Haaye
Qafela dasht e bala se jo sue shaam chala
laash e abbas e alamdar pe zainab ne kaha
abbas, abbas
Chin gai sar se rida, koi baaqi na raha
abbas tere jane ke baad..(5)
1. Tane deta hai mujhe dekh ke yu shimr laee
teri awaaz pe abbas tera aata nahi
ban gai farshe azaa tere liye ab ye zamee
shaam jana hi pada, ye sitam tujh pe hua
abbas tere jane ke baad..(3)
2. Roke kulsoom teri yaad me karti hai buka
teri haibat se kabhi soye nahi ehle jafa
kaisi badli ye tere baad zamane ki hawa
khush hue ehle sitam, so nahi paaye jo hum
abbas tere jane ke baad..(3)
3. Raah me aale payambar ka dilasa mai bani
shaam ke log tamashai tamasha mai bani
zakhm sadaat ne paye to maseeha mai bani
mai hi salaar bani mai alamdaar bani
abbas tere jane ke baad..(3)
4. Haaye darbar me aulad e nabi aa pohchi
aur sakina ko kanizi me bulata hai shaki
kisse faryad karu tu hi bata mere akhi
aur kya hoga sitam kitne lachaar hai hum
abbas tere jane ke baad..(3)
5. Naam lekar jo sitamgar ne bulaya mujhko
amma fizza ne pase pusht chupaya mujhko
yu bhi pardes me ada ne sataya mujhko
aise aalam me bhala, kisko deti mai sada
abbas tere jane ke baad..(3)
6. Hind zindaan me aai to ye kohraam utha
meri barbadi ka jab hind ne ehwaal suna
apna sar peet ke wo karne lagi wa waila
dekh kaisa hai sitam, qaid hai ehle haram
abbas tere jane ke baad..(3)
7. Tauqo zanjeer se sajjad jo azaad hue
qabr pe bali sakina ke gaye rote hue
rukh sue karbobala karke yahi bain kiye
seh nahi payi sitam, dukhtare shahe umam
abbas tere jane ke baad..(3)
8. Shaam se mazhar o farhan rihai jo mili
aaye maqtal me salami ke liye sab qaidi
ghutniyo chalte hue bhai ke marqad pe gai
the ye zainab ke sukhan, mar gai kyu na bahen
abbas tere jane ke baad..(3)
Aye shehre madina..(3)
jangal mein bhare ghar ko luta aayi hai zainab
Aye shehre madina...
Abid ko kisi tarha bacha layi hai zainab
Aye shehre madina...
jangal mein bhare ghar ko....
1. Na qasim o akbar rahe bhai bhi sidhare
sab hi gaye maare..(2)
begor unhe dasht mein chhod aayi hai zainab
Aye shehre madina...
2. Haye wo shaame ghareeba ho ya ho shaam ka bazaar
aabid rahe lachaar..(2)
sab zakhm isi qalb mein bhar laayi hai zainab
Aye shehre madina...
3. Kya kya na sitam raah mein sadaat ne jhela
mai tujhse kahu kya..(2)
baaghi ki bahan shaam mein kehlayi hai zainab
Aye shehre madina...
4. Parda jo sikhati rahi wo bibi khule sar
phirti rahi dar dar..(2)
bazaaro mein darbaaro mein ho aayi hai zainab
Aye shehre madina...
5. Aaja tu kanizi mein meri bola sitamgar
aye shaah ki dukhtar..(2)
ye lamha wahi tha jahan ghabrai hai zainab
Aye shehre madina...
6. Zindaa'n mein kahin kho gaya bhai ka nageena
masoom sakina..(2)
do baaliya zindaan se le aayi hai zainab
Aye shehre madina...
7. Zindaa'n se reha hoke bhi baaqi hai aseeri
maatam kare tu bhi..(2)
rassi ke nishaa'n isliye le aayi hai zainab
Aye shehre madina...
8. Ye zakhm mere qalb ka jeene nahi dega
hai zulm hi aisa..(2)
shabbir sare dasht hai ghar aayi hai zainab
Aye shehre madina...
9. Puchegi yehi fatima sughra abhi mujhse
akbar nahi aaye..(2)
dukhiya ke sawaalo se hi ghabrai hai zainab
Aye shehre madina...
jangal mein bhare ghar ko luta aayi hai zainab
Aye shehre madina...(3)
Tanhaiyaa'n, sargoshiyaa'n..(2)
Haan sakina ki hai ye fughaa'n..(2)
Meri gardan mein bandhi gayi rassiya'n
Mere kaano se nochi gayi baliya'n
Khoon behta raha... Haa
Dard behta raha... Haa
Taziyane la'eeno ke aur wo jafa
Bhool payi sakina kaha'n..(3)
Mujhko kaan'to pe paidal chalaya gaya
Baap ka sar dikha kar rulaya gaya
Tga wo kaisa safar.. Haa
Bibiya'n nange sarr... Haa
Ek ek zakhm se khoon behta raha
Bhool payi sakina kaha'n..(3)
Mai jo royi to mujhko tamache lage
Thak ke soyi to abid ko durre lage
Beech bazaar mein.. haa
Shehre aghyaar mein.. haa
Haye sadaat ka jo tamasha bana
Bhool payi sakina kaha'n..(3)
Bola darbaar mein aake yu ek shaqi
Tu kanizi mein jaa hakime waqt ki
Kaisa lamha tha wo.. haa
Kaisa sadma tha wo.. haa
Roke us dum pukari mai haaye chacha
Bhool payi sakina kaha'n..(3)
Mere baba ka sar tasht mein tha rakha
Usse gustakhiya'n karte the ashkiya'n
Koi haami na tha.. haa
Kisko deti sadaa.. haa
Ek ghayyur bete ko ghaiz aa gaya
Bhool payi sakina kaha'n..(3)
Raah mein paani aata mayassar agar
Daal deti thi abid ki zanjeer par
Har qadam ek jafa.. haa
Rona bhi jurm tha.. haa
Darmiya'n shamiyo ke thi aale abaa
Bhool payi sakina kaha'n..(3)
Pucha hakim ne darbaar mein shimr se
In aseero mein bint e ali kaun hai
Ro rahi thi phuphi.. haa
Thi wo kaisi ghadi.. haa
Naam phuphiyo ka leta tha wo be haya
Bhool payi sakina kaha'n..(3)
Dil pe patthar rakha aur jeeti rahi
Taziyane laeeno ke sehti rahi
Dushmano ka watan.. haa
Mai aseere mahan.. haa
Jis jagah ek lamha tha ek saal sa
Bhool payi sakina kaha'n..(3)
Kamsini aur aseeri wo zindaan ki
Jis jagah maut bhi aake rone lagi
Yaad nashtar bane.. haa
Khaak bistar bane.. haa
Phir ye zindaan meri lahad ban gaya
Bhool payi sakina kaha'n..(3)
Ek paigham hai zaero'n ko yehi
Shab ko bibi ke roze pe jao kabhi
Ro rahi hai waha'n
Ab bhi tanhaiyaa'n
Sunke aaye hai farhan o mazhar sadaa
Bhool payi sakina kaha'n..(3)
Allah x4
Hai nayi subho ka aaghaz, allaho akbar
Aye zindagi jalaal-e-shahe-mashraqein de,
Iss taaza karbala ko bhi azm-e-Hussain de,
Allah re inteshaar ke zakhmi alam badosh,
Hairaan hai aql-O-zehen pareshaan hai lab khamosh,
Doobe hue hai gham ke samandar mein ahle hosh,
Fitna fasad aisa hua hai yahan ke bass,
Aman-O-Amaa'n ki aisi udi dhajjiyaa'n ke bass,
Naaro'n se inteqaam ke dil dehelne laga,
Talwaar chup hui toh lahoo bolne laga,
Inqelaab Inqelaab Inqelaab
Ek Inqelaab chaiye ek Inqelaab
1.
Ab arsh-O-zameen ke 14 tabaq matam ke sada se hil jaaye,
Har ghar se imaarat se har soo, abbas ka parcham lehraaye,
Yeh khwaab haqiqat paaega, phir baccha baccha bolega
ALI HAQ ALI HAQ ALI HAQ ALI HAQ,
Tafseer aqide ki hai yehi, taameer aqide ki hai yehi,
Abbas ka parcham haathon mein aur sabko labo'n par ek naara,
Inqelaab Inqelaab Inqelaab
Ek Inqelaab chaiye ek Inqelaab
2.
Talwaaron ki dhaaron ko modo, rukh modh do inn toofano ka,
Haq baat kahenge suli par, yeh azm ho nauhakhwaaron ka,
jazbon ko zara toofan karo, meesum ki tarah elaan karo,
ALI HAQ ALI HAQ ALI HAQ ALI HAQ,
Khanjar ki kaat ho lafzon mein, lehje mein kadak ho bijli ki,
haalat taqaaza karte hai, ab gunje fiza mein ek sada,
Inqelaab Inqelaab Inqelaab
Ek Inqelaab chaiye ek Inqelaab
3.
Hum middhe Ali mein daarr pe bhi, lafzon ko ravaani dete hai,
Katti hai zabaan kat jaaye magar paighaam zabaani dete hai,
ALI HAQ ALI HAQ ALI HAQ ALI HAQ,
Shahid hai aadaye meesum mein, hum hai woh Ali ke diwaane,
Jis pedh pe phaansi lagni ho, uss pedh ko paani dete hai,
ALI HAQ ALI HAQ ALI HAQ ALI HAQ,
4.
yeh zabaan kaat do,
jism-o-jaan kaat do,
Midhat-e-Murtuza ki saza do mujhe,
Zikr-e-Shaahe Najaf se rukunga nahi,
chaahe sau(100) baar sooli chadha do mujhe,
tukde tukde karo mera saara badan,
aag roshan karo aur jala do mujhe,
Jab mere jism ki raakh ban jaaye toh,
leke haathon mein apne udaa do mujhe,
ek do din nahi subhe mehsar talak,
jab jahan jis taraf woh hawa jaegi,
Haq Ali Yaa Ali ki sada aaegi
ALI HAQ ALI HAQ ALI HAQ ALI HAQ,
5.
Gaur se sunle ahle jahan, zikre Haider na ruk paaega,
Sheh ki majlis na ruk paaegi, Sheh ka matam na ruk paaega,
Tum zulm ki hadd ko paar karo, hum sabr ka daman thamte hai,
tum laakh mazaalim humpe karo, hum khoon bahaana jaante hai,
tum aao humko qatl karo, hum apni shahdat maagte hai,
hai jaan humari nazr-e-Ali, yeh jaan toh humko deni hai,
tum kitne hussaini maaroge, yeh saari qaum hussaini hai,
YA HUSSAIN YA HUSSAIN YA HUSSAIN YA HUSSAIN
6.
Virsa hai shahadat toh apne ghar jalna humara virsa hai,
jo maut se aankh milaata hai, bas wohi hi hussain hota hai,
mazloom ke matam daar bano, haq baat ka yu'n parchaar karo,
ALI HAQ ALI HAQ ALI HAQ ALI HAQ,
Halmin ki sada zehno mei rahe, matam ki sada labbaik kahe,
Har daur ka marhab ka kaamp uthe, aye azm-e-hussaini jaag zara,
Inqelaab Inqelaab Inqelaab
Ek Inqelaab chaiye ek Inqelaab
7.
Yaa Hussain Yaa Hussain
Aashoor ka jab suraj dekho, khud apni maa se jaake kaho,
pehnaao kafan marne ke liye, aye maa mujhko tayyar karo,
tayyar hu main akbar ki tarha, tum azm dikhaao zainab ka,
main qasim se badhkar toh nahi, naa husn mein hu akbar ki tarah,
Na auno mohd jaisa haseen, na beta tera asghar ki tarah,
seh roz ka main pyaasa toh nahi, majboor nhi tanha toh nahi
a'Gar laut ke main ghar naa aau, tum zabt mera gham kar lena,
Ashkon ko hi marham kar lena, shabbir ka matam kar lena,
Farhan aur Mazhar ki hai dua, yeh farshe azaa aabad rahe,
paighaam-e-Hussaini dete hai, har waqt labon par ho yeh sada,
YA HUSSAIN YA HUSSAIN YA HUSSAIN YA HUSSAIN
zainabjo ghazi yaadaaya
hathon se yaphirbalon se chehrekochupaleshehzadi
ye sham shehrkigaliyanhaidilthaam le ay aaqazadi
fizza ne jab ye batlaya, zainabjo ghazi yaadaaya
junjun bazaar....
Maholsharabi jab dekha baba kiwasiyatyaadaayi
koi to mujhechadarlaa de hontonpeyehifaryadaayi
jab koi nahichadarlaaya, zainabjo ghazi yaadaaya
junjun bazaar....
Phir sham ke logon ne badlaajdadkayunzainab se liya
chadarcheenipatharmaareaurgarmkabhipaniphaynka
durra josakina ne khaya, zainabjo ghazi yaadaaya
junjun bazaar....
Abbas kahanhai ay zainab jab shimrhikharat se bola
ghashkahanlagay sab ahle haram kulsoompukariwavaila
sajjadkoyasrabyaadaaya, zainabjo ghazi yaadaaya
junjun bazaar....
Khamoshrahiaulad e nabikarbal se yahantakzulmsaha
khooni ye manadikehnelaga ye kunbahaiekbaaghika
mazloomjobaaghikehlaya, zainabjo ghazi yaadaaya
junjun bazaar....
Hargaamnayaekzulmhualachaarmusafirzainab par
zainabkorulaayazaalimnenaaqonkekareebnaizalaakar
shabbirkasarjodikhlaya, zainabjo ghazi yaadaaya
junjun bazaar....
Farhanqayamatkaghamhaimazharnelikhahaikyanauha
shabbirbinaabbasbina ye pehlasafarthazainabka
junjun bazaar....
Husain....(3)
Mera ghar jalaya lutya ridawa rowake zainab kis paas jawa...(2)
Aabid bachawa ya ag bujhawa....(2)
Rowake zainab kis paas jawa
Mera ghar jalaya lutya ridawa rowake zainab kis paas jawa...(2)
Yusuf te sone mere veer maare,Mai shaam chaliya be kafan saare....(2)
Qabra banawa ya rasiya paawaa...(2)
rowake zainab kis paas jawa
Mera ghar jalaya lutya ridawa rowake zainab kis paas jawa...(2)
Mai dee'n bachawad wich shaam ayi, sab log wekhad meri beridai...(2)
Khudbe sunawa ya mu lukawa...(2)
rowake zainab kis paas jawa.
Mera ghar jalaya lutya ridawa rowake zainab kis paas jawa...(2)
Zaine che qasim di laash aai, chum chum ke tukde kar zehra jaai...(2)
Pudse rilawa ya saf bichawa...(2)
rowake zainab kis paas jawa.
Mera ghar jalaya lutya ridawa rowake zainab kis paas jawa...(2)
Jis veer de lai chadya madina, jine qatl hoya bhulna kadhi na...(2)
onhu kafn paawa ya shaam jawaa(2)
rowake zainab kis paas jawa.
Mera ghar jalaya lutya ridawa rowake zainab kis paas jawa...(2)
Veera de qatil khaime che aagaye, ai hasan zainab aabid nu aakar(2)
Hud jal mai jaawa ya baher aawa...(2)
rowake zainab kis paas jawa.
Mera ghar jalaya lutya ridawa rowake zainab kis paas jawa...(2)
Ya husain ya husain ya husain
Husain....(3)
Kitna ghareeb hogaya hussain...
Asghar ko dafn kar chuka jab fatema ka laal
tanhai apni dekh kar kehta tha pur malaal
amma.....
nau laakh ka raila amma mai akela
kitna ghareeb hogaya hussain
1. beenayi ja chuki hai jigar paash paash hai
is haal may bhi laashe pisar ki talaash hai..(2)
akbar ka hai laasha.. amma mai akela
kitna ghareeb...
2. Amma ye aafate ye masaib ye tashnagi
ghurbat may saath chor gaye hai mera sabhi..(2)
zakhmo ki ye dunya.. amma mai akela
kitna ghareeb...
3. Na fauj reh gayi na alamdar reh gaya
bas reh gaya to tera dilafgaar reh gaya..(2)
hai zulm ka sehra.. amma mai akela
kitna ghareeb...
4. Waade sabhi nibha ke hua aise surkh roo
balo'n may khaak chehre pe baysheer ka lahoo..(2)
haatho'n pe janaza.. amma mai akela
kitna ghareeb...
5. Daulat rabab ki sare maqtal chupayi hai
apne zaeef haatho se turbat banayi hai..(2)
karta raha noha.. amma mai akela
kitna ghareeb...
6. Bachpan may kitne naaz uthaye hai yaad hai
ek pal bhi khud se door na karti thi tu mujhe..(2)
ye waqt hai kaisa.. amma mai akela
kitna ghareeb...
7. Awaaz e isteghasa sunay kaun ab yahan
abbas hai na qasim o akbar na bezabaa'n..(2)
ab kaun hai mera.. amma mai akela
kitna ghareeb...
8. Jis phool se badan pe kabhi dhoop na padhi
teero'n ne chaan daala hai amma badan wohi..(2)
marham na dilasa.. amma mai akela
kitna ghareeb...
9. Ek daur tha ke ghar se agar mai kahin gaya
saaye ki tarha saath may rehte the aqraba..(2)
ek ye hai zamana.. amma mai akela
kitna ghareeb...
10. Ye barchiyo ki naizo ki dunya hai aur mai
tanhai fauje shaam ka nargha hai aur mai..(2)
de mujhko dilaasa.. amma mai akela
kitna ghareeb...
11. Zakhmo se choor choor badan qalb aur jigar
faryaad hai labo'n pe qaba hai lahoo may tar..(2)
chalni hai kaleja.. amma mai akela
kitna ghareeb...
12. 'Farhan' us ghareeb ki lachaar ki buka
ha 'mazhar abidi' ka qalam likh nahi saka..(2)
hai bas ye khulasa.. amma mai akela
kitna ghareeb...
Farsh-e-Majliss Pei Kisski Zabaan Qayd Hai (x2)
Har Zaban Zikr-e-Maula Hussain Karey (x2)
Sari Duniya Hussain Hussain Karey (x3)
Har Wali'a Azadaar Ibn-e-Ali (x2)
Shams Nurani Lalan'r Bhitai Bari (x2)
Shahi Har Sheh Tera Maula Shabbir Ji (x2)
Har Zaban Zikr-e-Maula Hussain Karey (x2)
Sari Duniya Hussain Hussain Karey (x3)
Jo Bhi Eh Matami Maula Shabbir Da (x2)
Jidey Sawanch Wasdi-e-Karbobala (x2)
Odi Bakhshish Di Zamin E Khun Seyyada (x2)
Har Zaban Zikr-e-Maula Hussain Karey (x2)
Sari Duniya Hussain Hussain Karey (x3)
Da Hussain Morh Mota Dua Da Ghadein (x2)
Momina Nu Da Par'a Shifa Da Ghadein (x2)
Ar Nassal Ar Mazhab Bar Sila Da Ghadein (x2)
Har Zaban Zikr-e-Maula Hussain Karey (x2)
Sari Duniya Hussain Hussain Karey (x3)
Dar Hama Alam-e-Shohra-e-Ya Hussain (x2)
Ku-ba-ku, Su-ba-su Jalwa-e-Ya Hussain (x2)
Har Dilam Har Balab Nara-e-Ya Hussain (x2)
Har Zaban Zikr-e-Maula Hussain Karey (x2)
Sari Duniya Hussain Hussain Karey (x3)
Assalam-o-Alayk Yabn-az-Zahra Hussain (x2)
Aal-e-Yassin-o-Aal-e-Abaa Ya Hussain (x2)
Bi Abi Anta Wa ummi Maula Hussain (x2)
Har Zaban Zikr-e-Maula Hussain Karey (x2)
Sari Duniya Hussain Hussain Karey (x3)
Sheh Pei Wishwass Hai Sar-e-Sansaar Ko (x2)
Koyi Bhi Dharm Ho Koyi Parchaar Ho (x2)
Sarey Purab Ki Panchim Ki Jinta Suno (x2)
Har Zaban Zikr-e-Maula Hussain Karey (x2)
Sari Duniya Hussain Hussain Karey (x3)
Sabr Ni Jeet Chey Zulm ni Haar Che (x2)
Haq Ni Mathey Shahdat Par tayyar Che (x2)
Dhar-e-Insaniyat Nu Aa Parchaar Che (x2)
Har Zaban Zikr-e-Maula Hussain Karey (x2)
Sari Duniya Hussain Hussain Karey (x3)
The reason of Life Is Hussain Hussain (x2)
The voice in every heart is Hussain Hussain (x2)
Every moment everywhere is Hussain Hussain (x2)
Har Zaban Zikr-e-Maula Hussain Karey (x2)
Sari Duniya Hussain Hussain Karey (x3)
Hussain est de moi et je suis de Hussain (x2)
A déclaré Mohammad, sur notre Hussain (x2)
Le Roi de tous le Paradis est Hussain (x2)
Har Zaban Zikr-e-Maula Hussain Karey (x2)
Sari Duniya Hussain Hussain Karey (x3)
Hussain Ka Okoa Ulimwengu (x2)
Hussain Ka Okoa Ubinadamu (x2)
Kumpenda Hussain Ni Wajibu (x2)
Har Zaban Zikr-e-Maula Hussain Karey (x2)
Sari Duniya Hussain Hussain Karey (x3)
Waqt Jab Bhi Parha Deen-e-Islam Par (x2)
Kaam Aya Hai Bass Fatema Ka Hi Ghar (x2)
Is Liye Inka Maqruz Hai Har Bashar (x2)
Har Zaban Zikr-e-Maula Hussain Karey (x2)
Sari Duniya Hussain Hussain Karey (x4)
Haaye... Maqtal se aaya lashae qasim... Bhai Hassan ki yaad satane lagi
Zainab Ne Roke Lashae Qasim pe ki buka
Wa Hassan Sabz kaba Bekhata Qasima..(3)
1) Kal Tera Jigar Tukdon me Bata tha Aaj tera qasim TUKDON me bat gaya
wa Hassan sabz kaba....
2)Duniya Ne Tujh ko chain se Rehne nahi dia
Tujhko zeher diya ye sitam khtm na hua
ye zulm chalte chalte Qasim tak agaya
3) Ummat ne tere saath bada zulm ye kiya
Tukde hua kaleja tera wa musibata
maqtal me tera qasim Tukdon me batgaya
4) Tha chand fatema ka sitam ki ghataon me
gharse chala janaza to tiron ki chaon me
qasim ka lasha dhup me pamaal hogaya
5) Tujhpar salaam ay mere mazlum tar Aqi
Qasim ki tarbiyyat me kami koi na rakhi
Akbar se pehle shaah pe Qurbaan hogaya
6)Lekin Tujhe Kafan to moyassar tha bhai ka
Qasim to bekafan hi gaya chodkar jahan
kyon kar na mere labpe har dam ho ye buka
7) Iske wega Hussain se Jab Mil Nahi Saka
Taweez Tera Sath me Laya wo mehlaka
Dil tod kar Hussain ne be sakhta Kaha
8) Paiwand The jitne teer the tabut me tere
otne hi Zakhm Qasime dil geer ko lage
farwah ke labpe aya is gham se marsiya
Wa hassan sabz kaba bekhata qasima..3
No comments:
Post a Comment