Ali ali, ali ali, ali ali, ali ali..(2)
aye dushman o wo khum ke manzar ko yaad rakhna
khandak ko yaad rakhna, khaibar ko yaad rakhna
zehra ka darr jalaya, us darr ko yaad rakhna
nauke sina pe jo tha, us sarr ko yaad rakhna
har matami hai kehta, lena hai aaj badla
mushkil kusha hamara, bolega ye zamana
ali ali maula maula ali ali maula..(2)
ali maula, ali maula, ali maula...(4)
ali ali maula maula ali ali maula..(2)
1. Jo dushmane ali hai maut apni wo marenge
ghar ko jalane wale ab umr bhar jalenge
ye daeshi yazidi hargiz na bach sakenge
rehbar se darne wale Mehdi se kya ladenge
ek aisi jung hogi maujega ye zamana
ali ali maula maula ali ali maula..(2)
2. Hai intezare Mehdi taqwe se aur khirad se
imdaad mil rahi hai allah-us-samad se
Mehdi ki jang hogi haide hi ki rasad se
duniya ko fatha karna hai ya ali madad se
khaiber kusha hamara, mushkil kusha hamara
ali ali maula maula ali ali maula..(2)
3. Farzande fataima hai ye warise nabi hai
Abid hai ye hai Baqir ye hai Raza Taqi hai
Jafar hai ye hai Kazim, ye Askari Naqi hai
Hasnain e waqt ye hai, ye waqt ka Ali hai
ghaibat mein aaj bhi hai zinda ali ka beta
ali ali maula maula ali ali maula..(2)
4. Farshe azaa ke bache hai mimbaro ke paale
rozo ke ye mujahid qur'aan ke hawale
ye mujtahid, ye alim ummat ko hai sambhale
ye matami mujahid ye hai namaz wale
kirdaar baat-ta hai maula ali ka shia
ali ali maula maula ali ali maula..(2)
5. Ye kaun tha ke jisne Zehra pe darr giraya
siddiqa e jaha'n ko darbaar mein bulaya
Zehra ne zakhm khake kuch bhi nahi bataya
aur tooti pasliyo ko maula se bhi chupaya
aye zulfiqar e haider le inteqam e Zehra
ali ali maula maula ali ali maula..(2)
6. Maula ali ye dekhe karbobala ka manzar
shabbir gir chuke hai teero ki sar zamee' par
teero tabar bohot hai inse zyaada patthar
sukha gala hai kat-ta hai qund kitna khanjar
karle qubool maula in rehmato ka pursa
ali ali maula maula ali ali maula..(2)
7. Chadar nahi hai sar par ye shaam ka safar hai
bhai bhi hamsafar hai nauke sina pe sar hai
hai darmiya'n mein zainab majma idhar udhar hai
aao madad ko baba ab saatwa(7) ye darr hai
zainab ne har qadam ko hai aapko pukara
ali ali maula maula ali ali maula..(2)
8. Ye jang aakhri hai himmat ali se lenge
Mehdi pe jaan denge jannat ali se lenge
Zehra se hum shahadat izzat ali se lenge
ye nasiran e Mehdi taqat ali se lenge
ye hai qamar ka nauha, safdar ka hai ye naara

Ya hussain, ya hussain..(3)
Bibi Zehra, bibi Zehra..(2)
Bibi Zehra ki amanat ka ehteraam karo..(2)
ghum e hussain mein matam bhi subh o shaam karo
Bibi Zehra ki amanat ka ehteraam karo..(2)
1. Ghum e hussain ko naslo mein baat-te rehna
tum apni aaho se shamsheere kaat-te rehna
nasheb e zeest isi ghum se baat-te rehna
hamesha madar e shabbir ko salaam karo
Bibi Zehra ki amanat ka ehteraam karo..(2)
2. Ghum e hussain zaroori hai zindagi ke liye
yehi charaagh hai duniya mein roshni ke liye
yehi haseen ibadat hai bandagi ke liye
azaa e sheh ke siwa aur na koi kaam karo
Bibi Zehra ki amanat ka ehteraam karo..(2)
3. Ghum e hussain sikhata hai zindagi karna
ye ghum batata hai darya mein tashnagi bharna
ho zindagi ki jo khwahish hussain par marna
tum apne jeene ka is tarha intezaam karo
Bibi Zehra ki amanat ka ehteraam karo..(2)
4. Bicha ke farshe azaa karbala ko yaad karo
hussain fikr mein ho aur khuda ko yaad karo
wo jis dua ke sabab us dua ko yaad karo
ba naam e asghar e besheer sab kalaam karo
Bibi Zehra ki amanat ka ehteraam karo..(2)
5. Jaha'n mein kuch bhi nahi hai magar hussain hussain
khuda ke dee'n mein nahi ho agar hussain hussain
dohai dene lage har nazar hussain husssain
har ek fikr e yazeedi ko inhedaam karo
Bibi Zehra ki amanat ka ehteraam karo..(2)
6. Ghamo ka bojh hai saara hussain ke dil par
tadap raha hai koi alqama ke sahil par
chala hai god se koi sagheer manzil par
abhi na haath mein asghar ka ikhtetaam karo
Bibi Zehra ki amanat ka ehteraam karo..(2)
7. Azan e asr hui karbala ke maqtal mein
darinde aagaye charo taraf se jangal mein
hussain sajde mein hai zalzala hai karbala
faza mein shor tha ab matam e imam karo
Bibi Zehra ki amanat ka ehteraam karo..(2)
8. Baraye majlis o matam nikal padi zainab
uthake fatha ka parcham nikal padi zainab
bachane mahe moharram nikal padi zainab
huzure zainab e muztar ha bus salaam karo
Bibi Zehra ki amanat ka ehteraam karo..(2)
Bibi Zehra, bibi Zehra..(2)
Aye yusuf e zahra..(2)
Aye yusuf e zahra zara jalwa to dikha de
aye muntaqim e karbobala parda utha de
ye khwahish e zahra hai, chale aaiye maula
taraaj baqaiyya hai chale aaiye maula..(2)
taraaj baqaiyya hai chale aaiye maula
Zahra ne bulaya hai chale aaiye maula
taraaj baqaiyya hai chale aaiye maula..(2)
1. Aap aaenge to adl se duniya ko bharenge
mazloom se ye zalimo jabir bhi darenge
har dil ki tamanna hai, chale aaiye maula
taraaj baqaiyya hai chale aaiye maula..(2)
2. Ghurbat ko meri dekh ke kuch laaye hai maula
mai ghar mein hu aur ghar mein mere aaye hai maula
kal khwaab ye dekha hai, chale aaiye maula
taraaj baqaiyya hai chale aaiye maula..(2)
3. Hum hurr ki tarha aaj ki karbal mein ladenge
hum kufiyo jaisi koi harkat na karenge
kya aapko dhadka hai, chale aaiye maula
taraaj baqaiyya hai chale aaiye maula..(2)
4. Purse ke liye baithe hai payghambar o haider
shehzadiye kaunain bhi hai farsh e azaa par
majlis yaha barpa hai, chale aaiye maula
taraaj baqaiyya hai chale aaiye maula..(2)
5. Mayoos zamana hai dua koi nahi hai
ab qabr pe zahra ke diya koi nahi hai
veeraan madina hai, chale aaiye maula
taraaj baqaiyya hai chale aaiye maula..(2)
6. Faryad kuna bint e shehenshah e madina
paani ke liye deti hai aawaaz sakina
jalta hua kurta hai, chale aaiye maula
taraaj baqaiyya hai chale aaiye maula..(2)
7. Roti hai bohot khoo bhare kurte ko utha kar
kehti hai rabab aaj bhi jhule ko jhula kar
asghar mera pyaasa hai, chale aaiye maula
taraaj baqaiyya hai chale aaiye maula..(2)
8. Bikhre hue tukde hai qamar waqt kada hai
be goro kafan laasha e shabbir pada hai
maula ka janaza hai, chale aaiye maula
taraaj baqaiyya hai chale aaiye maula..(2)
Akbar.. kadiyal jawaan akbar..(2)
kadiyal jawa'n ka laasha khaime mein aa raha hai..(2)
laila ka shor e girya..(2)
mehshar utha raha hai
kadiyal jawa'n ka laasha khaime mein aa raha hai..(2)
1. Paywast hogaya hai seene mein phal sina ka..(2)
haatho se zakhm e naiza..(2)
akbar chupa raha hai
kadiyal jawa'n ka laasha..
2. Zakhm e sina ki eeza akbar jawa'n se pucho..(2)
reh reh ke ya ali ka..(2)
naara laga raha hai
kadiyal jawa'n ka laasha..
3. Ankho se khul na jaye zakhm e sina ki shiddat..(2)
so yu padar se akbar..(2)
aankhein chupa raha hai
kadiyal jawa'n ka laasha..
4. Uth-ti nahi hai mayyat akbar ki shahe dee'n se..(2)
tharra rahe hai baazu..(2)
aur zof cha raha hai
kadiyal jawa'n ka laasha..
5. Attharwa baras tha shaadi ka zamana..(2)
afsos aisi rutt mein..(2)
duniya se jaa raha hai
kadiyal jawa'n ka laasha..
6. Khaime mein shahedee'n ke barpa hai ek mehshar..(2)
marne ko rann mein akbar..(2)
khaime se jaa raha hai
kadiyal jawa'n ka laasha..
7. Nauhe suna raha hai safdar jo majliso mein..(2)
roshan wo is amal se..(2)
jannat kama raha hai
kadiyal jawa'n ka laasha..
Apne dil apne ankho mein le chala
haath seene pe, pao'n mein aable
karbala ki zamee'n tadapne lagi
ashiqo ke qadam choone ko badhi
hoke betaab zaero se kaha
kar diya tumne apna wada wafa
chaar su gunj rahi hai ye sadaa..
har azadar ki jaa hai karbala
Karbala, karbala..(4)
Karbala jaan e azadar e hussain, karbala ashiq e zawwar e hussain..(2)
Badh rahe hai karwa'n dar karwa'n
janib e karbobala peer o jawa'n
karbala kya hai qibla e ashiqa'n
karbala hai ali akbar ki azaa'n
karbala zulm par hai zarb e gara'n
karbala shauk e shahadat ka baya'n
karbala jalwa e anwar e hussain
Karbala jaan e azadar e hussain, karbala ashiq e zawwar e hussain..(2)
Is taraf khaimo se uthta hai dhua'n
us taraf baithi hui kuch bibiya'n
ek masooma kahi'n nauha kuna
jis ke rukh par hai tamacho ke nisha'n
ek beemar o zaeef o natawa'n
azm e shabbiri hai chehre se ayaa'n
hai yehi abid e ghum khwar e hussain
Karbala jaan e azadar e hussain, karbala ashiq e zawwar e hussain..(2)
Tere daman mein aye dasht e nainawa
so rahe hai kaise kaise mehlaqa
khoo'n mein ghalta hai shabih e mustafa
aur wo qasim hai pamal e jafa
chhid gaya teer se nanha sa gala
haye asghar tere marne ki adaa
ye adaa hai akse paikar e hussain
Karbala jaan e azadar e hussain, karbala ashiq e zawwar e hussain..(2)
Ye matam o nauha ye farsh e azaa
saniye zahra ki ye sab hai ataa
sar se chhini gaya hai jiski rida
jisne bete kiye bhai pe fida
jiska khutba sare darbar e jafa
kar gaya zulm ko ruswa ba khuda
zinda zainab se hai lalkare hussain
Karbala jaan e azadar e hussain, karbala ashiq e zawwar e hussain..(2)
Aye zafar kaise masaeb ho rakam
jab hue bazu e abbas qalam
gir kar thanda hua ghazi ka alam
zakhmo se choor hai saqqa e haram
rakha phir bhi alamdari ka bharam
aaj lehrata hai sahil pe alam
shane haider hai alamdar e hussain
Karbala jaan e azadar e hussain, karbala ashiq e zawwar e hussain..(2)
Maula zakhmo pe zakhm khate hai
naize aate hai, teer aate hai
Maula zakhmo pe zakhm khate hai
naize aate hai, teer aate hai
Ran mein tanha jo reh gaye hai hussain
naize aate hai, teer aate hai
naize aate hai, teer aate hai
Maula zakhmo pe zakhm khate hai
1. Haye aale nabi yu rasan mein bandhe
goshware chine taziyane lage..(2)
ghum ye kaise sahe, ho haram berida
saare sadme to seh gaye hai hussain
Ran mein tanha jo reh gaye hai hussain
naize aate hai, teer aate hai
2. Teer khake jo tum khuld mein jaoge
dadi dada ko tum muntazir paoge..(2)
jake unko dikhana ye zakhmi gala
nanhe asghar se keh gaye hai hussain
Ran mein tanha jo reh gaye hai hussain
naize aate hai, teer aate hai
3. Dasht mein khaimagaaho se uth-ta dhua
sanahegi sunata raha daasta'n..(2)
qafela janib e shaam rukhsat hua
aur maqtal mein reh gaye hai hussain
Ran mein tanha jo reh gaye hai hussain
naize aate hai, teer aate hai
4. Yaad rakhna hai baba ka tarz e bayaa'n
karna darbaar mein tum jihaad e zabaa'n..(2)
dil badhana sakina ka sajjad ka
bibi zainab se keh gaye hai hussain
Ran mein tanha jo reh gaye hai hussain
naize aate hai, teer aate hai
5. Bus wo ash- shaam ash-shaam kehte rahe
shiddat o ranj o aalaam kehte rahe..(2)
maula sajjad ke saare ashk e azaa
jo lahu banke beh gaye hai hussain
Ran mein tanha jo reh gaye hai hussain
naize aate hai, teer aate hai
6. Maine fasiq ko sardaar mana nahi
sar qalam ho to ho sar jhukana nahi..(2)
raahe haq mein karo apni jaane fida
momino se ye keh gaye hai hussain
Ran mein tanha jo reh gaye hai hussain
naize aate hai, teer aate hai
7. Hai ghulamo ne aasu jo hadiya kiye
ye lahad mein kamaal apni honge diye..(2)
baad e karbobala bar labe sayyada
banke faryaad reh gaye hai hussain
Ran mein tanha jo reh gaye hai hussain
naize aate hai, teer aate hai
naize aate hai, teer aate hai
Maula zakhmo pe zakhm khate hai..(3)
Haye sakina, haye pyaas..(2)
gila bhi karti nahi apni tashnakami ka
sakina bhool gayi zaeqa bhi pani ka..(2)
1. Wo pehli shaam judayi ki aur wo tanhayi
wo ghup andhera wo maqtal wo yaad baba ki..(2)
mayaan e dard o alam hai safar yateema ka
sakina bhool gayi zaeqa bhi pani ka
2. Hai dastane sitam wo jala hua kurta
nisha'n tamacho ke rukhsaar par daleel e jafa..(2)
gawahi zulm ki deta hai zakhm seyli ka
sakina bhool gayi zaeqa bhi pani ka
3. Talaash seena e sarwar hai aur sakina hai
ajeeb hooka sa manzar hai aur sakina hai..(2)
na puch haal aye ghazi teri bhatiji ka
sakina bhool gayi zaeqa bhi pani ka
4. Phuphi ko takti hai hasrat se ye sukhan keh kar
figaar kaano se behta hai khoon reh reh kar..(2)
gulu ko karta hai zakhmi hisaar rassi ka
sakina bhool gayi zaeqa bhi pani ka
5. Wo wehshatein wo udasi wo khauf aur wo ghazab
jo qaid e shaam mein guzri wo sakhtiya'n hai ajab..(2)
ye dil ke waaste samaa'n hai ghum gusari ka
sakina bhool gayi zaeqa bhi pani ka
6. Padar ke baad kabhi chayn ki na neend aayi
ajab sitam hai padar par na khul ke ro payi..(2)
wo ghum bhula na saki baap ki judayi ka
sakina bhool gayi zaeqa bhi pani ka
7. Sitam ki saari hado se guzar gayi akhir
padar ki yaad mein asif wo marr gayi akhir
chalo ye waqt hai zainab se pursa daari ka
sakina bhool gayi zaeqa bhi pani ka
Ya mustafa, ya mustafa..(2)
Ya mustafa salle alaa..(2)
Mehbub e haq, khair ul bashar
islaam ke baani nabi
shams uz zoha, badr ud duja
noor e khuda, shaane wali
zakhmi hai dil, zakhmi jigar
ye jaanta hai kab koi
wo ghum mile hai aapko
sakte mein hai saara jaha'n
Ya mustafa salle alaa..(2)
Ya mustafa, ya mustafa..(2)
Pyaare nabi ya mustafa, har aankh hai girya kuna
Ya mustafa, ya mustafa..(2)
1. Kya Mustafa ne ghum sahe
duniya ko kab maloom hai
sab ke liye rehmat hai jo
khud kis qadar mazloom hai..(2)
qurbaan sab kuch kar diya
Ya mustafa, ya mustafa..
2. Patthar use maare gaye
jo rehmat e kaunain tha
daef ki galiyo mein lahoo
behta raha, behta raha..(2)
phir bhi nahi ki baddua
Ya mustafa, ya mustafa..
3. Ye sochte hai mustafa
aghosh mein shabbir hai
khanjar rawa gardan pe hai
zakhmi badan mein teer hai..(2)
ayegi ek din karbala..
Ya mustafa, ya mustafa..
4. Beti pe mere baad phir
har zulm dhaaya jayega
mohsin shahadat payega
ghar ko jalaya jayega..(2)
subbat ilayya ki sadaa
Ya mustafa, ya mustafa..
5. Hasnain hai girya kuna
nana ki mayyat dekhkar
baba chale hai chhod kar
zehra ka hai muztar jigar..(2)
ab kya karegi fatima
Ya mustafa, ya mustafa..
6. Haider ki aankhein ashk hai
taboot mein hai mustafa
zehra akeli rehgayi
aur puchti hai maamta..(2)
wo shaam, kufa, karbala
Ya mustafa, ya mustafa..
7. Zainab ke lab par thi sada
lut kar madine aagaye
kurta liya shabbir ka
marqad pe nana ki chale..(2)
mehshar bapa hone laga
Ya mustafa, ya mustafa..
8. Lega wo badla zulm ka
ek din Mohammad aakhri
uski museebat likh sake
haq hai ali safdar yehi..(2)
maine qamar nauha likha
Ya mustafa, ya mustafa..
Jaha'n jaha'n hussain hai
waha'n waha'n hai karbala
jaha'n jaha'n hai karbala
waha'n waha'n hussain hai
zamana aaj dekhle
kaha'n kaha'n husssain hai
hussain ya hussain..(4)
Zamee'n se aasma'n talak
sadaye ya hussain hai
1. Jaha bhi hoga zikr e haq inhi ka naam aayega
uthegi bus yehi sada yehi payaam aayega
shahadato mein jab koi kada maqaam aayega
batao razm e ghair o sharr mein (kaun kaam aayega)..(2)
har ek razm e ghair o sharr ke darmiyaa'n hussain hai
2. Kahi pe unki goonj hai kahi'n pe unka naam hai
likha hua furaat ki jabee'n pe unka naam hai
jaha'n jaha'n juloos hai wahi'n pe unka naam hai
alam bhi keh raha hai ye (zamee'n pe unka naam hai)..(2)
alam ki in bulandiyo se jawedaa'n hussain hai
3. Payam e kirdigaar ko amar karegi karbala
tamam ehle dard par asar karegi karbala
har ek dil ki dhadkano mein ghar karegi karbala
har ek daur mein yuhi (safar karegi karbala)..(2)
kabhi na hogi khatm jo wo daasta'n hussain hai
4. Bazahir ab nahi rahe zamee'n pe inke jism o jaa'n
ufak ufak pe dekhiye kaha'n nahi hai wo yaha'n
tamaam ehle haq pe hai inhi ki sar parastiya'n
khade hai maqtalo mein jo (unhi pe hai ye meherbaa'n)..(2)
inhi azeem manzaro ke paasbaa'n hussain hai
5. Hussain ka qayam hai ana minal hussain se
hussain ko dawaam hai ana minal husssain se
nabi ka zikr e aam hai ana minal hussain se
ye aakhri payaam hai (ana minal hussain se)..(2)
isi payaam e akhri ke tarjumaa'n hussain hai
6. Lahu gale se beh gaya magar kalaam reh gaya
jaha'n mein isteghasa e labe imam reh gaya
sina pe bhi azaan ka jo ehteraam reh gaya
azaa'n jo reh gayi to phir (khuda ka naam reh gaya)..(2)
jo goonjti hai aaj tak wohi azaa'n hussain hai
7. Shaheed ran mein hogaye sabhi azeez o aqraba
payam e marg ban gayi tamam arz e nainawa
lahu pehen ke sogaya hussain ka to qafela
hussain ka safar magar (na karbala mein ruk saka)..(2)
wo dekh baad e karbala sar e sina hussain hai
8. Jo teen din ki pyaas mein tadap gay shahadatein
lahu se surkh hogayi jo chand jaisi suratein
sune to kis tarha sune batao ye riwayaatein
bayaan kis tarha se ho (hussain ki museebatein)..(2)
sarapa dard o karb ki bas ek fugha'n husssain hai
9. Hilal zulm o jaur se fiza ye kya bhari nahi
bohot kadi hai manzile ye waqt sar sari nahi
sipahe shimr o saad ki kaha'n sitamgari nahi
yazid to guzar gaya (yazidiyat mari nahi)..(2)
yazidiyat ke waaste qaza e jaa'n hussain hai
zamana aaj dekhle
kaha'n kaha'n husssain hai
hussain ya hussain..(2)

No comments:
Post a Comment