Monday, 17 February 2025

Hassan Sadiq (1996)

(Ya hussain) x4
(Beemar kee aakei hai) x2 akbar teree raho par
(Beemar kee aakei hai akbar teree raho par) x2
(Beemar kee aakei hai akbar teree raho par) x2 Deewarey bhee rotee hai sughra kee karaho par
(Beemar kee aakei hai akbar teree raho par) x2

(Sughra ney kaha mujko eik baar jo mil jaaey) x2 Sar apna mai rak-doongee bhaiya tere paa-o par
(Beemar kee aakei hai akbar teree raho par) x2

(Kyu bhool gaye bhaiya sughra kee khata kya hai) x2 Aawaaz nahi deitey kyew mairee sada-o par
(Beemar kee aakei hai akbar teree raho par) x2

(Vo kud-hee samajley gee hai maara gaya bhayi) x2 Deikhengi nisha jis dam zainab tere baho par
(Beemar kee aakei hai akbar teree raho par) x2

(Deika key lahoo mai hai dooba huwa sab kunba) x2 Kya khwaab ootar aya sughra kee niga-ho par
(Beemar kee aakei hai akbar teree raho par) x2

(Pyasey rahey jab akbar barsee na gata ko-ee) x2 Afsos karey duniya ab aisee gata-o par
(Beemar kee aakei hai akbar teree raho par) x2

(Hai dhoop mai jis din sey laash ali akbar ka) x2 Ma ashk girati hai har pair kee chawo par
(Beemar kee aakei hai akbar teree raho par) x2

(Ya hussain) x4
(Suratey shairey khuda, jaao hasham kiska hai) x3
(Labey daria zara dekho) x2 ye alam kiska hai
(Suratey shairey khuda, jaao hasham kiska hai) x2

(Alqama mitt nahee sakta terey seenay se kabhi) x2 Tujko maaloom nahee nakshe qadam kiska hai, (Labey daria zara dekho) x2 ye alam kiska hai
(Suratey shairey khuda, jaao hasham kiska hai) x2
(Lik raha hai jo qalam hokey wafaoo kee kitab) x2 Karbala deikh to ye haath qalam kiska hai (Labey daria zara dekho) x2 ye alam kiska hai
(Suratey shairey khuda, jaao hasham kiska hai) x2
(Jab kulay baab-e hawa-ij ke muwaanee muj par) x2 Tab me samja hoo ke muj par ye karam kiska hai (Labey daria zara dekho) x2 ye alam kiska hai
(Suratey shairey khuda, jaao hasham kiska hai) x2
(Koi bhee jhoot qasam jiskee nahi kaa sakta) x2 Mere ghazi ke ilawa ye barham kiska hai (Labey daria zara dekho) x2 ye alam kiska hai
(Suratey shairey khuda, jaao hasham kiska hai) x2
(Nehr par laashaey abbas tarrap-ta kyu hai) x2 Naam hotto pay sakina labey dam kiska hai (Labey daria zara dekho) x2 ye alam kiska hai
(Suratey shairey khuda, jaao hasham kiska hai) x2
(Vo farishtey ho key insaan sabhee shamil hai) x2 Aisa duniya mai batawo zarra gham kiska hai (Labey daria zara dekho) x2 ye alam kiska hai
(Suratey shairey khuda, jaao hasham kiska hai) x2
(Labey daria zara dekho) x2 ye alam kiska hai
(Suratey shairey khuda, jaao hasham kiska hai) x2

Ya Hussain..(4)
Mai jhula jhulaoon, mai tujhe jhula jhulaoon
Tujhe jhula jhulaoon, mai tujhe jhula jhulaoon

Mai khwaab me asghar tujhe..(2)
Lori bhi sunaoo,
Tujhe jhula jhulaoon, mai tujhe jhula jhulaoon..(2)

1) Laut aao safar se ke badi der hui hai..(2)
betaab hu kabse tujhe..(2)
seene se lagaoo
Tujhe jhula jhulaoon, mai tujhe jhula jhulaoon..(2)

2) Koi mujhe batlata nahi teri nishani..(2)
Barsaat me teero ki..(2)
Kaha dhundhne jaoo
Tujhe jhula jhulaoon, mai tujhe jhula jhulaoon..(2)

3) Socha tha teri saalgira ghar me karungi..(2)
Taqdeer ye kehti hai..(2)
Tera sog manaoo
Tujhe jhula jhulaoon, mai tujhe jhula jhulaoon..(2)

4) Baba se tere tera janaza na uthega..(2)
Rukja zara abbas ko..(2)
Darya se bulaoo
Tujhe jhula jhulaoon, mai tujhe jhula jhulaoon..(2)

5) Ye khoon bhara kurta ye matti me bhare baal..(2)
Seene me chupau ke..(2)
Mai aankho se lagaoo
Tujhe jhula jhulaoon, mai tujhe jhula jhulaoon..(2)

6) Is tarha koi rooth ke maa se nahi jaata..(2)
Tu khud hi bata de mai..(2)
tujhe kaise manaoo
Tujhe jhula jhulaoon, mai tujhe jhula jhulaoon..(2)

7) Rehan ke nauhe pe sada bano ki aai..(2)
Mai aankho se ashko ke..(2)
Samandar ko bahaoo
Tujhe jhula jhulaoon, mai tujhe jhula jhulaoon..(2)

Mai khwaab me asghar tujhe..(2)
Lori bhi sunaoo,
Tujhe jhula jhulaoon, mai tujhe jhula jhulaoon..(4)

Ya Rab Na Sahar Ho x2

1 Piyason kai liyai Maut ka paighaam Sahar hai
Chal jayai ga Shabbir ki gardan pai bhi Khanjer
Ya Rab Na Sahar Ho x2

2 Is raat chamaktai hain falak per jo sitarai
Lut jayai ga aik roz main Zahra ka bhara ghar
Ya Rab Na Sahar Ho x2

3 Abbas kai shaanai bhi kalam hon gai labai naher
Chin jaayi gi kal Zainab-o-Kulssom ki chadar
Ya Rab Na Sahar Ho x2

4 Jo seenai pai Shabbir kai soti hai Sakeena
Dhundai gi na mil jayai gi lut jayain gain gohar
Ya Rab Na Sahar Ho x2

5 Beemar ka bister bhi adu kainchain gai aaker
Pehnayain gai beemar ko woh aahain nilangar
Ya Rab Na Sahar Ho x2

6 Yeh raat agar dhal gayi sooraj nikal aya
Mur jhayai ga perdais main Zahra ka gulistar

No comments:

Post a Comment