Haaye
Zainab ko dekha sheh ne jo nazdeek e qatl gaah
Us dam Ghareeb e Zahra ne qatil se yeh kaha
Haye...
Zainab nikal aayi hai zara rok le khanjar
Zainab nikal aayi hai zara rok le khanjar..(3)
Maula yeh sada dete the
Maula yeh sada dete the, aye shimr e sitamgar
Zainab nikal aayi hai zara rok le khanjar
1. Akhit to safar hona hai is daar e mahan se
do baatein to kar lene de bhai ko bahan se
aati hai meri samt meri laadli khwahar
Zainab nikal aayi hai zara rok le khanjar
2. Tu laakh sitamgar hai magar kaam yeh kar jaa
aye shimr mere seene se kuch der utar jaa
mar jayegi is haal mein dekha jo baradar
Zainab nikal aayi hai zara rok le khanjar
3. Bhai ki mohabbat mein woh betab hui hai
khaime se bohot tez woh maqtal ko chali hai
sar se meri behna ke utar jaye na chadar
Zainab nikal aayi hai zara rok le khanjar
4. Deedar kare woh mera mai bhi use dekhu
zakhmi hu magar akhri tazeem to karlu
aye shimr behen hai yeh meri maa ke barabar
Zaraa rok le khanjar
Zainab nikal aayi hai zara rok le khanjar
5. Zainab chali jaye to sitam chahe jo dhana
hat jaye bahan meri toh khanjar ko chalana
kuch der mere shano pe rehne de mera sar
Zainab nikal aayi hai zara rok le khanjar
6. Abbas ki khatir mujhe paigham yeh degi
shayad Ali akbar ki koi baat karegi
kuch der to rone de bahan bhai ko mil kar
Zainab nikal aayi hai zara rok le khanjar
7. Mazloom ki tasveer ko ankho'n mein basakar
shabbir se masoom sakina ko mila kar
waada hai chali jaegi wapas meri khwahar
Zainab nikal aayi hai zara rok le khanjar
8. Kehne laga maula se sitamgaar yeh has kar
pehle bhi nikal aayi thi yeh khaime se bahar
sheh ne kaha jab qatl hua tha ali akbar
Zainab nikal aayi hai zara rok le khanjar
9. Sar sheh ka juda karne mein masroof laee'n tha
kya kehta hai mazloom woh sunta hi nahi tha
kehta raha sar tan se juda hoke bhi akbar
Zainab nikal aayi hai zara rok le khanjar
Haye, haye, haye alamdar..(2)
Laashe abbas pe pohche jo Ghareeb e Zahra
Bhai ki laash pe ek bhai ne nauha yeh kiya
Zainab, Zainab..
Mar gaya Zainab, mera shere jawaa'n
Lashe alamdar pe sheh ne kaha
Mar gaya Zainab mera shere jawaa'n
Mujhse juda hogaya bhai mera
Mar gaya Zainab mera shere jawaa'n
1. Chhod do akbar mera baazu zara
karne do matam hume abbas ka ..(2)
hogaye bazu qalam.. Shere jawa'n mar gaya
ab nahi jeene ke hum.. Shere jawa'n mar gaya
Shere jawa'n mar gaya
Lashe alamdar pe sheh ne kaha
Mar gaya Zainab mera shere jawaa'n
2. Dasht mein bin bhai ke hum hogaye
aaj se be aas haram hogaye..(2)
lut gayi sarkar sab.. Shere jawa'n mar gaya
hogaya kaisa ghazab.. Shere jawa'n mar gaya
Shere jawa'n mar gaya
Lashe alamdar pe sheh ne kaha
Mar gaya Zainab mera shere jawaa'n
3. Parda e sadaat ka zamin gaya
zor e kamar ghat gaya mazloom ka
khaak udaenge hum.. Shere jawa'n mar gaya
ghar nahi jaenge hum.. Shere jawa'n mar gaya
Shere jawa'n mar gaya
Lashe alamdar pe sheh ne kaha
Mar gaya Zainab mera shere jawaa'n
4. Hogya pardes mein barbaad ghar
lag gayi abbas ko kiski nazar..(2)
phir se ali chut gaye.. Shere jawa'n mar gaya
aale nabi lut gaye.. Shere jawa'n mar gaya
Shere jawa'n mar gaya
Lashe alamdar pe sheh ne kaha
Mar gaya Zainab mera shere jawaa'n
5. Loot lo sadaat ko ab loot lo
qaidi banakar inhe bus le chalo..(2)
shor ye faujo mein hai.. Shere jawa'n mar gaya
thar thari maujo mein hai.. Shere jawa'n mar gaya
Shere jawa'n mar gaya
Lashe alamdar pe sheh ne kaha
Mar gaya Zainab mera shere jawaa'n
6. Ghum se kaleja mera sadd paak hai
jeene pe mazloom ke ab khaak hai..(2)
chalti hai dil par churi.. Shere jawa'n mar gaya
khatm hui zindagi.. Shere jawa'n mar gaya
Shere jawa'n mar gaya
Lashe alamdar pe sheh ne kaha
Mar gaya Zainab mera shere jawaa'n
7. Kisko dikhau mai kaleje ke daagh
hogaya gul qabr e ali ka charagh..(2)
aisi hawae'n chali.. Shere jawa'n mar gaya
shamme wafa bujh gayi.. Shere jawa'n mar gaya
Shere jawa'n mar gaya
Lashe alamdar pe sheh ne kaha
Mar gaya Zainab mera shere jawaa'n
8. Sheh sue khaima jo takallum chale
mashk o alam the ali akbar liye..(2)
lab pe tha nauha yehi.. Shere jawa'n mar gaya
paani na mange koi.. Shere jawa'n mar gaya
Shere jawa'n mar gaya
Lashe alamdar pe sheh ne kaha
Mar gaya Zainab mera shere jawaa'n
Arsh ke taare hussain..(2)
Zahra ke pyare hussain..(2)
tum ho humare hussain..(2)
hum hai tumhare hussain..(3)
Hussain...
Mahe azaa..
Mahe azaa lo namudar hua
ghar me mere bich gaya farshe azaa
Jano dile Fatima... Jano dile Fatima
badshah e karbala
ban gaya mehma'n mera
Ya hussain, Ya hussain, Ya hussain.. Hussain Hussain..(2)
Mahe azaa lo namudar hua
ghar me mere bich gaya farshe azaa
Falak pe phir se moharram ka chand nikla hai
hussain walo ne kaala libas pehna hai
kahi pe nauha kahi par sada e girya hai
shah alaikas salam..(2)
aye mere bekas imam
aap par sab kuch fida
Ya hussain, Ya hussain, Ya hussain.. Hussain Hussain..(2)
Mahe azaa lo namudar hua
ghar me mere bich gaya farshe azaa
Kisi ke hath mein abbas ka alam hoga
koi uthaega taboot ibn e zahra ka
kahi se taziya, jhoola kahi se niklega
hogi qayamat bapa
royenge ehle azaa
shor hai ashoor ka
Ya hussain, Ya hussain, Ya hussain.. Hussain Hussain..(2)
Mahe azaa lo namudar hua
ghar me mere bich gaya farshe azaa
Gali gali mein sabilo ka ehtemam hai phir
dilo ki pyaas bujhane ka intezam hai phir
ghareeb e zahra ka jari labo'n pe naam hai phir
aake sabilo ke paas
jo bhi bujhata hai pyaas
deta ha dil se sadaa
Hussain...
Mujrae jab ke ayaa'n mahe azaa hota hai
arsh par matam e shahe shohada hota hai
Har anjuman mein hai sinazani ki tayyari
naye kalam hai sabki zaban par jaari
qadeem e qarz par hoti hai phir azadari
taziye khane khule
matami shane khule
hota hai matam bapa
Be abi anta wa ummi ya hussain..(2)
Kehta hai har dil yehi..(2)
ho mere maa baap bhi
aap pe maula fida..(2)
Ya hussain, Ya hussain, Ya hussain.. Hussain Hussain..(2)
Mahe azaa lo namudar hua
ghar me mere bich gaya farshe azaa
Tabarrukat ke sandooq laye jate hai
alam pe patke pharere sajaye jate hai
sabeel lagti hai saqqe banaye jate hai
leke shahido'n ke naam..(2)
bat-te hai pani ke jaam
dete hai pyase dua
Ya hussain, Ya hussain, Ya hussain.. Hussain Hussain..(2)
Haye hussaina.. Haye hussaina.. Haye hussaina.. Haye hussaina
Karo hussain ka matam karo azadari
Farat ankho'n se jaari ho aise ashko'n ke
ke khali hath na jaye rasool ki beti
hath mein rumaal hai
maa ka ajab haal hai
deti hai bibi dua
deti hai bibi dua
Ya hussain, Ya hussain, Ya hussain.. Hussain Hussain..(2)
Mahe azaa lo namudar hua
ghar me mere bich gaya farshe azaa
Alam pe mashk e sakina saja ke rote hai
kisi ko dhoop mein pani pila ke rote hai
kabhi kisi ko tabarruk khila ke rote hai
naam idhar aagaya..(2)
sayyed e mazloom ka
aankh se darya baha
Ya hussain, Ya hussain, Ya hussain.. Hussain Hussain..(2)
Mahe azaa lo namudar hua
ghar me mere bich gaya farshe azaa
Hue hai khalq takallum hum is azaa ke liye
humari qaum ke bache ghulam asghar ke
jawan sab ali akbar ke naam par sadqe
taa ba zahur e imam..(2)
royenge ye khas o aam
waada hai is qaum ka
Ya hussain, Ya hussain, Ya hussain.. Hussain Hussain..(2)
Be watan.. Haye hussaina
Be kafan.. Haye hussaina
Be khata.. Haye hussaina
Be nawa.. Haye hussaina
Hay hussaina...
Jane Walo Dar-e-Abbas Pe Jab Tum Jana.
Yeh Areeza Mere Maula Ko Suna Kar Aana.
Sab Se Pehle Unhein Kehna Meri Janib Se Salam.
Phir Yeh Kehna Ke Tarapta Hai Watan Mein Woh Ghulam.
Kuch Nahi Lana Faqat Izn-e-Ziyarat Lana.
Kehna Hashim Ke Qamar Se Yeh Karein Our Karam.
Dekhney Hain Mujhe Rozon Ke Badaltay Parcham.
Iss Baras Mah-e-Azza Mujh Ko Wahin Dikhlana.
Kehna Hazrat Se Wasail Ko Kushada Kar Dein. Mera Iss Saal Zara Rizq Zyada Kar Dein. Betiyon Beton Ko Humrah Mujhe Hai Lana.
Karbala Paison Se Jate Nahi Mujh Ko Hai Khabar.
Tum Bulatay Ho Tu Mil Jata Hai Khud Zaad-e-Safar.
Likha Ho Aana Tu Lagta Nahi Ik Bhi Aana.
Chotay Hazrat Se Yeh Kehna Ke Hai Ashor Qareeb.
Yeh Bhi Kehna Ke Kya Iss Saal Bhi Tarpay Ga Ghareeb.
Khon Ka Dena Hai Waan Aa Ke Mujhe Nazrana.
Unn Se Kehna Nahi Mangoon Ga Main Asaish-o-Chain.
Neend Jab Aaye Gi So jaon Ga Bain Al Haramain.
Kafs Ko Takiya Bana Kar Hai Mujhe So Jana.
Arbaeen Ki Jo Bananey Lagin Fehrist Aaqa. Naam Mera Bhi Sakina Ke Tasadduq Likhna. Mujh Ko Bhi Karbala Paidal Hai Najaf Se Jana.
Main Agar Sham Gaya Pehle Tu Bolon Ga Yehi. Aap Ke Ammo Ne Bhaija Hai Sakina Pani.
Tum Abalfazl Ke Sardab Ka Pani Lana.
Kaisay Zindah Rahi Bin Aap Ke Asghar Ki Behan.
Mar Gayi Par Na Khuli Bachi Ki Gardan Se Rasan.
Pursa Masoom Sakina Ka Hai Deney Aana.
Mir Sajjad Ko Nohay Ka Sila Yeh Dena.
Iss Baras Karbobala Aaye Ga Jab Woh Maula. Aap Nazranay Ke Badlay Mein Nazar Aa Jana.
Jhoola hai ya taboot tumhara ali asghar
Madar ke labo'n par hai..
Madar ke labo'n par hai
yeh nauha ali asghar
Jhoola hai ya taboot tumhara ali asghar
1. Pehlu mein mere aaj se soegi sakina..(2)
tum baap ki aghosh mein sona ali asghar
2. Sar saare shahido ke uthe naizo pe lekin..(2)
uttha tera naize pe janaza ali asghar
3. Us waqt sakina bhi khadi dekh rahi thi..(2)
Naizo'n ne jo dhundha tera
Naizo'n ne jo dhundha tera laasha ali asghar
4. Is tarha se rukhsaar tere khoon mein tarr the..(2)
maa dekh na paayi tera chehra ali asghar
5. Mohsin ka unhe dijiyo pursa mere beta..(2)
jab goad mein legi tujhe..(2) Zahra ali asghar
6. Layi hu teri qabr se Maula ko utha kar..(2)
uthte hi nahi the shahe wala ali asghar
7. Akbar na sula payenge tum zidd nahi karna..(2)
seene ka abhi zakhm hai..(2) taaza ali asghar
8. Maa boli takallum mujhe mare gaye patthar..(2)
ummat ne diya yu tera..(2) pursa ali asghar
Jhoola hai ya taboot tumhara ali asghar..(2)
Haaye...
Haye jawan laal ko maqtal se jab uthake chale
Hussain rote rahe aur pisar se kehte rahe
Khamosh na ho baap se baatein karo akbar
Khamosh na ho baap se baatein karo akbar..(3)
Hum tum ko mila denge..
Hum tum ko mila denge phupijaan se jaakar
1. Aye laal kaleje mein abhi dard to hoga
nikla hai lahu itna badan sard to hoga
tum chup ho to chalte hai..(2)
mere qalb pe khanjar
2. Qadmo ki taraf se hai uthaye hue baba
aur sar ki taraf se hai sambhale hue Zahra
ankho'n ko zara kholke dekho to yeh manzar
3. Tum khoon ugalte ho to bhar jata hai chullu
batlao karein zabt kaha tak mere aasu
beta nikal aayega kaleja mera bahar
4. Darya pe gaye honge jo ladte hue beta
jaldi se batao mera phat-ta hai kaleja
kis haal mein hai lasha e abbas e dilawar
5. Tum khud bhi samajhte ho yeh majboori meri hai
ahista jo chalta hun kamar tooti hui hai
thoda sa safar baaqi hai..(2)
himmat karo dilbar
6. Beta hume maidan ki rudaad sunao
kya haal hai ab pyaas ka baba ko batao
anguthi dahan kyu nikal aayi hai bahar
7. Maathe se pasina to abhi saaf kiya hai
kya zakhm ki takleef ne muh khol diya hai
saansein kyu meri jaan nahi aati barabar
8. Sheh bole takallum ke utho aagaya khaima
seene se zara haath hata lo mere beta
is haal mein dekhengi to, mar jayegi madar
Khamosh na ho..
Khamosh na ho baap se baatein karo akbar
amad amad haram e shah ki darbar main hai
subh se jashan ka ghul sham ke bazar main hai
shor e fariyaad o buqa itrat e athaar main hai
amad amad haram e shah ki darbar main hai
hukum aya hai aseeron ko barabar maro
jashan ka waqt hai dure inhein hans kar maro
ik manadi ye nida deta hai aao logo
baaghi aaye hain inhein shuk se pathar maro
haye khoon main duba huwa sadaat ka har chehra hai
girya kar sakte nahi aah pe bhi pehra hai
sang bari ki aziyat bhi badi hai lekin
zakham sadke ki khajooron ka bohat gehra hai
haye dekh kar aal e muhammad ko hanse jate hain
log har mod par bas tane jate hain
chadaren kya hain kafan bhi nahi deta koi
zinda lashe liye sajjad chale jate hain
mustakil aal e muhammad main azadari hai
aur beemar ki ankhon se lahu jari hai
berida sham ke bazar main aate hain harm
aaisa lagta hai kisi eid ki tayyari hai
haye jholi bhar bhar ke sitamgar hain laye pathar
patharon ne bhi hain hathon main uthaye pathar
nok e naiza se gira khak pe sar asghar ka
are chhote bachon se sakina ne jo khaye pathar
bab e saat pe bhi zakhmo se bhare hain qaidi
hai waram paon pe paidal jo chale hain qaidi
are log tashheer ke khanjar liye aamadah hain
teen din ho gaye maktal main khare hain qaidi
haye darbar main jane ki ghadi kaisi thi
honsla deti rahi sab ko ali ki beti
saat sau kursi nashee door se dekhe jis dam
thaam kar apni qamar bint e ali baith gai
wada beti se nibhane ke liye aaye ali
sani e zahra takallum paye tazeem uthi
is gharibi pe tadapne lagi rooh e zehra
baap ke sath jo beti sar e darbar gai
No comments:
Post a Comment