Aao azadaro
(Abbas alamdar) x3 Ab tak hai zabano pe alamdar alamdar (Abbas alamdar) x3 Ay qafela-e-shaah ke salar alamdar (Abbas alamdar) x3
- Eik sada kaano mei abhi tak, gunj rahi hai logo suno, ye hai sada khatoon-e-jina ki, ham bhi kahe aur tum bhi kaho, (kyu na kahe "Irfan" aur "Mazhar") x2 Aao dua zehra ki paaye
(Aao azadaro, aao alam ghazi ka uthaaye) x2
- Ye wo alam hai jiska pharayra sani-e-zehra ki chadar hai, ha ye alam jis ghar pe laga ho, saaya-e-zehra mei wo ghar hai (Kya hai alam kya iski ataa hai) x2 Aao zabane kar ko bataaye
(Aao azadaro, aao alam ghazi ka uthaaye) x2
- Aao zabane kar ko bataaye, ham pe abu talib ka karam hai, paas nahi ayega koi gham, saya fighan jab tak ye alam hai (Aao alam ke saye mei aawo) x2 Ham ka har ik ehsaas mitaaye
(Aao azadaro, aao alam ghazi ka uthaaye) x2
- Ham ka har ik ehsaas mitaakar, pyaar kare sarkar-e-wafa se, pyaar ke badle pyaar milenga, tumko nabi se aur khuda se (saath chale ham kyu dunya ke) x2 Duniya to apne saath chaalye
(Aao azadaro, aao alam ghazi ka uthaaye) x2
- Duniya hamare saath chalengi aur qayadat sheyr-e-jari ki, sare alam juk jaayenge phir to, baat rahengi eik alam ki (Khwaab yahi tha bint-e-ali ka) x2 Kyu na isse tabeer banaaye
(Aao azadaro, aao alam ghazi ka uthaaye) x2
- Khwaab ko jab tabeer milengi, qaul ye pura honga kisi ka, koi kahenga mera hai maula, koi kahenga mera hai maula (payenge phir har ghar se yakeenan) x2 nohey ki aur matam ki sadaaye
(Aao azadaro, aao alam ghazi ka uthaaye) x2
- Nohey ki aur matam ki sada se, gunj raha honga ye zamana, saara jahaa(n) ye baat kahenga, nad-e-ali hai qaumi tarana, (Qaumi alam aur qaumi parcham) x2 dono mei hai jo far ko mitaaye
(Aao azadaro, aao alam ghazi ka uthaaye) x2
- Dono mei hai jo far ko mitaane, kaise chale the sibt-e-payambar, chand jawaa(n) aur kuch bacho(n) se sheh ne diya tarteeb ke lashkar (aawo ussi lashkar ki yaade) x2 Saare jahaa(n) ke dil me jagaaye
(Aao azadaro, aao alam ghazi ka uthaaye) x2
- Saare jahaa(n) ke dil me jagaaye, yaad usi ashoor ki shab ki, eik alam tha aas waha par, bali sakina aur zainab ki (aas bana jo ehl-e-haram ki) x2 ham bhi ussi se aas lagaaye
(Aao azadaro, aao alam ghazi ka uthaaye) x2
- Aas gayi farzand-e-ali ki, jab ye alam maqtal mei ghira tha (eik taraf shabbir aur zainab) x2 eik taraf sadat ka nawha
Haay qafela-e-shaah ke salar alamdar (abbas alamdar) x3
Allah ka zakir
Mujhe bhool jaaye duniya, me agar tujhe bhuladu ya hussain
(ya hussain) x2
- Teeron ki musalleh par tune, jo sajda kiya koi kar na sakaa
(jis khaak pe tera khoon bahaa) x2
Us khaak par har zayir ne kahaa
(Allah ka tu zakir hai) x2
Aur tera zaakir me hu hussain
(Ya hussain) x2
- Duniya ye bhulayegi kaise, bazaar jafaa me jab tune
(Quran sunaya naize par) x2
Quran mukhatib tujse huwa
(Allah ka tu zakir hai) x2
Aur tera zaakir me hu hussain
(Ya hussain) x2
- chand aur sitaare daame falak, rizwaane jinaa sab huro malak
(sab farsh ke sabke aur shajar) x2
Hai sab ke labon par aik sadaa
(Allah ka tu zakir hai) x2
Aur tera zaakir me hu hussain
(Ya hussain) x2
- Allah ki tune laaj rakhi, tawheed teri makrooz huwi,
(allah allah ye shaan teri) x2
Phir kyun na kahe har hamde khuda
(Allah ka tu zakir hai) x2
Aur tera zaakir me hu hussain
(Ya hussain) x2
- bartaa tu use milti na ajar, imdaad teri zahra ke pisar
(mit ta tha jahaan se deene khuda) x2
ab kehta rahega deen sadaa
(Allah ka tu zakir hai) x2
Aur tera zaakir me hu hussain
(Ya hussain) x2
- tareekh ke boj halhaatho ne, ye baat likhi hai rote huwe
(ay shere khuda ke laal salaam) x2
kehte hai tuje khud shere khuda
(Allah ka tu zakir hai) x2
Aur tera zaakir me hu hussain
(Ya hussain) x2
- wo milta ye ghairat binte ali jo tere sahaare jeete ti
(jab mehwe tilawat dekha tuje) x2
kehta tha dile mehroome ridaa
(Allah ka tu zakir hai) x2
Aur tera zaakir me hu hussain
(Ya hussain) x2
- Haaye kushtae teghe zulmo jafaa, hai tujsa namaaze kon bhalaa
(naize se aqaamat tune kahi) x2
Teeron ke muselleh ne ye kahaa
(Allah ka tu zakir hai) x2
Aur tera zaakir me hu hussain
(Ya hussain) x2
- "irfane" nabi "Irfane" khuda, mujko to azaa khano se mila
(ay "mazhar" yazdaan ke beche) x2
sajde me yahi mazhar ne kahaa
(Allah ka tu zakir hai) x2
Aur tera zaakir me hu hussain
(Ya hussain) x2
Ay mere jawaan akbar
Noha kare maa laashe akbar par, aray tum qatl huwe beta, jeeti rahi madar
(Ay mere jawaan akbar) x2
- Veeran huwa beta tere baad mera ghar
(Ay mere jawaan akbar) x2
- Kya tujhko teri maa ne is din ke liye paalaa,
Is maa ko zaeefi me kyu chor gaye beta
(Ay mere jawaan akbar) x2
- Maa roti hai laashe pe tere aaj khule sar
(Ay mere jawaan akbar) x2
- Kehti thi phuphi zainab jab pyaha rachaugi
Akbar teri dulhan ki poshak banaugi
(Ay mere jawaan akbar) x2
- afsos kafan bhi na tujhe aya mayassar
(Ay mere jawaan akbar) x2
- bimar behen sughra tapti hai tera rasta
pardes me akar kyu bhool gaye wada
(Ay mere jawaan akbar) x2
- itna bhi nahi socha ke marjayegi khwahar
(Ay mere jawaan akbar) x2
- Hamshakle nabi tumko kehta ta jahaan saraa
Zainab tere laashe par karti hai yahi nawha
(Ay mere jawaan akbar) x2
- nana ki ziyarat ko tarasjaungi dilbar
(Ay mere jawaan akbar) x2
- har dil ne kiya nawha har aankh huwi purnam
kohram hai khaymo me janat me bapa matam
(Ay mere jawaan akbar) x2
- aur khaak urha te hai yahi kehke payambar
(Ay mere jawaan akbar) x2
- phupiyan bhi tarap ti hai hamsheer bhi madar bhi
dada bhi tere roye shabbir bhi shabbar bhi
(Ay mere jawaan akbar) x2
- sadaat ke khaymon me qayamat ka hai manzar
(Ay mere jawaan akbar) x2
- jab koyi jawaan laash nazar ayegi beta
wa yaar tujhe karke tarap jayegi beta
(Ay mere jawaan akbar) x2
- ek roz teri yaad me marjayegi madar
(Ay mere jawaan akbar) x2
Bibi fatema zehra
Ya fatema, umme abi ha, bint-e-payambar, khayrun-nisaa, ya zehra, ya zehra
Tu hai siddiqa, tu tahira aur tuhi shafi-e-rawze jazaa, ay meri bibi, waqt-e-madad hai, har matami ke dil ke sadaa hai
(Bibi zehra ye dua hai) x2 Aap ke darbar mei bibi zehra ye dua hai
- Dast-e-dua ko jab bhi uthaaya, manga hai teri chadar ka saya, (ya zehra) x2 Waqt-e-musibat mei har hussaini bas naam tera, honto pe laaya, ay meri bibi, tang dasht hu mei, ye kehke daman pheylaadiya hai
(Bibi zehra ye dua hai) x2 Aap ke darbar mei bibi zehra ye dua hai
- Wo bibi jiski hai ghaud khali, chawkhat pe teri hai wo sawaali (ya zehra) x2 Mujhko bhi dede asghar ka sadqa mene tere dar se lo lagali, ay meri bibi, jin godiyo mei, awlaad hai wo teri ata hai
(Bibi zehra ye dua hai) x2 Aap ke darbar mei bibi zehra ye dua hai
- Jo maaye behne be aasra ho farsh-e-aza par mehwe bukaa ho (ya zehra) x2 Tu unke pardo ki laaj rakhiyo jo teri zainab ki zakira ho, ay meri bibi, zinda rahe wo, bhaayi jo behno ka asra hai
(Bibi zehra ye dua hai) x2 Aap ke darbar mei bibi zehra ye dua hai
- Jo tifl rokar parte hai nawha, har aathwi ko bante hai saqqa (ya zehra) x2 Har roshni ki hai ye zamaanat, mei har charaagh-e-bazm-e-aza, ay meri bibi, bujhne na paya, awn-o-muhammad ka wasta hai
(Bibi zehra ye dua hai) x2 Aap ke darbar mei bibi zehra ye dua hai
- Jo apne beto ka bhool kar gham, karti ho tere, akbar ka matam (ya zehra) x2 un maao ko tu, de sabr bibi wo phir na dekhe awlaad ka gham, ay meri bibi, us maa ko koi gham na ho jisko ye gham mila hai
(Bibi zehra ye dua hai) x2 Aap ke darbar mei bibi zehra ye dua hai
- Hai yaad abtak purdard-e-manzar pyaase ki gardan, zalim ka khanjar (ya zehra) x2 hum tere pyaase bete ka sadqa yu(n) mangte hai farsh-e-aza par, ay meri bibi, abad rakhna wo ghar ke jisme farsh-e-aza hai
(Bibi zehra ye dua hai) x2 Aap ke darbar mei bibi zehra ye dua hai
- Shabbir ki wo mazloom dukhtar, zindaan se jo, na jaa saki ghar (ya zehra) x2 Sadqe mei uske, ham par karam kar, bejurm-e-qaydi kehte hai rokar, ay meri bibi, ab ye aseeri ho khatm abid ka wasta hai
(Bibi zehra ye dua hai) x2 Aap ke darbar mei bibi zehra ye dua hai
- "Irfan-o-Mazhar" ye chahate hai, miljaaye hamko bas ye sa'adaat (ya zehra) x2 Jo akhri hai hujjat khuda ki, hojaaye hamko uski ziyaraat, ay meri bibi, ye baat wo hai, jo har hussaini ki iltejaa hai
(Bibi zehra ye dua hai) x2 Aap ke darbar mei bibi zehra ye dua hai
Aap ke darbar mei, kar qubool uftad
ruksaar rak-ke kabr pe rokar kiya kalaam
amma madina laut ke mai aa na paunga
aayi janab-e-fatema, ki qabr se sadaa
tum pe har qadam rahe dua meri, aur saaya-e-khuda-e-zuljalaal
amma aap ki qasam mai khoon may nahaunga
tum pe har qadam rahe dua meri aur saaya-e-khuda-e-zuljalaal
bachpane may jo kiya tha wada baba jaan se
dekh mere laal deen ka hai sawaal
jao mere laal....
do rida e zainab-e-hazeen ka sayeban
hai tumhare saath baba jaan bhi, aur saaya-e-khuda-e-zuljalaal
de raha hai deen-e-kibriya tumhe sada
be watan hussain mere dil ke chain
jao mere laal....
royenge alam ke saaye may tere haram
royegi faraat aur tashnagi, aur saaya-e-khuda-e-zuljalaal
akbar-e-jawan jigar pe khayega sina
uspe nohakhaan honge meri jaan
jao mere laal....
sunke rodiye hussain mustafa ki aal bhi
tumpe har qadam rahe dua meri, aur saaya-e-khuda-e-zuljalaal
jao mere laal....
Karbala se chali eik bekas behen.
Bhaayi se aalam-e-gurbat watan yaad aya.
Sab shaheedo ko kehti huwi alvida.
Bhaayi ki laash pe pohnchi to kafan yaad aya.
Khud ko naake se giraakar Zainab kehne lagi roro kar.
Na deys apna hai, na log apne hai - 2
Mei kaise kafan du mere mazloom baraadar
(Na deys apna hai, na log apne hai) x2
1. Ye dekh zara ay tashnadahan,
shaano ko mere jakre hai rasan,
Aur uspe sitam hai, sar par nahi chadar,
Mei kaise kafan du mere mazloom baraadar
2. Kal saath tere har ghaam chali,
ab qaydi huwi aur shaam chali,
is dard ke maare roti hu khule sare,
Mei kaise kafan du mere mazloom baraadar
(Na deys apna hai, na log apne hai) x2
3. Baba hai ameer-e-kauno maka,
hai tera laqab sardar-e-jinaa,
zainab too huwi hai bechadar beghar,
Mei kaise kafan du mere mazloom baraadar
(Na deys apna hai, na log apne hai) x2
4. Ay bhaayi teri ghurbat ki kasam,
ta marg nahi bhulungi ye gham,
pardes mei aakar, na khaa hai labo par,
Mei kaise kafan du mere mazloom baraadar
(Na deys apna hai, na log apne hai) x2
5. Kya zulm sahe tujh ko hai khabar,
hai aun-o-muhammad khaak basar,
ab tumse nahi hai, paani bhi mayassar,
Mei kaise kafan du mere mazloom baraadar
(Na deys apna hai, na log apne hai) x2
6. Hota jo madina bhaayi mere,
mil jaata kafan mazloom tujhe,
is dasht-e-bala mei, majboor hai khwaahar,
Mei kaise kafan du mere mazloom baraadar
(Na deys apna hai, na log apne hai) x2
7. Aye kushta-e-tegh-e-zulm bata,
jab koi mera yawar na raha,
maqtool-e-jafaa hai, abbas aur akbar,
Mei kaise kafan du mere mazloom baraadar
(Na deys apna hai, na log apne hai) x2
8. Kya kya na huwi zainab pe jafaa,
sab khayme jale asbaab luta,
par sab se bada hai, ye gham mere dil par,
Mei kaise kafan du mere mazloom baraadar
(Na deys apna hai, na log apne hai) x2
9. Irfan aur Mazhar kehna sake,
jo bint-e-ali ne bayn kiye,
phat'ta hai kaleja, is baat ko sunkar,
Mei kaise kafan du mere mazloom baraadar
(Na deys apna hai, na log apne hai) x2
As-salaam alayka ya Sayyed-o-shuhadaa
Noke neza
Jab shaam ke bazaar mei, saydaaniya aayi, are chadar ki jaga khaak-e-safar, baalo pe laayi. Naa gaah jab ghazi ki nazar kulsum tak aayi, are sar khaak par, abbas ne neze se giraaya. Dar hai kulsum ke chehre pe na parh jaaye nazar, noke neza pe teherta nahi abbas ka sar
Dar hai kulsum ke chehre pe na parh jaaye nazar, (noke neza pe teherta nahi abbas ka sar) x2
- Ik gayyur wafadaar pe ab aur sitam kya honga, jiski chadar ka muhafiz tha wohi aaj huwi beparda, shaam walo mei se ehsaas-e-doraan-e-safar, noke neza pe teherta nahi abbas ka sar
Dar hai kulsum ke chehre pe na parh jaaye nazar, (noke neza pe teherta nahi abbas ka sar) x2
- Gir gayi raah mei naake se sakina to ye zainab ne kaha, Ik chacha aur bhatiji ki muhabbat to zara dekh khuda, pusht naaka pe sambhalti nahi sheh ki dukhtar, noke neza pe teherta nahi abbas ka sar
Dar hai kulsum ke chehre pe na parh jaaye nazar, (noke neza pe teherta nahi abbas ka sar) x2
- Shaam ke log tamashaayi bane aur tamaasha saadaat, Bewatan aur khule sar hai sar-e-raah kare kya saadaat, khun ankho se bahaate hai shah-e-jinn-o-bashar, noke neza pe teherta nahi abbas ka sar
Dar hai kulsum ke chehre pe na parh jaaye nazar, (noke neza pe teherta nahi abbas ka sar) x2
- Aandhiyo khaak urhaawo ka bane isse haram baparda, gunji jab shaam ki gham nok fazaawo mei ye zainab ki sada, aasma(n) rone laga rowi zami(n) ye kehkar, noke neza pe teherta nahi abbas ka sar
Dar hai kulsum ke chehre pe na parh jaaye nazar, (noke neza pe teherta nahi abbas ka sar) x2
- Chashm-e-sajjad se behne lage us waqt lahu ke dhaare, jab ke masoom sakina ko sitamghar ne tamaache mare, laasha sahil pe tarapta hai udhar aur idhar, noke neza pe teherta nahi abbas ka sar
Dar hai kulsum ke chehre pe na parh jaaye nazar, (noke neza pe teherta nahi abbas ka sar) x2
- Rone walo sar-e-bazaar khule sar thi ali ki beti, ghir gaya farq-e-wafadaar jo neze se to heyraa(n) the shaqi, Pucha abid se sitamghar ne bataawo kyu kar, noke neza pe teherta nahi abbas ka sar
Dar hai kulsum ke chehre pe na parh jaaye nazar, (noke neza pe teherta nahi abbas ka sar) x2
- Saath sadaat ke shehzaadiy-e-kawnaain safar karti rahi, nawha karte hai nabi khaak urha te hai hassan aur ali, haay kya waqt hai rote hai sina par sarwar noke neza pe teherta nahi abbas ka sar
Dar hai kulsum ke chehre pe na parh jaaye nazar, (noke neza pe teherta nahi abbas ka sar) x2
- Kabhi layla kabhi farwa kabhi kalsum kahe wawayla, chehra balon se chhupate huwe zainab ne yahi ro ke kahaa(n), amma fiza zaraa dekho to ye gham ka manzar noke neza pe teherta nahi abbas ka sar
Dar hai kulsum ke chehre pe na parh jaaye nazar, (noke neza pe teherta nahi abbas ka sar) x2
- Nawha likhte huwe "irfan" ye "mazhar" ne kahaa tha rokar, kon qirtas pe laasakta awlade payambar ka safar, rodiye qalb o jigar aik hi misra likhkar noke neza pe teherta nahi abbas ka sar
Dar hai kulsum ke chehre pe na parh jaaye nazar, (noke neza pe teherta nahi abbas ka sar) x2
Pehchaano khudara
Haay, zindaa(n) ki qayd kaatke, jab saniy-e-zehra, ponchi watan to koi bhi pehchaan na paaya, are abdullah bin jaffar-e-tayyar ne puche, tu kon hai kya naam hai tera zaeefa, Ye sunke fugaa karne lagi saniy-e-zehra, are zawja hu aap ki mujhe pehchaano khudara, (mei awn-o-muhammad ki maa hu) x2
- (Pehchaano khudara) x2 Mujko to jite ji gham-e-shabbir ne mara
(Mei awn-o-muhammad ki maa hu) x4
- Baalo ki safedi ka sabab pucho na mujhse, in ankho ne dekhe hai sitam karbobala ke, ghar lut gaya sadaat, pehchaano khudara, Mujko to jite ji gham-e-shabbir ne mara
(Mei awn-o-muhammad ki maa hu) x4
- Chehre se numaya jo mere karbobala hai, ye haal to Abbas ke marne se huwa hai, chuta wo sahara, pehchaano khudara, Mujko to jite ji gham-e-shabbir ne mara
(Mei awn-o-muhammad ki maa hu) x4
- Ik zakhm hai qasim ka mere kalb-o-jigar me, jo chaand ujaalo ka sabab tha mere ghar mei, wo bhi gaya mara, pehchaano khudara, Mujko to jite ji gham-e-shabbir ne mara
(Mei awn-o-muhammad ki maa hu) x4
- Bas bhaayi ki matam mei rahi qayd bhi kaati, leykin mei kabhi awn-o-muhammad ko na rowi, ab deti hu pursa, pehchaano khudara, Mujko to jite ji gham-e-shabbir ne mara
(Mei awn-o-muhammad ki maa hu) x4
- Bazaar mei abid pe zaeefi huwi taari, wo aaj bhi rota hai aseeri pe hamari, ghamkhwaar hamara, pehchaano khudara, Mujko to jite ji gham-e-shabbir ne mara
(Mei awn-o-muhammad ki maa hu) x4
- Are sadaat ke halke me mujhe aake chupaaya, jab shaam ke hakim ne mera naam pukaara, us ranj ne maara, pehchaano khudara, Mujko to jite ji gham-e-shabbir ne mara
(Mei awn-o-muhammad ki maa hu) x4
- Shiree(n) se mulakat huwi raah mei ik baar, pehchaan nahi paayi mujhe wo bhi dilakar, dil roke pukaara, pehchaano khudara, Mujko to jite ji gham-e-shabbir ne mara
(Mei awn-o-muhammad ki maa hu) x4
- Sab ghayr kujaara hai damishkaar kuja mei, karbal se chali hogaye khud karbobala mei, zulmat ka safar tha, pehchaano khudara, Mujko to jite ji gham-e-shabbir ne mara
(Mei awn-o-muhammad ki maa hu) x4
- "Irfan" ye alfaaz jo "Mazhar" ne likhe hai, insaan to kya cheez hai patthar ko rula de, jaise ke ye jumla pehchaano khudara, Mujko to jite ji gham-e-shabbir ne mara
(Mei awn-o-muhammad ki maa hu) x2
- (Pehchaano khudara) x2 Mujhe jit-e-ji gham-e-shabbir ne maara
(Mei awn-o-muhammad ki maa hu) x2
- (Pehchaano khudara) x2 Mujhe jit-e-ji gham-e-shabbir ne maara
(Mei awn-o-muhammad ki maa hu) x2
Saaya khuda
Aaye jo kabre fatema pe sayad-e-anaar rukhsaar rakh ke kabr pe rokar kiya kalaam, Sehra me dil ke tukro ki basti basawunga, Amma madina lawt ke aa na paawunga, kaampa falak larazne lagi qabr-e-sayyeda, ayi janaab-e-fatema ki qabr se sadaa
(Jaao mere laal) x4 Tum pe har qadam rahe dua meri, aur saaya-e-khuda-e-zul jalaal
(jaao mere laal) x2 Tum pe har qadam rahe dua meri, aur saaya-e-khuda-e-zul jalaal
- Jaa rahe ho tum jo kehke deen haq bachawunga (Amma aap ki kasam me khoon me nahawunga) x3 Ab ho jo bhi haal, tum ho payemaal, tum pe har qadam rahe dua meri
Aur saaya-e-khuda-e-zul jalaal (Jaao mere laal) x2 Tum pe har qadam rahe dua meri, aur saaya-e-khuda-e-zul jalaal
- Bachpane mei jo kiya tha wada babajaan se (waqt ab wo agaya kafan ko sar se baandhne) x3 Dekh mere laal, dee(n) ka hai sawaal, kamyaabiya hai tere saath hi, Aur saaya-e-khuda-e-zul jalaal
(Jaao mere laal) x2 Tum pe har qadam rahe dua meri, aur saaya-e-khuda-e-zul jalaal
- Chahiye khuda ke deen ko aghar amaa, (wo ridaay-e-zainab-e-hazee(n) ka sayebaa(n)) x3 Jawo ab shidad ibn-e-buturaab, mei tumhare saath babajaan bhi,
Aur saaya-e-khuda-e-zul jalaal (Jaao mere laal) x2 Tum pe har qadam rahe dua meri, aur saaya-e-khuda-e-zul jalaal
- Deraha hai deen-e-kibriya tumhe salaam (almadad hussain almadad shah-e-huda) x3 Mei watan hussain, mere dil ke cheyn, hamsafar tumhare saath maa huwi
Aur saaya-e-khuda-e-zul jalaal (Jaao mere laal) x2 Tum pe har qadam rahe dua meri, aur saaya-e-khuda-e-zul jalaal
- Shaan-e-baba faq honge jis gari kalam, (rowenge alam ke saaye mei tere haram) x3 rowengi wafaa aur karbala, rowengi faraat aur tashnagi
Aur saaya-e-khuda-e-zul jalaal (Jaao mere laal) x2 Tum pe har qadam rahe dua meri, aur saaya-e-khuda-e-zul jalaal
- Akbar-e-jawaa(n) jigar pe khayenga sina, (maa kahengi mera chaand khogaya kaha) x3 uspe nohakhwaan, honge meri jaan, mei bhi aur hassan bhi aur rasool bhi
Aur saaya-e-khuda-e-zul jalaal (Jaao mere laal) x2 Tum pe har qadam rahe dua meri, aur saaya-e-khuda-e-zul jalaal
- Ye sadaa mazar-e-sayyeda se "mazhar abidi" (sunke rodiyey hussain mustafa ki aal bhi) x3 Jaawo mere laal, jaawo mere laal, tumpe har qadam rahe dua meri, aur saaya-e-khuda-e-zuljalaal

No comments:
Post a Comment