fizza tujhe salam..(6)
zahra se kiya wada nibhati rahi fizza..(4)
har modh pe zainab ko bachati rahi fizza
jo saniye zahra ko bachane me lage the..(2)
sajjad se wo zakhm chupati rahi fizza
zahra se kiya wada nibhati rahi fizza..(2)
jab pucha kaha reh gaye amma mere baba..(2)
sughra se bohot der chupati rahi fizza
zahra se kiya wada nibhati rahi fizza..(2)
aaya jo mulaqaat ko abbas ka beta..(2)
bus shano ko ankho se lagati rahi fizza
zahra se kiya wada nibhati rahi fizza..(2)
shabbir ki beti ho ya beti ho nabi ki..(2)
har umr ki zahra ko bachati rahi fizza
zahra se kiya wada nibhati rahi fizza..(2)
darwazae zahra kabhi, khaimo se haram ke..(2)
uthte hue sholo ko bujhati rahi fizza
zahra se kiya wada nibhati rahi fizza..(2)
bacho se lipat kar kabhi zainab se lipatkar..(2)
patthar jo baraste rahe khati rahi fizza
zahra se kiya wada nibhati rahi fizza..(2)
khakar kabhi patthar kabhi durre ae takallum..(2)
karz aale mohammad ka chukati rahi fizza
zahra se kiya wada nibhati rahi fizza..(2)
haye fizzaa...
surae kahf sunata hai ye sar kiska hai..(3)
khoon ankho se bahata hai..(2)
ye sar kiska hai...
chalte chalte jo sakina kahi gir jati hai..(2)
khudko naize se girata hai..(2)
ye sar kiska hai...
surae kahf sunata hai ye sar kiska hai..(2)
jis taraf jata hai bazar me sar akbar ka..(2)
us taraf dekhta jata hai..(2)
ye sar kiska hai...
surae kahf sunata hai ye sar kiska hai..(2)
jab bhi dakhil kisi bazaar me hote hai haram..(2)
pehla patthar yehi khata hai..(2)
ye sar kiska hai...
surae kahf sunata hai ye sar kiska hai..(2)
raat hoti hai to masoom si ek bachi ko..(2)
lori naize sunata hai..(2)
ye sar kiska hai...
surae kahf sunata hai ye sar kiska hai..(2)
padhke qur'aan ki ayaat sare zainab se..(2)
dhyaan logo ka hata hai..(2)
ye sar kiska hai...
surae kahf sunata hai ye sar kiska hai..(2)
ye sama kaash na dekhe koi khwahar iski..(2)
shimr zulfo se uthata hai..(2)
ye sar kiska hai...
surae kahf sunata hai ye sar kiska hai..(2)
mir sajjad nahi kya koi waris iska..(2)
isko har ek satata hai..(2)
ye sar kiska hai...
surae kahf sunata hai ye sar kiska hai..(2)
ae rone walo hai yeh riwayat me likha
jis dam qayam koofe me mukhtar ne kiya
jo bhi the qatilane shaheedane karbala
re unme se koi jab bhi gireftar hota tha
hukme ameer par wo sitam jab sunata tha
mukhtar sar ko peetke bus rota jaata tha
haay..
ek roz tha ye koofe ke darbaar ka sama
ibne numair apne sitam karta tha bayaa
todi thi maine sinae akbar me khud sina
uthta tha shor khaimo se maara gaya jawaa
maa jiteji guzar gai, zainab bhi margai
ek barchi mere kitne jigar paar kargai
haay..
ek roz karke laaya gaya hurmala aseer
bola wo ran me maine chalaye the teen teer
us waqt pehla teer chalaya tha ae ameer
bhar kar chala jo mashk toh mazloom ka safeer
mashkeeze se jo teer mera paar hogaya
aisa laga ke qatl alamdar hogaya
haay..
bola laee ye karb ka hai dusra maqaam
laaye jo apni god me besheer ko imaam
sukhi zaba phirata tha hoto pe tishnakaam
yu qat'a ibne zahra ka maine kiya kalam
hil hil gaya lahad me jigar buturab ka
are maqtal me neher hogaya bacha rabab ka
haay..
darbar me ye sunke qayamat ka tha samaa
are peero jawaan rote the lele ke hichkiya
bola ye hurmula abhi baaqi hai dastaa
jis dam tera husain tha teero ke darmiyaa
wo teer aakhri tha jo maine chalaya tha
arey us teer ne husain ko zee se giraya tha
haay..
phir shor wa husaina ka uthta tha baar baar
jab qaid karke laya gaya shimre bad sheyaar
bola wo mere haath me khanjar tha tez dhaar
jisse kiye husain ki gardan pe tera(13) waar
khanjar rawa tha halq pe ibne batool ke
dil kat rahe the saath me aale rasool ke
haay..
ab iske baad meer takallum baya ho kya
ae pursadaro sochna dil me kabhi zara
kyu itna waqt qatile shabbir ko laga
kis waste husain ka katta na tha gala
mehsher me ye khulega sitam kaynaat par
khanjar ke kuch nishaan hai zahra ke haath par
Haye Haye Haye
Sakina Sakina
Assalamu alaiki ya sayyidatana ruqaiyya
assalamu alaiki ya binta fatimataz zahra sayyidata nisail alameen
assalamu alaiki ya binta husainish shaheed
sakina sakina..(2)
mai aa raha hu sakina..(4)
hai bus khatm hone ko har imtehaan
koi ghaib se de raha hai sada
mai aa raha hu sakina..(2) sakina..
nigaho me meri hai ab tak wo lamhe
rihai haram ko mili jis tarah se
aseero ko aabid gae jaise leke
tujhe bhi chudakar mai zindaan se
bohot jald lejaunga karbala
mai aa raha hu sakina..(2) sakina..
azadari hoti thi ghurbat pe teri
tere dil ko hoti thi kitni tasalli
magar ab na matam na majlis hai koi
tere paas tanhaiya rehgai
raha ab na koi teraa aasra
mai aa raha hu sakina..(2) sakina..
lahu bangaya kese aahkho ka pani
hui qatl aabid ki kese jawani
sununga mai bazar teri zabani
karunga mai khud sath girya tere
na ro shahzadi theher ja zara
mai aa raha hu sakina..(2) sakina..
tujhe ab na pardesi koi kahega
watan leke tujhko ye mehdi chalega
madina watan tha madina rahega
tadapti hai milne ko bimar se
mila dunga sughra se wada mera
mai aa raha hu sakina..(2) sakina..
nisha hai ae bibi jo rukh par tumhare
hai wese hi kuch daagh dil par hamare
nazar me hamari ye manzar hai saare
baqiyya samarra karbobala
chukane badla har ek zulm ka
mai aa raha hu sakina..(2) sakina..
palat kar na aaya jo darya se ghazi
kisi se bhi tune na fir manga pani
meri choti zahra tu kabse hai pyasi
bujhane ko sadiyo ki tashna labi
tere paas khud banke saqqa tera
mai aa raha hu sakina..(2) sakina..
takallum wo kehta ye hoga tadapkar
mai hasrat se takta hu khud teghe haider
teri al ajal ki sadao ko sunkar..(2)
usi tarha aata hai lab par mere
kate sar ne tha jis tarah se kaha
mai aa raha hu sakina..(2) sakina..
sakina sakina... sakinaa sakina
Halmin nasir yansurna..(3)
Ya Zainab Ya Zainab..(2)
Labbaik Ya Zainab..(2)
Labbaik Labbaik Ya Zainab
aa rahi hai rozae zainab se halmin ki sada..(2)
ghir gai hai shamiyo me firse aale mustafa
waqt rone ka nahi ye waqt hai labbaik ka
Labbaik Labbaik Ya zainab
kuch nahi zainab se badhkar ye batana hai hame
fatema zahra ko ek din mu dikhana hai hame
rokna hai jo baqiyya se chala hai silsila
Labbaik Labbaik Ya zainab
rone wale karbala par uske dil ki aas hai
matami uski nazar me bazue abbas hai
maan rakhna hai hame ab khwahare shabbir ka
Labbaik Labbaik Ya zainab
kal bhi usne dukh uthae, thi magar dharas use
ghairate abbas bankar sath me sajjad hai
aaj tanha reh gai hai baniye farshe aza
Labbaik Labbaik Ya zainab
kehte honge shaah se abbas ye rote hue
mai kate hatho se bhi lad lunga fauje shaam se
bus mujhe ek baar..bus mujhe ek baar maula
izn kar dijiye ata
Labbaik Labbaik Ya zainab
Shaam hae shaam hae shaam hae shaam hae shaam
haye haye zainab haye haye shaam..(3)
chalne ki jo aadi na thi
paidal wahi meelo chali
durre kabhi patthar kabhi..(2)
khati rahi binte imam
haye haye zainab haye haye shaam..(2)
jane sitam kesa hua
chehra lahu se chhup gaya
binte ali se baap ka..(2)
lete the shami inteqam
haye haye zainab haye haye shaam..(2)
akbar kare kese bayan
deta hai jab koi azan
lagti hai seene par sina..(2)
aata hai jab akbar ka naam
haye haye zainab haye haye shaam..(2)
Haye abbas haye Abbas..(8)
Rasan me haath bandhe hai
Bahen hai be parda
Sina se sar na girae to kya kare abbas
Haye Abbas hay hay abbas hayy hayy abbas hayy hayy abbas
Rasan me hath....
Padar ki laash se usko chudaya jata hai
Sitam hai naake pe Tanha bithaya Jata hai
Rasan me baali sakina ka bandh raha hai gala
Sina se sar na girae to kya kare Abbas
Wo Kis tarha se tasalli de aake madar ko
Kiya hai dasht me do baar zibha asghar ko
Lehed se aagaya naize pe jism asghar ka
Sina se sar na girae to kya kare Abbas
Chupa ke Bano se mu sharm saar hoti hai
Wo pusht naaqa pe ab khud sarwar hoti hai
Ye Kesa waqt hai Zahra ki betiyo pe pada
Sina se sar na girae to kya kare Abbas
Dhyaan lashae shabbir se hatana tha
Dobara sayyade sajjad ko bachana tha
Giri hai naaqe se maqtal me saniye Zahra
Sina se sar na girae to kya kare Abbas
Kahi pe kasimo akbar Kahi pe aun ka sar
Kahi hai laal roqaiya ke aur Kahi asghar
Wo bache naize pe hai jinko god me paala
Sina se sar na girae to kya kare Abbas
Hai neel chehrw pe itne tamache mare hai
Laee ne khaich ke kano se durr utare hai
Ke dino kaano se masoom ke lahu behta
Jo sheh ke saamne nazre sada jhuka ke chale
Takaza meer takallum hai uski ghairat ka
Haay mazluma fatema zehra
Haay mehruma
Fatema ka bhare madine me gham batane koi nahi aaya 3
Ghar jalane ko kalmago aaye
Hai ghar bujhane koi nahi aaya..!!
1)Kya wo islam ka hi markaz tha 2
Kya madina tha wo muhammed ka 2
Lagrahe the jaha pe zahra k taziyane koi nahi aaya
2)Rassiya thi ali ki gardan me 2
Aur bazaar se guzarte the 2
Sab tamashayi banke takte rahe
Aur chudane koi nahi aaya
3)Dar jala katl hogaye mohsin pasliya sayyed ki toot gayi 2
Fir b kehte ho tm k zehra par zulm dhaane koi nahi aaya
4)Khud hi chunne lagi nabizaadi bikhri tehreer apne baba ki 2
Mustufa ki sanad k tukdo ko
Hay jab uthane koi nahi aaya
5)Har sitam fatema pe dhaaya gaya
Jalta darwaza b giraaya gaya 2
Apne mehdi ko di sada usne
Hay jab bachane koi nahi aaya
6)Aath Shawwal ko hui Akbar fir shahadat nabi ki beti ki 2
Gir raha tha mazaar bibi ka aur bachane koi nahi aaya
ajeeb haal me hai fatema ke dono pisar..(2)
haye hasan haye husain..(2)
hasan ke teer badan me, husain teero par
ajeeb haal me hai fatema ke dono pisar..(2)
hasan ko dekha hai qasim ne khoo ugalte hue..(2)
sakina dekhti hai baap ko tahe khanjar
haye hasan haye husain..(2)
ajeeb haal me hai fatema ke dono pisar..(2)
najane dekhe hai zainab ne tasht me kese..(2)
jigar ke tukde hasan ke, kabhi husain ka sar
haye hasan haye husain..(2)
ajeeb haal me hai fatema ke dono pisar..(2)
hasan ne jate hue choome bazu zainab ke..(2)
husain jate hue choomte rahe chadarr
haye hasan haye husain..(2)
ajeeb haal me hai fatema ke dono pisar..(2)
hasan ke bete ke ummat ne kar diye tukde..(2)
husain late hai tukde wo saare chun chun kar
haye hasan haye husain..(2)
ajeeb haal me hai fatema ke dono pisar..(2)
udhar hasan ke janaze par phool teero ke..(2)
idhar husain ke lashe pe nazr hai pattharr
haye hasan haye husain..(2)
ajeeb haal me hai fatema ke dono pisar..(2)
udhar hasan ka janaza phiraya galiyo me..(2)
sare husain phiraya gaya idhar dar-dar
haye hasan haye husain..(2)
ajeeb haal me hai fatema ke dono pisar..(2)
tadap rahe hai janaze kuch aur yu akbar..(2)
ke teer khech rahi hai badan se khud madar
haye hasan haye husain..(2)
ajeeb haal me hai fatema ke dono pisar..(2)
kar rahi thi lashae muslim pe ye zahra buka..(2)
ya ali, ya ali koofe me fir aayi hai rone sayyeda
aap par jab ibne muljim ne kiya sajde me waar
hath pehlu par rakhe yaha aai thi me pehli baar
aaj fir us haal me zahra ko hai aana pada
kar rahi thi lashae muslim pe ye zahra buka..(2)
koofe walo ne ise milkar hai maara ya ali
lashae muslim hai aise para para ya ali
jism hai sara mere bache ka zakhmo se bhara
kar rahi thi lashae muslim pe ye zahra buka..(2)
kis tarah maine sambhala kis tarah thamba ise
kya batau mai khadi thi hath phailaye hue
darul ammara se jab tha lashae muslim gira
kar rahi thi lashae muslim pe ye zahra buka..(2)
kuch hi din me phir yaha aungi mai roti hui
iske bacho par chalegi jab ke haris ki churi
mai sambhalungi unhe aakar ruqaiyya ki jagah
kar rahi thi lashae muslim pe ye zahra buka..(2)
dushmani ale nabi se is tarha dikhlaenge
yu mohd aur ibrahim mare jaenge
naam ka bhi paas rakhenge na kuch ehle jafa
kar rahi thi lashae muslim pe ye zahra buka..(2)
kar rahe hai zulm ki tafseer ye chehro ke neel
kat rahi hai aaj jo dar dar ye aulade aqeel
hai yaqeenan ye mere bacho se ulfat ki saza
kar rahi thi lashae muslim pe ye zahra buka..(2)
bain the akbar zabane sayyada par bas yahi
sath zainab ke yaha fir mujhko aana hai abhi
shaam tak lejaega koofe se ghum ka silsila
kar rahi thi lashae muslim pe ye zahra buka..(2)
Aye muslim-e-ghareeb..(4)
Aun di maa aye aun nu ro samjawe
tere jeeteji shabbir mera akbar di laash na chawe
1. Zakhma wich chur wi ho ke tu
shabbir nu waaj na maareein
Jitna wi mumkin howe bus
maqtal wich waqat guzareein
Inj veer di paak ziyarat da
menu haur waqat mil jawe
2. Teri aakhri saah wich maa Zehra
ne laash teri te aanaye
tu bose de ke qadma te
sir khud jholi wich paanaye
tenu chawan layi meri zakhmi maa
paase tu hath na chawe
3. Tu takya aye mai bachpan tu
auno keeta kitna pyaarey
meri jholi wangu akbar aai
mere hanjwa da haq daarey
na amdi tey naraaz huwi
je laash te wayn na paawey
4. Je chaana aye maa raazi raye
te rakhkhe paas adab daa
jado laash teri tey maqtal wich
aawey sardaar arab daa
aye wajib aye tazeem layi
khud laash teri uth jawey
5. Do puttar te sir di chadar aye
teri maa daa kul sarmaya
ayena tu wadh ke qeemti aye
meri maa Zahra da jaaya
bas zainab nu aye fikraa ne
kiwey veer hussain bachawey
6. Tushi hashimi o aye yaad rawey
rayi akbar ro farmandi
maidaa wich hausle lad de ne
talwaar nayi wekhi jaandi
ek haider dey ek ja'far dey
rang wich talwaar chalawe
Haaye jawan - 4
Akbar jawan - 4
Haye jawan haaye jawan haaye jawan
Haye heeve jeeve jawan thia akbar - 4
Dard ka aasmaan thiya akbar - 2
Haaye jive jive jawan thiya akbar - 2
1. Koi sughra ku e dasa dive,Kaang veeran di hun laha thive - 2
Maut da mere maathiya akbar - 2
2. Bayn ro ro karendi rahi layla, dekh sughra lahu di mehndi laa - 2
Husn da asman thiya akbar - 2
3. Baad tere hussain kya jive, tu na sava di hun qaza thive - 2
Tu jo baabe di jaa thiya akbar - 2
4. Qaatila ku hussain puchda haa, koi meku oja dikhawe cha - 2
Qatl meda jitha thiya akbar - 2
5. Laash chhut gayi par ae wada hai, par ujake tedi phuphi waisi - 2
Zikr teda jitha thiya akbar - 2
6. Piyue aakhe jawaan hai laashaa, dekh bachda medi zaeefi da - 2
Kya ajab imtehaan thiya akbar - 2
7. Pyaas apni te bhul gaya maula, john ro roke ke haake ho ahda - 2
Qatl pani bina thiya akbar - 2
No comments:
Post a Comment