Gareeb zehra par kya waqt hai gareebi ka...
garebaan chaak hai baalon me khaake karbobala
talaash karte hai rasta nazar nhi aata
yeh haal dekhke haste hai sheh par ahle jafa
behan ke kaandhon par kul kainaat laate hai
kadam kadam par yeh aawaaz dete jaate hai
umme laila sambhal zainab ko x2
laa raha hu main lasha-e-akbar
umme laila sambhal zainab ko x2
bole honge hussain yeh rokar
umme laila sambhal zainab ko
laa raha hu main lasha-e-akbar
umme laila sambhal zainab ko
1) naujawan laash hai zaeefi hai
meri nazron se dekh manzar ko
kaise humsheer ko sambhalunga
main sambhale hue hu akbar ko
tera ehsaan hoga yeh mujhpar
2) uske seene se leke naame ali
maine barchi abhi nikaali hai
imtehaan de chuki meri gurbat
ab teri bebasi ki baari hai
tu bhi is waqt yaa ali kehkar
3) do nageene the iski godi me
dono akbar pe kar diye sadka
sabr aisa ke apne beton par
maine rota ise nahi dekha
hai magar ab yeh lasha-e-akbar
4) rok rakha hai apne ashkon ko
sabse chup chup ke aaahein bharti hai
main samjhta hu maadare akbar
teri mamta pe jo guzarti hai
rakhke apne kaleje pe patthar
5) aise lashe jawaa'n uthaaye hun
aidiyaan khat banati aati hai
inn nishaano ko peeche-peeche mere
amma zahra mitati aati hai
uski nazrein na dekhe yeh manzar
6) aye "takallum" woh shaam-o-kufa ka
taiy hua hoga is tarah se safar
Amma zainab sambhalna maa ko
kehte honge sina se yeh akbar
aur hoga hussain ke lab par...
Sham haye shaam....(4)
Abid se jab watan me kisi ne kiya kalam.
Guzre kaha pe zyada jafa tumpe ya imam
Hazrat ne teen bar kaha shaam shaam shaam
Sar nange sara kunba tha aur gird khaas o aam
Bewo ka naam leke aduw shaad hote the
Baba ka sar bhi rota tha aur hum bhi rote the..
Haye shaam ne maar diya
Ha mujhe shaam ne maar diya
Jabtak bhi rahe zinda...(2)
Sajjad ka nauha tha...
Haye shaam
Haye shaam ne maar diya
Ha mujhe shaam ne maar diya
Haye shaam....(3) shaaam...haye shaam
Kaise na bahe khoo ankho se
Khanjar hi chala hai aisa
Dam meri jawani tod chuki
Bazar hai maqtal mera
Wallaha mai zinda hu...(2)
Kehne k liye warna
Haye shaam
Haye shaam ne maar diya
Ha mujhe shaam ne maar diya
Haye shaam....(3) shaaam...haye shaam
Phir jata hai meri nazro me
Bazar e shaam ka manzar
Mahsoos ye hota hai mujhko
Hai sath phupi be chadar
Tay mujhse nahi hota...(2)
Baazaar madine ka.....
Haye shaam
Haye shaam ne maar diya
Ha mujhe shaam ne maar diya
Haye shaam....(3) shaaam...haye shaam
Kehti hai shariyat sar na khule
Awaz e azaa'n jab aaye
Par ahle haram sarpar apne
haatho ko bhi rakh na paye
Rassi me aseero'n ko...(2)
Is tarha se jakda tha..
Haye shaam
Haye shaam ne maar diya
Ha mujhe shaam ne maar diya
Haye shaam....(3) shaaam...haye shaam
(sangat)
Ho yaaaad.(2)
Jado taa chup chup sajjad rehnda
Usey haal koi na keh na shaam da bazar da
Jede zulm dekhe aabid....(2)
Dhundiya....
dhundiya de safar...
Meeras shahadat hai meri
Kya ye bhi mera virsa tha
phupiyo ko liye jo be chadar
Is shahar se mai guzra tha
Sajjad ka maqtal hai....(2)
Is shahar ka har kucha...
Haye shaam
Haye shaam ne maar diya
Ha mujhe shaam ne maar diya
Haye shaam....(3) shaaam...haye shaam
Jab hath dua ko uthte hai
Dil gham se mera phat ta hai
Aati hai sakina yaad mujhe
Mehsus yahi hota hai
Jaise mere hatho par...(2)
Rakkha hai koi lasha.....
Haye shaam
Haye shaam ne maar diya
Ha mujhe shaam ne maar diya
Haye shaam....(3) shaaam...haye shaam
Gar ahle madina tum apne
Ghar mujko bulana chaho
Khushiyo me nahi aa sakta kabhi
Majlis ka farsh bichhao
Baki nahi khushiyo se....(2)
Ab koi mera rishta...
Haye shaam
Haye shaam ne maar diya
Ha mujhe shaam ne maar diya
Haye shaam....(3) shaaam...haye shaam
Baazaar me zainab ka jana
Kya maut se kam iza thi
kyu zahar diya zalim mujhko
Ab iski zarurat kya thi
Pehle hi takallum jab....(2)
Kehta tha mera maula....
Haye shaam
Haye shaam ne maar diya
Ha mujhe shaam ne maar diya
Haye shaam....(3) shaaam...haye shaam
Haye shaam ne maar diya
Ha mujhe shaam ne maar diya...(3)
Yabna Zahra Ruhi Wajismi Lakal Fida.....2
Ya Husain Ya Husain Ya Husain Ya Husain
Ya Garib Ya Husain....2
Aashoor Ki Shab Karte The Ashaab Ye Nauha...2
Ham Kese Chale Jae....2
Tumhe Chod Ke Maula
Aashoor Ki Shab Karte The Ashaab Ye Nauha...2
kooze liye haathon may hai masoom se bache
in pyason ko pani ki badi aas hai humse
mar jayenge ye gar hamay jaate hue dekha
hum kaise chale jaye....
ashoor ki shab karte....
maana ke zaroorat nahi hazrat ko hamari
abbas sa bha hai hifazat ko tumhari
zehra ko magar phir bhi hai moo humne dikhana
hum kaise chale jaye....
ashoor ki shab karte....
aankhon may nazar aati hai bachi ki ghareebi
darti hai ke tanhai na badh jaye padar ki
aa aa ke hamay takti hai hasrat se sakina
hum kaise chale jaye....
ashoor ki shab karte....
jis roz se abaad kiya tumne ye jangal
ek bibi yahan roti hai raaton ko musalsal
lagta hai lehad chor ke khud aayi hai zehra
hum kaise chale jaye....
ashoor ki shab karte....
kya aalam e ghurbat nabizadi pe pada hai
kehne ki nahi baat magar humne suna hai
hai aap ki zainab ko bahot hum pe bharosa
hum kaise chale jaye....
ashoor ki shab karte....
seena ali akbar ka bahot choom rahe ho
jo tumpe guzarti hai wo maloom hai humko
hum log bhi to sahibe aulaad hai aaqa
hum kaise chale jaye....
ashoor ki shab karte....
akbar jo diye qaime may ghazi ne jalaye
tha aisa samaa sheh ke bhi aansoo nikal aaye
talwaar galay par rakhe har shaks tha kehta
hum kaise chale jaye....
ashoor ki shab karte..
Haaye sakina haaye zindaan (x2)
Gham sakina ko mile itne musalmaanon se
Gham sakina ko mile itne musalmaanon se
haye(x2)
Mar gayi par na kabhi(x2)
Haath hate kaanon se... haye
Gham sakina.... (x2)
1) shaam jaate hue naake se giri yun bacchi
(x2)
Mashk Ghazi ki giri jaise kate shaanon se....
haye
Gham sakina (x2)
2) chaunk uthti thi madine me ye kehkar
baano (x2)
Koi aawaz mujhe deta hai veeranon
se.....haye
Gham sakina....(x2)
3) kitni berahmi se zaalim ne utaare wo
gauhar (x2)
Shah beti ko jo pehnaaye the armaanon
se.... haye
Gham sakina..... (x2)
4) Mujhko kurte me hi dafnana Sakina ne
kaha (x2)
Mat kafan mangna aye bhai musalmaanon
se...haye
Gham sakina...(x2)
5) Koi ghaibat me Unhe dekh ke khoon rota
hai (x2)
Rissta rehta hai lahu aaj bhi jin kaanon
se....haye
Gham sakina... (x2)
6) sab chale jaate hai Shabbir ko rokar Akbar
(x2)
Ek Bacchi nhi jaati hai Azakhaanon se....haye
Gham sakina ko mile itne musalmaanon se
haye (x2)
chehlum ke liye bhaiya aayi hai teri zainab.....2
ay mere bhai hussain....2
bhaiya mai aagayi hoo nana ka deen bacha ke....2
jaaungi ab madina......2
chehlum tera manake
bhaiya mai aagayi hoo nana ka deen bacha ke....2
maloom hai ye tumko zainab ujad chuki hai
lekin teri shahadat ghar ghar pahunch gayi hai
shabaash do behan ko...2
bhaiya galay lagake
bhaiya mai aagayi hoo....2
bhaiya tumhari zainab ab wo nahi rahi hai
pehchaan logay mujhko haalat badal gayi hai
chalti hai ye zaeefa...2
bhai kamar jhuka ke
bhaiya mai aagayi hoo....2
sajjad aur baaqir denge gawahi meri
khaye hai taaziyane binte ali ne phir bhi
le aayi shamiyon se.....2
waaris tere bacha ke
bhaiya mai aagayi hoo....2
kaise bataun bhaiya bazaar may jo guzri
kehte sab ke maaro ye hai ali ki beti
baba ke bhi mai badle.....2
sab aayi hoo chuka ke
bhaiya mai aagayi hoo....2
ummat ne tujhpe bhai rone kahan diya hai
jee bhar ke maine tera matam kahan kiya hai
roegi aaj zainab....2
farshe aza bicha ke
bhaiya mai aagayi hoo....2
ghar ja ke kya karoongi pehlu may hi sulaalo
akbar se kehke mujhko turbat ki jaa dilaado
maalik ho tum to bhai.....2
jageer e karbala ke
bhaiya mai aagayi hoo....2
ye kehke ay takallum uthi ali ki beti
abbas ki lehad par pahuncha de mujhko koi
dikhladun ba-wafa ko.....2
rassi ke neel jaake
bhaiya mai aagayi hoo....2
Al Ajal Al Ajal Al Ajal Al Ajal Al Ajal
ay muntakim kab aaoge ay muntazar kab aaoge
yabnal hasan kujaee khuda kuna ke biyoi
yabnal hasan kahan ho
zehra ki andheri turbat pe
kab shamma jalane aaoge
tooti hui qabro ko maula.....2
kis roz banane aaoge
ay muntakim kab aaoge....
zehra ki andheri....
baysheer ki nanhi mayyat ko
turbat se nikaala tha jisne
ya mahdi ya mahdi...
kab uske laashe ko maula.....2
naize pe uthaane aaoge
ay muntakin kab aaoge....
zehra ki andheri....
hai chaar baras ki ek zehra
zindan may sadiyo se qaidi
ya mahdi ya mahdi...
kab baitul huzn se tum usko....2
azaad karane aaoge
ay muntakim kab aaoge....
zehra ki andheri....
dhaya gaya rauza dadi ka
dekha hai ujadta samarra
ya mahdi ya mahdi...
jo daagh milay hai ghaibat may....2
kab unko dikhane aaoge
ay muntakim kab aaoge....
zehra ki andheri....
wo shaam aur koofa ke raste
wo naaqo se girte bache
ya mahdi ya mahdi...
hai kaun kahan par dafn hua.....2
kab naam batane aaoge
ay muntakim kab aaoge....
zehra ki andheri....
masooma e qum aur maula raza
humshakle payambar aur sughra
ya mahdi ya mahdi...
ye bhai behan hai bichde hue....2
kab unko milane aaoge
ay muntakim kab aaoge....
zehra ki andheri....
beton ke janazon par akbar
akbar ke liye jo roti hai
ya mahdi ya mahdi...
kab ujdi hui un maaon ko....2
insaf dillane aaoge
ay muntakim kab aaoge....
zehra ki andheri
jab ahle haram aaye madine may palay kar
sughra se kaha saniye zehra ne lipat kar
acha hua sughra tu mere saath nahi thi
zainab ka tha noha hum lut gaye sughra
acha hua sughra....
1. is baat pe karti hoo ada shukr ka sajda
hum may se kisi ka to salamat raha parda
kis tarha bataun tujhe dil phat ta hai mera
sadaat ki ghairat ka taqaza nahi sughra
bas itna hi kehti hoo rida jab ke chini thi
acha hua sughra....
2. tu poochti hai surkh hai kyun aap ki chadar
aa tujhko bataun mere mazloom ki dukhktar
jab qaime may sheh laaye laashe ali akbar
mai aise giri laash ke pehlu may tadap kar
akbar ke lahoo se ye rida surkh hui thi
acha hua sughra....
3. kis tarha rahi hogi tu is ghar may akeli
ehsaas mujhe hai tere is dard ka beti
lekin tu zaeefa hui furqat may padar ki
tujhko to khabar sirf shahadat ki hai
pahunchi
mai sheh ka gala kat-te hue dekh rahi thi
acha hua sughra....
4. kya bughz hai baba se musalmano ko jaane
phir aaye thay ghar fathema zehra ka jalane
sab aake khade hogaye bekas ke sarhane
us waqt sitamgaron se abid ko bachane
beti phupi amma teri sholo pe chali thi
acha hua sughra....
5. tanhai may le jaake kabhi poochna maa se
kis tarha se guzri teri maa behne wahan se
baatein jahan sab karte hai pathar ki zuban
se
shab ko bhi guzarna bada mushkil hai jahan
se
be-parda din may wahan har ek bibi khadi
thi
acha hua sughra....
6. nana ka madina hai nahi khauf kisi ka
dil khol ke ro kaun tujhe maarega durra
lekin kabhi baba pe jo roti thi sakina
sayli kabhi durra kabhi khati thi tamacha
rone pe bhi masoom ke pabandi lagi thi
acha hua sughra....
7. ay mir takallum wo qayamat thi qayamat
zainab ne sunayi jo sakina ki shahadat
sadaat pe sughra tha ajab aalam e ghurbat
zindan ke andhere may banayi gayi turbat
dam tod ti bachi ne bhi ye baat kahi thi
acha hua sughra....
No comments:
Post a Comment