Us gari dadi Zehra ki yaad bhi ayi, Baba mei darbar mei roti huwi jab aayi, aayiye baba, aayiey baba
Tum bin na jee paawungi, marjawungi marjawungi, aajaayiey baba, Baba jaan, kyu ruthe ho mujhse, mere paas to awo, baba jaan
- Dhundne baba tujhko ayi maqtal mei, har taraf fugha(n) tha sawaa khuni jangal mei, aayiye baba, aayiey baba
Tum bin na jee paawungi, marjawungi marjawungi, aajaayiey baba, Baba jaan, kyu ruthe ho mujhse, mere paas to awo, baba jaan
- Hai labo pe mere baba nad-e-ali hi, rasta dushwaar hai par beti hu teri hi, aayiye baba, aayiey baba
Tum bin na jee paawungi, marjawungi marjawungi, aajaayiey baba, Baba jaan, kyu ruthe ho mujhse, mere paas to awo, baba jaan
- Itni ulfat itni chahat dekhi nahi thi, gunjti zindaan se "Yawar" eik sadaa thi, aayiye baba, aayiey baba
Tum bin na jee paawungi, marjawungi marjawungi, aajaayiey baba, Baba jaan, kyu ruthe ho mujhse, mere paas to awo, baba jaan
Ya zahra
(Fatema Zahra) x4
Warke matam sha, Aalam-e-waala, meera vad maula, sarwar-e-zahra (ahu wawayla) x2
(Ya zahra) x6
- Ay meri bibi
tere dar pe istighaasa hai
tera mamnoon, meri shehzaadi ye jahaa(n) sara hai
(Ya zahra) x4
- Tere baba ki jo wasiyyat hai
Uspe ummat ko kyu(n) shikayat hai
Aur tehreer jo huwi tukre
Wo ibaraat, teri muhabbat hai
(Ya zahra) x4
- Ay meri bibi
Khatm tumpe hi ibadat hai
Mere sajdo(n) ko teri ulfat ka hi sahara hai
(Ya zahra) x4
- Tere bacho(n) se jisko pyaar nahi
Wo tere gham ka talabgaar nahi
Kheyl samjhe na wo tere gham ko
Ye ibadat hai karobaar nahi
(Ya zahra) x4
- Ay meri bibi
Ye khulus hai darvaisho(n) ka
Jinki tasbeeh, tere bacho(n) ka gham manana hai
(Ya zahra) x4
- Waqt-e-akhir hai bas mera bibi
Anginat hai, mere gunaah bibi
Waasta tujhko tere bacho(n) ka
Bakhshwana mere gunaah bibi
(Ya zahra) x4
- Ay meri bibi
Lab pe ye, dua hamari hai
Arsh mei bhi, bapa ho matam ye dil pukara hai
(Ya zahra) x4
Ya zainab-e-kubra
Bismillah-hir-rahmanir-raheem. Innama yureedullahu li yuzhib ankumur rijs ahlalbayti wa yu tahhirakum tatheera
(Allah allah allah) x4
Allahu kabla kullu shai', allahu ba'da kullu shai', allahu kabla kullu shai', allahu ba'da kullu shai'
(Allah allah allah) x2 (Ya zainab-e-kubra) x6
- Ay bibi baniye azaa, peghaam karbala tera, jisne suna yahi kaha
(Ya zainab-e-kubra) x4
- Tegh khutbo ki barsare darbaar, jaise chalti ho haideri talwaar, kat ke ghirte the zalimo ke jigar, jang-e-khaiber thi ya teri lalkaar
(Ya zainab-e-kubra) x2
- Ay bibi baniye azaa, dine rasool bach gaya, quran ki thi ye sadaa
(Ya zainab-e-kubra) x4
- Yaad ata hai shaam ka manzar, bibi sarpe tere na thi chadar, har taraf patharo ki baarish thi, teri poshaak thi lahu me tar
(Ya zainab-e-kubra) x2
- Ay bibi baniye azaa, sadma tha ye bohot baraa, roya sare shahe hudaa
(Ya zainab-e-kubra) x4
- Tune bacho ki di hai qurbani, haye re tera zokh imaani, pyaase bhayi ki yaad me tune, khun bahaya hai ankhe ka paani
(Ya zainab-e-kubra) x2
- Ay bibi baniye azaa, ye zabta hosla tera, neze pe ser pukaarta
(Ya zainab-e-kubra) x4
- Tere dar par ye istighasa hai, jo bhi farshe aza pe rota hai, us pe saya kare tera ghazi, wo jo mushkil kusha ka beta hai
(Ya zainab-e-kubra) x2
- Ay bibi baniye azaa, hum momino ki ye dua, ashke azaa ka waastaa
(Ya zainab-e-kubra) x4
- Kitne makrooz matami hai tere, karza tu ghaib se adaa karde, bibi tu to sakhi ki beti hai, tu to muflis ko baadshaah kar de
(Ya zainab-e-kubra) x2
- Ay bibi baniye azaa, tu innama tu hal ataa, kehta hai sar jukaa huwa
(Ya zainab-e-kubra) x4
- Qaid be jurma jo hai matamdaar, misle mazloom aabide bimaar, unko azaadiyo ko tohfa de, aaj tu misle haidare karrar
(Ya zainab-e-kubra) x2
- Ay bibi baniye azaa, hum ko hai tera aasraa, ghairo se mangna hai kya
(Ya zainab-e-kubra) x4
- Tere bhayi ne jaise rahib ko, saat bete ataa kiye phirto, tu bhi hamsheer us sakhi ki hai, dede awlaad chahiye jisko
(Ya zainab-e-kubra) x2
- Ay bibi baniye azaa, awlaad aisi kar ataa, ho wo bhi matami tera
(Ya zainab-e-kubra) x4
- Waasta us aseer bachi ka, rassiyo me bandha tha jiska gala, wo jo pyaasi thi mar gayi pyasi, koyi bacha na ab rahe pyaasa
(Ya zainab-e-kubra) x2
- Ay bibi baniye azaa, har sabeel par likha, kehta hai khun bhayi ka
(Ya zainab-e-kubra) x4
- Ay bibi baniye azaa, humse na haq adaa huwa, karde muafye khata
(Allah allah allah) x8

No comments:
Post a Comment