Sunday, 16 February 2025

Nadeem Sarwar (1990)

Watan mei ehle haram ka jo kafela pahocha
Basheer karta tha sar apna peet ke nauha
Madine walo nabi ka ujad gaya kunba
Fakat hai mardo mei baki janabe zainul aba

Nabi ke roze pe woh sabse pehle jayege
Vahi pe hale safar apna woh sunayenge

Madine walo ne jis dum suni yeh gum ki khabar
Bukao sina zani se bapa hua mehshaar
Asa sambhale huey ek bibi peeti thi sar
Nabi ke roze pe jaati thi kehti hai padar

Arey Karib naqoke pohchi jo fatema sughra
To usne nalao sewan mei apna naam suna

Aye fatema sughra ghar lut gaya beta..(2)

Kya dhondti hai haal pareshan dulari
Baba ki tere aaiyi nahi firqe sawari
Bhayya ali akbar bhi tera aya na pyaari
Sau bar phuphi ho tei muzloomi pe wari
Mein deti ho pursa

Mei tujko sunati hu wh sab haal safar ka
Pardes mein kis tarha luta gulshane zehra
Sar nange gaya kis tarha bazar mein kunba
Darbare sitamgaar ka aur qaid ka kissa
Sun aai mein dukhiya .. ae fatima sughra

Jis waqt hua barchi se tukde dile akbar
Aankho'n mein basarat na rahi shah ke dilbar
Laashon ko utha le gaye is hal mein sarwar
Girte the har ek laash pe akbar ki samajhkar
Milta na tha laasha .. ae fatima sughra

Shabbir ne jab laasha e farzand ko paya
Khechi jo sina sath kaleja nikal aaya
Mayyat ko jawan bete ki phir jhukke uthaya
Lakar use maidan se khaime mein litaya
Ek hasr tha barpa .. ae fatima sughra

Tu dhundti hai jiski har ek god mein dilgir
Che mah ke asghar ki nahi thi koi taqsir
Mara bine kahil ne tere bhai pe ek tir
Khoon muh se ugal kar hua be jaan wo besheer
Khali hua jhula .. ae fatima sughra

Shaadi hui kasim ki magar ras na aayi
Ek raat suhagan rahi bewa huwi kubra
Pamal kiya zalimo ne dulhe ka laasha
Maqkat mein tane jane hasan bikhra pada tha
In ankhone dekha .. ae fatima sughra

Uf tashnagi bachcho ki jo pate the nahi chayn
Aati thi sadaa e alatash aur kabhi bayn
Jab hadse siva dekha jo atfal ko bechayn
Pani gaya bharne pisare sayyed e kaunayn
Mara gaya saqqa .. ae fatima sughra

Kamsim bhi the pyase bhi the woh dono dulare
Lekin na gaye ladte woh darya ke kinare
Kuch gham nahi jo aun o muhammed gaye mare
Pehle hi se woh bhai ke sadke me utaare
Kya fikr ho unka .. ae fatima sughra

Baad jiske ayaa karbobal mein hua mehshar
Shabbir ki gardan pa chala zulm ka khanjar
Khhaime bhi jalaye gaye aur chin gayi chadar
Na mehramoka majma tha aur hum the khule sar
Har lamha thi eeza .. ae fatima sughra

Bachcho ke gale bazu hamare gaye baandhe
Kuch oo'nt liye itne mein aada waha'n aaye
Un nako pe bithlaya na tha jinpe kajave
Thi gyarah moharram jo chale karbobala se
Din raat safar tha .. ae fatima sughra

Kis tarha sunau mein safar ka tuje ehwaal
Chehro ko chupaye hue the bibiyo ke baal
Is jabr o tashaddut ke safar se tha bura haal
Kuch jism ke hisso se juda ho gayi thi khaal
Woh dekhegi beta .. ae fatima sughra

Sab bibiyo'n ke haath pase pusht bandhe the
Mao ke bajae the pisar maao ko pakde
Raftaar ki tezi se sambhal paye na bachche
Chausat(64) mere masoom gaye naqo se kuchle
Yeh taza alam tha .. ae fatima sughra

Darbar e yazide mein gaye phir hame lekar
Bithlaye the wa'a kursi nasshi satso(700) lakar
Jakde hue rassi me the aur hum the khule sar
Phat jata hai dil karti hu jab yaad woh manzar
Kya waqt kathin tha .. ae fatima sughra

Darbar se le jake rakha qaide sitam mein
Paaya na sukoo'n waah bhi izafa hua ghum mein
Ghut ghut ke sakina mari zindane sitam mein
Ek bar qayamat hui phir ehle haram mein
Lasha bhi na uththa .. ae fatima sughra

Zindaa'n mein hi nanhi si qabr ek banayi
Dafna di basad jabr wahan banu ki jaayi
Hum sabko diya zalimo ne hukme rehaayi
Markar bhi rehai na mayassar use aayi
Woh reh gaayi tanha .. ae fatima sughra

Zindaan ke darwaze pa jab aayi amari
Sar pitke ye bonu e nashaad pukari
Bar aayi tamannae dili ab teri pyaari
Utho chalo ghar jate hai aye dard ki maari
Shak hota tha sina .. ae fatima sughra

Maa deti rahi pitke sar apna duhai
Thi shaak bahut bibiyo ke dil pe judaai
Lekin hui marqad se sakina ke judaai
Phir shaam ke zindaan se karbobala aayi
Phatta tha kaleja .. ae fatima sughra

Jab bibiyo ko ganje shaheeda nazar aaya
Naqe se har el bibi ne apne ko giraya
Nazro mein tha ashur ka manzar jo samaya
Bus dekhte hi muh se kaleja nikal aaya
Har labpe tha nauha .. ae fatima sughra

Sajjad ne dafnadiye jab lashe bahattar
Ansoro azizo ka kiya chehlum e asgar
Abbas ka qasim ka chehlum e akbar
Us alame ghurbat mein kiya chehlum e sarwar
Kuch paas nahi tha .. ae fatima sughra

Sughra ne suni zainabe muztar se ye rudad
Chehra na raha zapt ka gash ho gaayi nashaad
Us waqt anees ehle haram ne jo ki fariyad
Hosh apne gawa baithe waha jitne the aabad
Sab karte the nala .. ae fatima sughra

Aye fatema sughra ghar lut gaya beta

Kehti hai yeh dukhtar e sultane karbala
nikli mai khaima gaah se maqtal ka rukh kiya
jis dum mai pohchi laashe padar par basad buka..(2)
aati thi saaf halqe burida se yeh sadaa

Shi'atima in sharib tum ma'a azbin fazkuruni
Au same'tum be gharibin au shahidun Fandebuni

Aye Shiyo Jab Pina Pani Bhool Na Jaana Mujhe
Zikre Ghurbat Ya Shahadat Ho To Ro Lena Mujhe

1. Ghaat par darya ke pehre daar the sab ashqiya'n
Ki Bohot Koshish Magar Katra Naa Pani Mil Saka
Teen Deen Tak Mera Kunba Pani Ko Tadpa Kiya..(2)
Shi'atima in sharib tum ma'a azbin fazkuruni
Au same'tum be gharibin au shahidun Fandebuni

Aye Shiyo Jab Pina Pani Bhool Na Jaana Mujhe
Zikre Ghurbat Ya Shahadat Ho To Ro Lena Mujhe

2. Pyaase duniya se gaye zainab ke do lakhte jigar
Ho Gaya Pamaal Pyasa Bhai Ka Noore Nazar
Tashnalab Rukhsat Hua Kadyal Jawa'n Mera Pisar..(2)
Shi'atima in sharib tum ma'a azbin fazkuruni
Au same'tum be gharibin au shahidun Fandebuni

Aye Shiyo Jab Pina Pani Bhool Na Jaana Mujhe
Zikre Ghurbat Ya Shahadat Ho To Ro Lena Mujhe

3. Bhai ne darya pe qabza karke mashkiza bhara
Pyasa Tha Pyasa Hi Khaima gaah Se Gaazi Chala
Haay Re Taqdeer Paani Mashk Se Sab Behgaya..(2)
Shi'atima in sharib tum ma'a azbin fazkuruni
Au same'tum be gharibin au shahidun Fandebuni

Aye Shiyo Jab Pina Pani Bhool Na Jaana Mujhe
Zikre Ghurbat Ya Shahadat Ho To Ro Lena Mujhe

4. Wa ana sibtil lazi min ghairi jurmin qataluni
wa bi juzdil khairi ba'din qatelal sahaquni
Dosto Mai Hu Nawasa Sayyade Kaunain Ka
Jurm Dhaye Ashqiya Ne Mujhpar Be Jurmo Khata
Baad Ko Ehle Daga Ne Kata Kanjar Se Gala
Shi'atima in sharib tum ma'a azbin fazkuruni
Au same'tum be gharibin au shahidun Fandebuni

Aye Shiyo Jab Pina Pani Bhool Na Jaana Mujhe
Zikre Ghurbat Ya Shahadat Ho To Ro Lena Mujhe

5. Ek anghuthi ke liye bazdal ne ki ungli qata
Le Gaya Malik Padar Ka Beta Ammama Mera
Qais bin ash'as Hamara Jamaey Tan Legaya
Wa ana sibtil lazi min ghairi jurmin qataluni
wa bi juzdil khairi ba'din qatelal sahaquni

Aye Shiyo Jab Pina Pani Bhool Na Jaana Mujhe
Zikre Ghurbat Ya Shahadat Ho To Ro Lena Mujhe

6. Qatl karke aye shiyo phir dushmano ne kya kiya
Kaat Kar Sar Sibte Payghambar Ka Neze Pe Rakha
Lasha e Besar Ko Phir Godo Se Tukde Kar Diya..(2)
Wa ana sibtil lazi min ghairi jurmin qataluni
wa bi juzdil khairi ba'din qatelal sahaquni

Aye Shiyo Jab Pina Pani Bhool Na Jaana Mujhe
Zikre Ghurbat Ya Shahadat Ho To Ro Lena Mujhe

7. Laita kum fi yaumi ashura jame'an tanzuruni
kaifa az tas'eel e tiflin fa bua ay-yarhabuni
 
Paas agar hote shia mere na hota aisa haal
us ghadi shiddat se aaya tha mere dil mein khayal
paani ka asghar ke khatir kar raha tha jab sawaal..(2)
Laita kum fi yaumi ashura jame'an tanzuruni
kaifa az tas'eel e tiflin fa bua ay-yarhamuni

Aye Shiyo Jab Pina Pani Bhool Na Jaana Mujhe
Zikre Ghurbat Ya Shahadat Ho To Ro Lena Mujhe

8. Rooh barsa haaye wo manzar jo koi dekhta
Qalb Phatjata Jo Pani Maangne Par Ki Jafa
Cheda Paikaane Jafa Se Nanhe Asghar Ka Gala..(2)
Laita kum fi yaumi ashura jame'an tanzuruni
kaifa az tas'eel e tiflin fa bua ay-yarhamuni

Aye Shiyo Jab Pina Pani Bhool Na Jaana Mujhe
Zikre Ghurbat Ya Shahadat Ho To Ro Lena Mujhe

9. Jab kiya baali sakina ne ye zainab se baya'n
Shiddate Gam Se Bhari Binte Ali Ki Hichkiya
qatlgaah Se Aye Anees Aati Thi Aawaze Fugha..(2)
Shi'atima in sharib tum ma'a azbin fazkuruni
Au same'tum be gharibin au shahidun Fandebuni

Aye Shiyo Jab Pina Pani Bhool Na Jaana Mujhe
Zikre Ghurbat Ya Shahadat Ho To Ro Lena Mujhe

Suno ke likhta hu mai dard naak wo manzar
the ek rasan me gale baara aur barehna sar
jab aayi shaam ke darbaar mein garida jigar
padi sakina pe nagaah us shaqi ki nazar

yazeed naam tha jiska sajaa ye tha darbaar
liye tha god me dukhtar ko apni wo makkar
wo apni bachhi ke baalo mei haath pherta tha
laga ke seene se bachi ko pyaar se dekha

lehek ke baali sakina se wo shaqi bola
tujhe bhi baba tera aise pyaar karta tha
kaha sakina ne, mai shahe dee'n ki pyaari hu
tabaah haal hu, is dum dukho ki maari hu

tu mere baba ka gandi zubaa'n se naam na le
ghuroor itna na kar baandh kar rasan mein hume
mai kitni pyaari thi baba ki kya batau tujhe
mai bhool sakti nahi apne baba ko marke

mai jab bhi roti thi baba mujhe manata tha
banake hatho'n ko jhula mujhe jhulata tha

haan.. tha mera baba

1. Mai seene pe soti thi
taskeen si hoti thi
maa banke mujhe jisne
aaghosh me paala tha

2. Kya puchta hai mujhse
khud puchle baba se
sar tasht mein rakha hai
wo khud hi bata dega

3. Mai kitni dulari hu
go dard ki maari hu
gar unko bulau mai
sar god mein aayega

4. Kyu mujhko rulata hai
aisa kahi hota hai
bin baap ki bacchi ko
dete hai dilasa

5. Teri bhi to beti hai
godi mein jo baithi hai
tu dekh use zalim
phir dekh mera chehra

6. Abbas agar hote
kunbe ko mere kaise
tu baandh ke rassi mein
darbaar mein laata

7. Ye kurta fata mera
jo khoon mein hai dooba
abbas jo dekhenge
ek hashr bapa hoga

8. Chalta na agar khanjar
shabbir ki gardan par
hum qaid nahi hote
akbar na sina khaata

9. Ye khaak aseeri ki
chehro pe nahi hoti
baba mera sajde mein
gar sar na kata ta

10. Mai seene pe soti thi
taskeen si hoti thi
maa banke mujhe jisne
aaghosh mein paala tha

hogaye zainab se khafa ay mere baba
kya beti se pyari thi khaza ay mere baba

ghar mera veraan kiya
ay mere baba
karti hoo aaho buka
ay mere baba
zulm ye kaisa hua
ay mere baba
sunte nahi meri sada kisko pukaroo
saaya hai mere sar se utha kisko pukaaroo
ay mere baba, ay mere baba

zarb ye kaisi lagi
ay mere baba
kaun tha aisa shakhi
ay mere baba
zulm ki hadh ho gayi
ay mere baba
rote hai hasnain zara aankhein to kholo
dil kabse hai bechain zara aankhein to kholo
ay mere baba, ay mere baba

kaisi hai gham ki sahar
ay mere baba
phatta hai mera jigar
ay mere baba
aapko yu dekh kar
ay mere baba
chalte hai kanjar mere seene pe alam ke
taqdeer ne dikhlaaye ye din kaise sitam ke
ay mere baba, ay mere baba

aankh se aansu rawaan
ay mere baba
seeno se utha dhuwaan
ay mere baba
dard ki chingaariya
ay mere baba
ay bine muljim ye bata tukjo mila kya
tune lahoo kisliye hyder ka bahaya
ay mere baba, ay mere baba

qatl namaazi huwa
ay mere baba
arsh se aayi sada
ay mere baba
hogaya mehshar bapa
ay mere baba
rotay hai jibreele ameen peet ke seena
naale koi karta hai koi, padta hai nowha
ay mere baba, ay mere baba

ya ali mushkil-kusha
ay mere baba
dekhiye uth kar zara
ay mere baba
nowha kuna hai fiza
ay mere baba
taygh-e-jafa aap-pe zaalim ne chalaayi
roti hai zameen aasmaan deta hai duhaai
ay mere baba, ay mere baba

kuch to kare guftagu
ay mere baba
badta hai sar se lahoo
ay mere baba
aap huwe to khuloo
ay mere baba
masjide kufa may bapa shoro buka hai
damaade nabi shere khuda qatl hua hai
ay mere baba, ay mere baba

rotay hai ehle aza
ay mere baba
hogayi majlis bapa
ay mere baba
dil bhi tadapne laga
ay mere baba
uthgaya dunya se madadgaar hamara
bewo ka yateemo ka aseero ka sahara
ay mere baba, ay mere baba

shabbar-o-shabbir par
ay mere baba
kijiyo uthkar nazar
ay mere baba
rote hai sar peet kar
ay mere baba
amma ki tara aap bhi ab ghar se sidhaare
ab haath rakhe kaun bhala sar pe hamaare
ay mere baba, ay mere baba

ashkon ka ye silsila
ay mere baba
jaari rahega sada
ay mere baba
kufa ho ya karbala
ay mere baba
nowha rehaan azmi ye maula ali ka
hai sab ke liye ukhba may bakshish ka sahara
ay mere baba, ay mere baba

Abid ne kaha aake kareeb bint e ali ke
Ab sue watan chaliye phuphi jaan mai sadqe
Sunkar ye khabar zakhm e jigar phatt gaye saare
Markad se lipat kar kiye zainab ne naale

Mai jab bhi watan jaungi bhaiyya
Bin tere na ghar jaungi bhaiyya

Atthara baras ka ali akber bhi yahi hai
Cheh maah ka nanha ali asghar bhi yahi hai
Hai khaak basar farwa ka dilber
Paamal badan qasim e muztar
Kis dil se mai ghar jaungi bhaiyya

Kya din the ke aabad tha zahra ka gulistan
Ye kiski nazar kha gayi sab ho gaya veeran
Baki nahi ab koi nigehbaan
Sab bhai mere ho gae bejaan
Marjaungi Marjaungi bhaiyya

Abbas se aur tumse hai zainab ko nidamat
Zindaan me chord aai hu dono ki imanat
Kya toot gai mujhpe qayamat
Kis darja hai zainab ko khijalat
Wo labb pe nahi laungi bhaiyya

Sota hai mera dhoop me nanha ali asghar
Kehti hai ye bano ke hai waali bhi yahi per
Zindaan me ek mar gayi dukhtar
Baithegi na ab saaye me madar
Kya kehke mai samjhaungi bhaiyya

Tayyar nahi sue watan jane ko laila
Wo kehti hai mai chord du kis tarha se tanha
Atthara baras ka mera beta 
Reh jaega is bann me akela
Kaise use samjhaungi bhaiyya

Aamad ki khabar sunke "anees" aayenge saare
Ye neel numaya hai jo baazu pe rasan ke
Gar pooch liya mujhse kisi ne
Batlaungi unko mai ye kaise
Buss sharm se marr jaungi bhaiyya.

NANA AJEEB SAANAAE HAM PAR GUZAR GAYE, RANJ O ALAM NE GHER LIYAA HUM JIDHAR GAYE
NANA KHUDAA KAI GHAR MEIN NA HUM KO AMAAN MILI, BHAI NE SHEHER CHOD KE JANGAL KI RAAH LI

NANA HAMAIN NA CHAIN MAYASSAR KAHIN HUA, PAANI BHI BANDH HUM PAI LAEENON NE KARDIYA

NANA TUMHARI AAL PAI KYA KYA SITAM HUE, BACHCHE TADAP KEI MAR GAYE PAANI KAI WAASTE

NANA SHAHEED HO GAYE BHAI KAI JAANNISAR, EK EK KAR KE MAR GAYE ASHAB E ZEEWAQAR
NANA BALA KE BAN MAIN QAYAMAT KA RUN PADA, BHAYEE SAI BHAYEE BAAP SAI BETA BICHAD GAYA

NANA ZAMEEN E KARBOBALAA LAAL HO GAYI, QASIM KI LAASH GHODON SE PAAMAAL HO GAYI
NANA KATAA KE SHAANON KO ABBAS MARGAYE, GHURBAT ME BHAAIJAAN KO BE AAS KARGAYE

NANA TUMHARI SHAKL KA FARZAND EK JO THA, KHAA KAR SINA JIGAR ME WO MEHRU BHI CHAL BASA
NANA SHAQI KI TEER SE ASGAR HUA SHAHEED, AISA HUA NA HOGA JAHAAN MAIN SITAM SHADEED

NANA HUSSAIN BEKAS O BE YAAR HOGAYE, AAMADA QATL KARNE KO KUFFAR HOGAYE
TADPE JO ZER KHANJARE BE AAB SHAAHE DEEN, SHIMRE LAEEN KE ZULM SE THARRA GAYI ZAMEEN

NANA HAMARE GHAR KA SAB ASBAAB LUT GAYA, NANA HAMARE SAR PE NA BAAQI RAHI RIDA
NANA HAZAAR TARHA JAFA KI LAEENO NE, KHAIMO ME AAG LAGAADI LAEENO NE

NANA HUI ASEER TUMHAARI NAWASIYAAN, KAUNO MAKAAN ME CHAA GAYI GHAM KI UDAASIYAAN
NANA HARAM HUSSAIN KE BAZAAR ME GAYE, HUM SAR BAREHNA KUFE KE DARBAR ME GAYE

NANA TUMHAARI AAL GAYI MULKE SHAAM ME, POHNCHI ALI KI BETIYAAN DARBAARE AAM ME
NANA HAQEER SAAHIB E TATHEER HOGAYE,HAM LOG SHAHR E SHAAM MAIN TASHHEER HOGAYE

NANA ASEER BARA THE HUM EK THI RASAN, BAANDHE GAYE THAI MISLE GUNAAHGAAR E KHASTATAN

NANA HUM APNE HAAL PE ROTE THE ZAAR ZAAR, NANA HAMAARE ROONE PE HASTE THE BAD SHAIAAR

NANA AJEEB HAAL HAMAARAA THA US GHADI, EK BIBI PICHHE DUSRI BIBI KE CHUPTI THI
US WAQT THARTHARI SI MERE TAN ME PAD GAYI, SAD HAIF HAI ZAMMEN MAIN ZAINAB NA GHAD GAYI

ITNE ME EK SHAAMI NAI NANA GHAZAB KIYA, SAIDANI KU KANEEZI MAIN APNI TALAB KIYA
HOTI THI LAAKH ZILLATEN HUM DEKHTE RAHE, HANS HANS KE TAAZIYAANE SITAM JHELTE RAHE

NANAA TABAAH HOKE HAM AAYE HAIN SHAAM SE, EK DAAGHE NAU SAKINA KA LAAYE HAI SHAAM SE
NANA HAMARE TAN PE NISHAANO KO DEKH LO, AB TAK HAI NEEL RASSI KE SHAANON KO DEKH LO

ZAINAB DIKHA KAI SHANOON KU JAB KARRAHI THI BAYAAN, THARAA RAHAA THA ROUZAE SULTAANE MASHRAQAIN
BAS KHATM KAR NASHAR YE GHAMNAAK DAASTAAN, ROTE HAIN IS ALAM MAIN ZAMEEN AUR AASMAAN

Sadaat e karbala .. (2)
Chehlum ko karbala me jo aayi wo bibiyaa
Sadaat e karbala..
Har bibi kar rahi thi kuch is tarha se girya
Sadaat e karbala

1. Kuch bibiya'n yaha hai kuch bibiya'n waha
Karti hui fughaa .. (2)
Bikhri hui thi maqtal e sarwar me jaa bajaa

2. Ek bibi dasht e khooni me jaati hai nahr par
Kehti ba chashme tarr .. (2)
Abbas dene aayi hoon pursa sakina ka

3. Ghut ghutke laadli teri zinda mein mar gayi
Turbat wahi'n bani.. (2)
Bhaiyya wo qaid se na hui marke bhi juda

4. Akbar ki qabr par yu hui laila nauhagar
Dekha na saal bhar.. (2)
Aayi hu qaid e shaam se ab hoke mai reha

5. Bano ye bain karti thi aye mere bezubaa'n
Maa dhoonde ab kahaa.. (2)
Batla de hai kaha'n mera asghar aye karbala

6. Qurbaan tere aye mere maa jaaye bewatan
Majboor thi bahen.. (2)
Zindaa'n mein mujhse teri amanat hui juda

7. Rote hai khaas o aam tera sunke ye kalaam
Aye shaah ke ghulaam .. (2)
Nauha tera anees hai makbool e baargaah

Tamaam aalam may aaj matam, hussain bekas ka ho raha hai
alam gharon may sajay huway hai, dilon may farsh-e-aza bicha hai
tamaam aalam may aaj matam, hussain bekas ka ho raha hai

1. Siyah kapde siyah chadar, ghamon ki gardo ghubaar sar par
hai sogwaro'n kay ashk jaari, ke sani-e-zehra berida hai
tamaam aalam ...

2. Na chashme purnam ho kyon sawali, juloos hai zuljanah khaali
ke mera duldul sawar-e-maula, zamin-e-karbal may so raha hai
tamaam aalam ...

3. Alam me mashq-e-sakina dekho, to momino bas yeh keh ke rolo
chacha bhatiji may kya hai nisbat, wafa-e-abbas kya wafa hai
tamaam aalam ...

4. Hussain peeri may dil sambhale, ke dil se uljhi sina nikaale
jawaan beta lahu may dooba, zameen pe aedi ragad raha hai
tamaam aalam ...

5. Na maar barchi dil-e-nabi par, abhi huway hai jawaan akbar
ye qatl jisko tu kar raha hai, yehi to ham shakl-e-mustafa hai
tamaam aalam ...

6. Madinay walo khamosh rehna, ghareeb zainab say kuch na kehna
basa huwa ghar jo le gayi thi, wo karbala may ujad gaya hai
tamaam aalam ...

7. Azaa-e-shabbir hai ibadat, janab-e-zainab ki hai amaanat
ye nauha tere qalam se mehshar, janab-e-zahra ki ek ataa hai
tamaam aalam ...

Akbaro bab hai gaye nehr kinare (2)
Are amma mera qalb jala pyaas ke mare
Haye pyaas ke mare
Doobte jaate hai mere dil ke sahare

Abbas bohot kuch se tha zainab ko sahara
Haaey aab koi nahi alame gurbat mei hamara

Tumse to dharas si mujhe mere beradar
Baba ka farman hua aab tu mukaddar
Hua aab tu mukaddar
Cheen ke lejayenge ada meri chadar

Tum sharm se khaime mei bhi aye na biradar
Haaye sheh llaye the jab laasha e qasim ko utha kar

Qatl hua ibne hassan mei hhui be aas (2)
Aaye natum dene ko pursa bhi mere paas
Pursa bhi mere paas
Are hota hai aab tere haya daari ka ehsas

Tune mujh mehroomi mei kya shaan ata ki
Haaye kulsum ko tadpayengi taa umer judaai

Aashur ki shab teri wafa nakhsh hai dilpar (2)
Array kya kehke tujhe roye kare nala yeh khwahar
Haaye nala yeh khwahar
Array aab tuhi bata de mujhe aye mere biradar

Asgar ki na jab dekhi gaayi tashan dahani
Maine di tassaalli use aane ko hai paani

Re banu e shabbir bohot tumpe thi naadan (2)
Re pyaasi hi magar jayega ab asgher nadaan
Haye asghere naadan
Haaye ghar ke ujad jaane ka bhi hogaya samaan

Baarat bhatijiki chacha jaayenge lekar
Array is aas mei atthara bars pala tha akbar

Tukde huwa sab hasrato armaan ka kaleja (2)
Hai armaan ka kaleja
Kya dekhte hi dekhte hogaya bhayya

Sheh kehte the baaki na alamdaar na laashkar
Array zainab ye badhado alam e dilbar e haider

Woh sina zani aur qayamat ka tha girya (2)
Sar peet te the zere alam dilbare zehra
Hai dilbare zehra
Haaye sukhe hue hoton pe tha purdard ye nawha

Wo shahenshah-e-zaman, jisko kafan bhi na mila

1. Wo Mohammad ka nawasa, woh hussain ibn-e-ali
gulshan-e-fatema zahra ki wo masoom kali
naam hai panjatan-e-paak mein ba harf-e-jali
hurmate deen-e-khuda jis ki shahadat mein dhali
hote rehte the jise hulla-e-firdos ataa
wo shahenshah-e-zaman...

2. Jhoola jibreel ne bachpan mein jhulaya wo hussain
dosh par jisko payambar ne bithaya wo hussain
jis pe quran ke paaro'n ka tha saya wo hussain
pani dil khol ke dushman ko pilaya wo hussain
haye us bekas-o-nadaar ko pani na diya
wo shahenshah-e-zaman...

3. Dasht mein gher liya jisko bulakar mehmaan
saamne jis ke tadapta raha akbar sa jawan
khench li jis ne jawa'n bete ke seene se sina
jis ke haathon pe huwa qatl pisar guncha daha'n
aakhri naasir-e-mazloom bhi jis ka na raha
wo shahenshah-e-zaman...

4. Khoob rote hai jo apna koi marjaata hai
laasha be waali-o-waris ka kafan paata hai
aur taras khaake use koi bhi dafnaata hai
taaziyat kay liye dushman bhi chala aata hai
haaye afsos jigar gosha-e-mehboob-e-khuda
wo shahenshah-e-zaman...

5. Haaye pamaal huwi laash-e-hussain ibn-e-ali
bhai ki laash pay mazloom bahan ro na saki
laashe urya pe lahu, chashme falaq roti thi
kalma padte the payambar ka aur haste the shaqi
laash par jamti thi khaaq aur yeh deti thi sada
wo shahenshah-e-zaman...

6. Parcham-e-hazrat-e-abbas uthaane wale
rahe aabad aza-khaane sajaane wale
aur salamat rahe nauho ko sunane wale
gham-e-sarwar me hai jo ashk baha ne wale
fatema zahra unhe khuld mein deti hai dua
wo shahenshah-e-zaman...

7. Zikr-e-maula me qalam rok na apna mehshar
dekh zainab ke nahi sar pe abhi tak chaadar
pursa deta rahe ashaar se sheh ka mehshar
rakh tasawwur mei ke hai dasht mein laash-e-sarwar
laashe urya'n ko udata rahe nauho ki rida
wo shahenshah-e-zaman...

Zainab-e-Hazine Man
Zainab-e-Hazine Man, Khwahram Khuda Hafiz

Zainab-e-Hazine Man, Khwahram Khuda Hafiz X 2
Alwida Daridah Tan
Alwida Daridah Tan, Khwaharam Khuda Hafiz
Zainab-e-Hazine Man, Khwahram Khuda Hafiz X 2

Man Kai Bi Alamdaram, Bai Mueen Bai Yaram X 2
Az Hayat Bai Zaaram
Az Hayat Bai Zaaram, Khwaharam Khuda Hafiz
Zainab-e-Hazine Man, Khwahram Khuda Hafiz X 2

Aye Meri Behan Zainab Ghaar Tere Hawalae Hai X 2
Jo Laaeq-e-Sajda Hai Sar Uske Hawalai Hai X 2
Bas Chalnai Ku Hai Hay Khanjar
Bas Chalnai Ku Hai Hay Khanjar, Khwaharam Khuda Hafiz
Zainab-e-Hazine Man, Khwahram Khuda Hafiz X 2

Khanjar Meri Gardan Pai Jab Shimr Chalaega X 2
Reh Reh Kai Mujhe Tera Chehra Nazar Ayega X 2
Tu Hogi Barhaina Sar
Tu Hogi Barhaina Sar, Khwaharam Khuda Hafiz
Zainab-e-Hazine Man, Khwahram Khuda Hafiz X 2

Zindan Kai Andhere Main Jab Roie Meri Bachi X 2
Dil Joie Bohut Karna Us Waqt Behan Us Ki X 2
Mar Jaie Na Oh Ghut Kar
Mar Jaie Na Oh Ghut Kar, Khwaharam Khuda Hafiz
Zainab-e-Hazine Man, Khwahram Khuda Hafiz X 2

Zindan Sai Riha Ho kar Jab Suie Watan Jana X 2
Jo Zulm Huwae Ham Per Sughra Ku Oh Batlana X 2
Ham Qatl Huwe Kiyun Kar
Ham Qatl Huwe Kiyun Kar, Khwaharam Khuda Hafiz
Zainab-e-Hazine Man, Khwahram Khuda Hafiz X 2

Puche Jo Sakina Ko Bimar Mere Dukhtar X 2
Batlana Kai Zindan Main Oh Margaie Ro Ro kar X 2
Ay Zakhm Bhi Hai Dil Par
Ay Zakhm Bhi Hai Dil Par, Khwaharam Khuda Hafiz
Zainab-e-Hazine Man, Khwahram Khuda Hafiz X 2

Kehna Teri Furqat Main Akbar Bhi Tarap Ta Tha X 2
Sota Tha Sar-e-Maqtal Jab Khat Tera Aya Tha X 2
Sine Pe Sina Kha Kar
Sine Pe Sina Kha Kar, Khwaharam Khuda Hafiz
Zainab-e-Hazine Man, Khwahram Khuda Hafiz X 2

Har God Main Dhundhegi Sughra Ali Asghar Ku X 2
Tum Khud Hi Bata Dena Bimar Ku Muztar Ku X 2
Nawaq Laga Gardan Par
Nawaq Laga Gardan Par, Khwharam Khuda Hafiz
Zainab-e-Hazine Man, Khwahram Khuda Hafiz X 2

Maarae Gaie Saab Bahena, Hum Reh Gaie Ab Tanha X 2
Es Aalam-e-Ghurbat Main, Mushkil Hai Mera Jina X 2
Maarai Gaie Sub Dilbar
Maarai Gaie Sub Dilbar, Khwaharam Khuda Hafiz
Zainab-e-Hazine Man, Khwahram Khuda Hafiz X 2

Rehaan Bhot Roie Zainab Ye Bayan Sun Kar X 2
Kehnai Lagi Bhai Kai Sine Pe Oh Sar Rakh Kar X 2
Dil Duba Hai Ye Sun Kar
Dil Duba Hai Ye Sun Kar, Khwaharam Khuda Hafiz

No comments:

Post a Comment