Sajjad ko har gham bhool gaya
bus sham mein jana yaad raha
Baaghi ka beta sun sunkar
wo patthar khana yaad raha
Kaisi shadi kaisi khushiya'n
sab bhool gaye the zainul ebaa
shabbir ki ghurbat par har pal..(2)
bus ashk bahana yaad raha
Beemar musafir khud apne
paao ke chhale bhool gaya
lekin ummat ka zainab ko..(2)
kaato'n pe chalana yaad raha
Manga tha kaneezi mein jis dum
zalim ne sakina bibi ko
par karb phuphi ka bacchi ko..(2)
pehlu mein chupana yaad raha
Baba ka zamana bhool gaya
dada ka zamana bhool gaya
abid ko faqat maa phupiyo ka..(2)
darbaar mein jaana yaad raha
Khud ne patthar khaye lekin
kuch yaad nahi sab bhool gaya
par muztar bacchi sakina ko..(2)
zalim ka satana yaad raha
Khud zanjeero'n se jakde the
ye ghum na yaad raha lekin
zindaa'n mein apni behna ki..(2)
turbat ka banana yaad raha
Koi ghaybat mei
(Koi ghaibat mei betha khoon keh aansoo bahata hai) x2
1. Usse Zainab ka jaab bazar jana yaad ata hai
(Koi ghaibat mei betha khoon keh aansoo bahata hai) x2
2. (Koi ghamkhar ghaibat mei mayesar hi nahi usko) x2
(So tanhayi mei har nauha) x2 woh khud ko hi sunataa hai
(Koi ghaibat mei betha khoon keh aansoo bahata hai) x2
3. (Unhi galiyon mei chal chal kar jaha chalti rahe Zainab) x2
(Nisha(n) Zainab keh qadmo(n)) x2 keh woh hathoo se mita ta hai
(Koi ghaibat mei betha khoon keh aansoo bahata hai) x2
4. (Baqiyye mei sada e wa hussaina ghunj uthti hai) x2
(Woh jaab bhi qabr e Zahra) x2 aa keh seene se lagata hai
(Koi ghaibat mei betha khoon keh aansoo bahata hai) x2
5. (Nahi thamte hai uski aankh se aansoo kisi soorat) x2
(Usse behsheer ka) x2 jab muskarana yaad ata hai
(Koi ghaibat mei betha khoon keh aansoo bahata hai) x2
6. (Pidar ki god ki khatir sakina jab bhi roti hai) x2
(Woh lori baap ke) x2 lehjey mei beti ko sunata hai
(Koi ghaibat mei betha khoon keh aansoo bahata hai) x2
7. (Khayaal ata hai jab bhi parda e Zainab ka Mehdi ko) x2
(Kabhi talwar par) x2 woh haath rakhta hai hatata hai
(Koi ghaibat mei betha khoon keh aansoo bahata hai) x2
8. (Woh hujjat hai ussi ka kaam hai iss dard ko sehna) x2
(Kisi khaqi keh dil mei) x2 juan yeh gham kaab samata hai
(Koi ghaibat mei betha khoon keh aansoo bahata hai) x2
Ay sham ke logo(n)
(Mei Bint e Ali hoon) x3
(Aey Sham keh logo mei bint e Ali hoon) x3
1. (Mei waris e tatheer hoon) x2
Namoos-e-nabi hoon
(Aey Sham keh logo mei bint e Ali hoon) x2
2. Bazaar se darbar mei leh aye ho muj ko
Chaho tou jala saktiee hoon khutboo se mei tum ko
Sabir ki behan hoon jo mei khamosh khari hoon
(Aey Sham keh logo mei bint e Ali hoon) x2
3. Afsoos kanizi mei usse mang rahey hoo
Tum jis keh ghulamo ki ghulami mei rahey hoo
Yeh zulm na ho ga kabhi mei zinda abhi hoon
(Aey Sham keh logo mei bint e Ali hoon) x2
4. Tum apney payambar ko agar dikhna chahoo
Nazey pe jo yeh sar hai issey ghour se dekhoo
Humshakal e payambar hai yeh mei is ki phupi hoon
(Aey Sham keh logo mei bint e Ali hoon) x2
5. Aur iss se kathan waqt kya hoo gaa mere mabood
Fiza keh taraf dar hai darbar mei majood
Mei pusht pe fiza keh khari dekh rahe hoon
(Aey Sham keh logo mei bint e Ali hoon) x2
6. Zehra ko bhi darbar mei tum neh tha bulaya
Darbar may mei bhi hoo magar farq hai itnaa
Pardey mei thi woh aur mei be parda kari hoon
(Aey Sham keh logo mei bint e Ali hoon) x2
7. Zanjeero mei jakra jo yeh beimaar khraa hai
Sajda isey kaabey ki faseelo neh kiya hai
Mansab mei bara woh hai mei rishtey mei bari hoon
(Aey Sham keh logo mei bint e Ali hoon) x2
8. Zinda tha tou dar dar keh hameshaa he larey hoo
Ab sar hai tou honto pe chari mar rahey hoo
Tum kitney bahaddur ho mei yeh dikh rahi hoon
(Aey Sham keh logo mei bint e Ali hoon) x2
9. Honeh lagi darbar mei mushtarka azanein
Rehan idhar naam e nabi gunja fizza mei
(Bibi neh kaha fakhr se) x2 (mei jeet gayi hoon) x 3Ameer bhi hai ghareeb bhi hai
Ameer hussain
Ghareeb hussain
(Ameer bhi hai ghareeb bhi hai) x2
Hussain mehboob e kibriya hai
Hussain ghurbat ki inteha
hai
Ameer bhi hai ghareeb bhi
hai
(Hussain maqsood e karbala hai)
x2
Hussain mazloom e karbala
hai
(Ameer bhi hai
ghareeb bhi hai) x2
Hussain mehboob e gibriya hai
Hussain ghurbat ki inteha
hai
Ameer bhi hai ghareeb bhi
hai
1. (Ameer aisa kafan ki soghat jis keh rozey se bat rahe hai) x2
Ghareeb aisa keh khud ko ab tak kafan mayesar nahi huwa hai
Ameer bhi hai ghareeb bhi hai
Hussain Ghareeb Hussain
2. (Ameer aisa keh jis ka jhula Nabi jhoolayein Ali jhoolayein) x2
Ghareeb aisa keh jis keh bachey ka ban mei jhula bhi jal gaya hai
Ameer bhi hai ghareeb bhi hai
Hussain Ghareeb Hussain
3. (Ameer aisa keh rasm-e-parda dari chali hai ussi keh ghar se) x2
Ghareeb aisa keh sham o kufa mei us ki hamsheer berida hai
Ameer bhi hai ghareeb bhi hai
Hussain Ghareeb Hussain
4. (Ameer aisa Sakina jaisi khuda neh beti jisey ata ki) x2
Ghareeb aisa ussi keh moo par koi tamachey laga raha hai
Ameer bhi hai ghareeb bhi hai
Hussain Ghareeb Hussain
5. (Ameer aisa keh jis ki baba ki milkiyyat mei hai hawze kausar) x2
Ghareeb aisa keh teen din se ussi ko pani nahi mila hai
Ameer bhi hai ghareeb bhi hai
Hussain Ghareeb Hussain
6. (Ameer aisa ke jiska beta, shabih-e-sardaar-e-ambhiya hai) x2
Ghareeb aisa ke wohi seene mei barchi khaaye tarap raha hai
Ameer bhi hai ghareeb bhi hai
Hussain Ghareeb Hussain
7. (Ameer aisa khuda ka dee(n) jis keh dam se hai aj tak salamat) x2
Ghareeb aisa keh ran mei jis ka badan salamat nahi raha hai
Ameer bhi hai ghareeb bhi hai
Hussain Ghareeb Hussain
8. (Ameer aisa keh patharo ko bana deh gohar wohi takallum) x2
Ghareeb aisa keh patharo mei ussi ka lasha chupa huwa hai
(Ameer bhi hai
ghareeb bhi hai) x2
Hussain mehboob e gibriya hai
Hussain ghurbat ki inteha
hai
Ameer bhi hai ghareeb bhi
hai
Ameer, Hussain
Ghareeb, HussainAkbar ne kaha rokar
Shabih e imam e zama(n) khechte hain
Tasawwur mei tasweer e jaan khechte hain
Shabih e imam e, Kaha roo keh Akbar neh aiy dard tham jaa
Ke seene se baba sinaa khechte hain
Shabih e imam e
(Akbar neh kaha roo kar aiy dard zara tham jaa, Baba mere seene se sinaa khech rahey hain) x2
1. (Aiy behtey lahu rukjaa) x2 hai wasta sughra ka
Baba mere seene se sinaa khech rahey hain
Akbar neh kaha roo kar aiy dard zara tham jaa
Baba mere seene se sinaa khech rahey hain
2. Patee mere baba neh ankho(n) pe nahi bandhi
Di hai khuley aankho(n) se ran mei meri qurbani
Ai dada khaleel awo hai waqt qayamat ka
Baba mere seene se sinaa khech rahey hain
Akbar neh kaha roo kar aiy dard zara tham jaa
Baba mere seene se sinaa khech rahey hain
3. Yasrab ki taraf ankhey har dam meri rehti hai
Ab waqt bohat kam hai sansei(n) bhi ulajti hain
Qasid meri sughra ke jaldi se zara aajaa
Baba mere seene se sinaa khech rahey hain
Akbar neh kaha roo kar aiy dard zara tham jaa
Baba mere seene se sinaa khech rahey hain
4. Akbar ki guzarish hai lillaha na rad karna
Jab aap ka shewa hai duniya ki madad karna
Baba ki madad karney aajayie ay dada
Baba mere seene se sinaa khech rahey hain
Akbar neh kaha roo kar aiy dard zara tham jaa
Baba mere seene se sinaa khech rahey hain
5. Dekha nahi jaayegaa aankho(n) se kabhi meri
Tarpuga agar mei to taklif unhe hogi
Ulfat ka takaza hai larzey na badan mera
Baba mere seene se sinaa khech rahey hain
Akbar neh kaha roo kar aiy dard zara tham jaa
Baba mere seene se sinaa khech rahey hain
6. Armaan jo dil mei hai dil mei hi na dafna deh
Aisa na ho Zainab ko jaa kar koi batladeh
Pyari phupi amaa(n) se bardaasht na yeh hoo gaa
Baba mere seene se sinaa khech rahey hain
Akbar neh kaha roo kar aiy dard zara tham jaa
Baba mere seene se sinaa khech rahey hain
7. Marney ka nahi hai gham gham hai tou bus itnaa hai
Darwzey pe muddat se bethi huwi sughra hai
Sun kar ye khabar shayad mar jaayegi woh dukhiyaa
Baba mere seene se sinaa khech rahey hain
Akbar neh kaha roo kar aiy dard zara tham jaa
Baba mere seene se sinaa khech rahey hain
8. Kehta tha takkllum woh himmat jo meri hoti
Khud apney hi hathoo se mei khechta yeh barchi
Taklif nahi apni hai dard mujhay iss ka
Baba mere seene se sinaa khech rahey hain
Akbar neh kaha roo kar aiy dard zara tham jaa
Baba mere seene se sinaa khech rahey hain
No comments:
Post a Comment